Shayari
ik khauf-e-be-panaah hai aankhon ke aar-paar
taarikiyon mein Dubtaa lamha hai saamne
har ek daastaan tujh se shurua hoti hai
har ek qissa tire naam par tamaam huaa
ہر ایک داستاں تجھ سے شروع ہوتی ہے
ہر ایک قصہ ترے نام پر تمام ہوا
हर एक दास्ताँ तुझ से शुरूअ होती है
हर एक क़िस्सा तिरे नाम पर तमाम हुआ

ik khauf-e-be-panaah hai aankhon ke aar-paar
taarikiyon mein Dubtaa lamha hai saamne
safar safar mire qadmon se jagmagaayaa huaa
taraf taraf hai miri khaak-e-justuju raushan
main vo sahraa jise paani ki havas le Duubi
tu vo baadal jo kabhi TuuT ke barsaa hi nahin
fursat mein rahaa karte hain fursat se zyaada
masruf hain ham log zarurat se zyaada
hamaari saada-mizaaji pe rashk karte hain
vo saada-posh jo be-intihaa rangile hain
saamne aankhon ke phir yakh-basta manzar aaegaa
dhuup jam jaaegi aangan mein december aaegaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi