Shayari
to kyaa huaa jo janmi thi pardes mein kabhi
beTi hai 'arshiya' bhi to hindostaan ki
S
Syeda Arshia Haqtum bhi aakhir ho mard kyaa jaano
ek aurat kaa dard kyaa jaano
تم بھی آخر ہو مرد کیا جانو
ایک عورت کا درد کیا جانو
तुम भी आख़िर हो मर्द क्या जानो
एक औरत का दर्द क्या जानो
to kyaa huaa jo janmi thi pardes mein kabhi
beTi hai 'arshiya' bhi to hindostaan ki
tumhaaraa roz jo main sarf karti rahti huun
tumhein gumaan na ho tum miri mohabbat ho
khabar kar de koi us be-khabar ko
miri haalat bigaDti jaa rahi hai
'arshiyaa-haq' ke parastaaron mein ho
tum bhi kaafir ho gunahgaaron mein ho
sab yahaan 'jaun' ke divaane hain
'haq' kaho kaun tum ko chaahegaa
main khud pe zabt khoti jaa rahi huun
judaai kyaa sitam-aalud shai hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
har kitaab-e-sohbat-e-rangin ke maani dekh kar
fard-e-tanhaai ke mazmun kuun kiyaa huun intikhaab
sadaa-e-vaqt ki gar baaz-gasht san paao
mire khayaal ko tum shaairaana kah denaa
mile mujh ko gham se fursat to sunaaun vo fasaana
ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabaana