Shayari
kuchh nahin bolaa to mar jaaegaa andar se 'shujaaa'
aur agar bolaa to phir baahar se maaraa jaaegaa
sardi bhi khatm ho gai barsaat bhi gai
aur is ke saath garmi-e-jazbaat bhi gai
سردی بھی ختم ہو گئی برسات بھی گئی
اور اس کے ساتھ گرمئ جذبات بھی گئی
सर्दी भी ख़त्म हो गई बरसात भी गई
और इस के साथ गर्मी-ए-जज़्बात भी गई

kuchh nahin bolaa to mar jaaegaa andar se 'shujaaa'
aur agar bolaa to phir baahar se maaraa jaaegaa
chaaragari ki baat kisi aur se karo
ab ho gae hain yaaro puraane mariz ham
us ke bayaan se hue har-dil-aziz ham
gham ko samajh rahe the chhupaane ki chiiz ham
tangi-e-haiat se Takraataa huaa josh-e-mavaad
shaaeri kaa lutf aa jaataa hai chhoTi bahr mein
yaa to jo naa-fahm hain vo bolte hain in dinon
yaa jinhein khaamosh rahne ki sazaa maalum hai
'shujaa' vo khairiyat puchhein to hairat mein na paD jaanaa
pareshaan karne vaale khair-khvaahon mein bhi hote hain
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae