Shayari
ishq hai ishq ye mazaaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo
tere jaane mein aur aane mein
ham ne sadiyon kaa faasla dekhaa
تیرے جانے میں اور آنے میں
ہم نے صدیوں کا فاصلہ دیکھا
तेरे जाने में और आने में
हम ने सदियों का फ़ासला देखा

ishq hai ishq ye mazaaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo
zikr jab hogaa mohabbat mein tabaahi kaa kahin
yaad ham aaeinge duniyaa ko havaalon ki tarah
teri aankhon mein ham ne kyaa dekhaa
kabhi qaatil kabhi khudaa dekhaa
dekhne vaalo tabassum ko karam mat samjho
unhein to dekhne vaalon pe hansi aati hai
ham se puchho na dosti kaa silaa
dushmanon kaa bhi dil hilaa degaa
saamne hai jo use log buraa kahte hain
jis ko dekhaa hi nahin us ko khudaa kahte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dard kaa phir maza hai jab 'akhtar'
dard khud chaarasaaz ho jaae
pal-bhar mein banaa dete hain baaton kaa batangaD
rahte hain sadaa taak mein ahbaab hamaare
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut