Shayari
ai iltifaat-e-yaar mujhe sochne to de
marne kaa hai maqaam yaa jiine kaa mahal
kahte the tujhi ko jaan apni
aur tere baghair bhi jiye hain
کہتے تھے تجھی کو جان اپنی
اور تیرے بغیر بھی جئے ہیں
कहते थे तुझी को जान अपनी
और तेरे बग़ैर भी जिए हैं

ai iltifaat-e-yaar mujhe sochne to de
marne kaa hai maqaam yaa jiine kaa mahal
dam-e-rukhsat vo chup rahe 'aabid'
aankh mein phailtaa gayaa kaajal
jalva-e-yaar se kyaa shikva-e-bejaa kiije
shauq-e-didaar kaa aalam vo kahaan hai ki jo thaa
tere khush-posh faqiron se vo milte to sahi
jo ye kahte hain vafaa pairhan-e-chaak mein hai
yaa kabhi aashiqi kaa khel na khel
yaa agar maat ho to haath na mal
meraa jiinaa hai sej kaanTon ki
un ke marne kaa naam taaj-mahal
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
chhup gayaa eid kaa chaand nikal kar der hui par jaane kyon
nazrein ab tak Tiki hui hain masjid ke minaaron par
duniyaa gharib jaan ke hansti thi 'mir' par
'iqbaal' mujh pe aise ye duniyaa hansi ki bas