Shayari
tum bhi aakhir ho mard kyaa jaano
ek aurat kaa dard kyaa jaano
S
Syeda Arshia Haqtumhaaraa roz jo main sarf karti rahti huun
tumhein gumaan na ho tum miri mohabbat ho
تمہارا روز جو میں صرف کرتی رہتی ہوں
تمہیں گمان نہ ہو تم مری محبت ہو
तुम्हारा रोज़ जो मैं सर्फ़ करती रहती हूँ
तुम्हें गुमान न हो तुम मिरी मोहब्बत हो
tum bhi aakhir ho mard kyaa jaano
ek aurat kaa dard kyaa jaano
to kyaa huaa jo janmi thi pardes mein kabhi
beTi hai 'arshiya' bhi to hindostaan ki
khabar kar de koi us be-khabar ko
miri haalat bigaDti jaa rahi hai
'arshiyaa-haq' ke parastaaron mein ho
tum bhi kaafir ho gunahgaaron mein ho
sab yahaan 'jaun' ke divaane hain
'haq' kaho kaun tum ko chaahegaa
main khud pe zabt khoti jaa rahi huun
judaai kyaa sitam-aalud shai hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tujhe kuchh ishq o ulfat ke sivaa bhi yaad hai ai dil
sunaae jaa rahaa hai ek hi afsaana barson se
ishq hai be-gudaaz kyuun husn hai be-niyaaz kyuun
meri vafaa kahaan gai un ki jafaa ko kyaa huaa
kuchh badan ke the taqaaze kuchh sharaarat dil ki thi
aaj lekin ishq apnaa jaavedaan hone ko thaa
lutf-e-sohbat mataa-e-ulfat hai
kuchh kaho aur kuchh suno pyaare