Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
tanhaaiyaan tumhaaraa pata puchhti rahin
shab-bhar tumhaari yaad ne sone nahin diyaa
تنہائیاں تمہارا پتہ پوچھتی رہیں
شب بھر تمہاری یاد نے سونے نہیں دیا
तन्हाइयाँ तुम्हारा पता पूछती रहीं
शब-भर तुम्हारी याद ने सोने नहीं दिया

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sitaaron se shab-e-gham kaa to daaman jagmagaa uThThaa
magar aansu bahaa kar hijr ke maaron ne kyaa paayaa
abhi talak hai sadaa paaniyon pe Thahri hui
agarche Duub chukaa hai pukaarne vaalaa
gham-e-dauraan mein kahaan baat gham-e-jaanaan ki
nazm hai apni jagah khuub magar haae ghazal