Shayari
nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhnaa chaahtaa huun
bardaasht dard-e-ishq ki dushvaar ho gai
ab zindagi bhi jaan kaa aazaar ho gai
برداشت درد عشق کی دشوار ہو گئی
اب زندگی بھی جان کا آزار ہو گئی
बर्दाश्त दर्द-ए-इश्क़ की दुश्वार हो गई
अब ज़िंदगी भी जान का आज़ार हो गई

nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhnaa chaahtaa huun
aah us ki be-kasi tu na jis ke saath ho
haae us ki bandagi jis kaa tu khudaa nahin
uf vo nazar ki sab ke liye dil-navaaz hai
meri taraf uThi to talvaar ho gai
khudaa mujh ko tujh se hi mahrum kar de
jo kuchh aur tere sivaa chaahtaa huun
kahin rusvaa na hon ranginiyaan dard-e-mohabbat ki
miraa itnaa khayaal ai dida-e-khun-baar kar lenaa
dil ke pardon mein chhupaayaa hai tire ishq kaa raaz
khalvat-e-dil mein bhi pardaa nazar aataa hai mujhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sadqe tire hote hain suraj bhi sitaare bhi
ham kis se kahein dil hai siine mein hamaare bhi
bad-gumaani ko baDhaa kar tum ne ye kyaa kar diyaa
khud bhi tanhaa ho gae mujh ko bhi tanhaa kar diyaa
dil ki udaasiyon kaa koi sabab nahin hai
bas ye sabab hai mere dil ki udaasiyon kaa