Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
anjaam us ke haath hai aaghaaz kar ke dekh
bhige hue paron se hi parvaaz kar ke dekh
انجام اس کے ہاتھ ہے آغاز کر کے دیکھ
بھیگے ہوئے پروں سے ہی پرواز کر کے دیکھ
अंजाम उस के हाथ है आग़ाज़ कर के देख
भीगे हुए परों से ही परवाज़ कर के देख

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
mohtasib aao chalein aaj to mai-khaane mein
ek jannat hai vahaan aap ki jannat ke sivaa
miri taqdir se pahle sanvarnaa jin kaa mushkil hai
tiri zulfon mein kuchh aise bhi kham mahsus kartaa huun
kitne lage hain zakhm jigar par kise khabar
Dhaai hai kis ne kitni qayaamat na puchhiye
ek malaal ki gard sameTe main ne khud ko paar kiyaa
kaise kaise vasl guzaare hijr kaa zakhm chhupaane mein