Shayari
raas aataa hi nahin ham ko sakun
shaanti ko bhang karnaa chaahiye
paise kaa mol-tol hai ab ishq kaa nahin
mahbub bhi bharose ke qaabil nahin rahaa
پیسے کا مول تول ہے اب عشق کا نہیں
محبوب بھی بھروسے کے قابل نہیں رہا
पैसे का मोल-तोल है अब इश्क़ का नहीं
महबूब भी भरोसे के क़ाबिल नहीं रहा

raas aataa hi nahin ham ko sakun
shaanti ko bhang karnaa chaahiye
meri masarraton kaa sabab bas yahi to hai
main rishvaton ke biich mein haail nahin rahaa
jab se baDhaa hai shahr mein mauton kaa silsila
hamraah apne rakhtaa huun ik nauhagar ko main
jo zakhm judaai ke diye un pe miri jaan
sastaa saa hi marham tu lagaane ke liye aa
dil lagi ki baat Dhalti umr mein
'raaz' ki surat to dekhaa chaahiye
jab se akaD ke 'raaz' main paDhne lagaa huun sher
main bhi paDhe likhon mein huun jaahil nahin rahaa
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa