Shayari
yaad karnaa har ghaDi tujh yaar kaa
hai vazifa mujh dil-e-bimaar kaa
aarzu-e-chashma-e-kausar naiin
tishna-lab huun sharbat-e-didaar kaa
آرزوئے چشمۂ کوثر نئیں
تشنہ لب ہوں شربت دیدار کا
आरज़ू-ए-चश्मा-ए-कौसर नईं
तिश्ना-लब हूँ शर्बत-ए-दीदार का

yaad karnaa har ghaDi tujh yaar kaa
hai vazifa mujh dil-e-bimaar kaa
phir meri khabar lene vo sayyaad na aayaa
shaayad ki miraa haal use yaad na aayaa
kiyaa mujh ishq ne zaalim kuun aab aahista aahista
ki aatish gul kuun karti hai gulaab aahista aahista
dil-e-ushshaaq kyuun na ho raushan
jab khayaal-e-sanam charaagh huaa
gul hue gharq aab-e-shabnam mein
dekh us saahib-e-hayaa ki adaa
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai
dekhaa hai jis ne husn-e-tajalli bahaar kaa
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
khul gayaa un ki aarzu mein ye raaz
ziist apni nahin paraai hai
aankhein khulin to jaag uThin hasratein tamaam
us ko bhi kho diyaa jise paayaa thaa khvaab mein
kamaal-e-ishq bhi khaali nahin tamannaa se
jo hai ik aah to us ko bhi hai asar ki talab
kuchh qafas ki tiliyon se chhan rahaa hai nuur saa
kuchh fazaa kuchh hasrat-e-parvaaz ki baatein karo
ye maanaa inqalaab-e-zindagi mein laakh khatre hain
tamannaa phir bhi hai ye zindagi zer-o-zabar hoti