Shayari
dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
ishq kaa naam garche hai mashhur
main taajjub mein huun ki kyaa shai hai
عشق کا نام گرچہ ہے مشہور
میں تعجب میں ہوں کہ کیا شے ہے
ishq kā naam garche hai mash.hūr
maiñ ta.ajjub meñ huuñ ki kyā shai hai

dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
boltaa huun jo vo bulaataa hai
tan ke pinjre mein us kaa totaa huun
vaqt hai ab namaaz-e-maghrib kaa
chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam
tahqiq ki nazar siin aakhir kuun ham ne dekhaa
akasr hain maal vaale kam hain kamaal vaale
masjid vahshat mein paDhtaa hai taraavih-e-junun
mushaf husn-e-pari-rukhsaar jis kuun yaad hai
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liyaa dars nuskha-e-ishq kaa
ki kitaab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bastiyon vaale to khud oDh ke patte, soe
dil-e-aavaara tujhe raat sambhaalaa kis ne
'ishq mein koi bhi sarhad hamein manzur nahin
'ishq sarhad ke to us paar bhi ho saktaa
dhuum naalon ne yahaan tak to machaai hai 'sharar'
bakht-e-khufta ko dil-e-zaar ne sone na diyaa
kamre mein kuchh bhi nahin bas intizaari rah gai
ek adhuraa 'ishq aur khushbu tumhaari rah gai