Shayari
uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
dilon mein zakhm honTon par tabassum
usi kaa naam to zinda-dili hai
دلوں میں زخم ہونٹوں پر تبسم
اسی کا نام تو زندہ دلی ہے
दिलों में ज़ख़्म होंटों पर तबस्सुम
उसी का नाम तो ज़िंदा-दिली है

uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
baad taklif ke raahat hai yaqini 'vaahid'
raat kaa aanaa hi paighaam-e-sahar hotaa hai
gul ghunche aaftaab shafaq chaand kahkashaan
aisi koi bhi chiiz nahin jis mein tu na ho
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'vaahid'
unhin ke naam hain duniyaa mein jin ke kaam achchhe hain
aazaad to barson se hain arbaab-e-gulistaan
aai na magar taaqat-e-parvaaz abhi tak
shakhsiyyat-e-fankaar muamma nahin 'vaahid'
fan hi mein huaa kartaa hai fankaar kaa partav
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
fursat mein ik nafas ke kyaa dard-e-dil sunoge
aae to tum va-lekin vaqt-e-akhir aae
kiyaa thaa rekhta parda-sukhan kaa
so Thahraa hai yahi ab fan hamaaraa
nau-giraftaar-e-mohabbat huun vafaa mujh mein kahaan
kam se kam dil abhi sau baar to aane diije
munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat
darvaaza ghar se saikDon farsang ho gayaa