Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
main boltaa gayaa huun vo suntaa rahaa khaamosh
aise bhi meri haar hui hai kabhi kabhi
میں بولتا گیا ہوں وہ سنتا رہا خاموش
ایسے بھی میری ہار ہوئی ہے کبھی کبھی
मैं बोलता गया हूँ वो सुनता रहा ख़ामोश
ऐसे भी मेरी हार हुई है कभी कभी

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
ye dil kaa karb labon tak kabhi na aaegaa
mire liye ye khamoshi kaa irtiqaa hi sahi
rah-e-hayaat mein shaayad hi vo maqaam aae
ki naghma-haa-e-junun par sukut taari ho
khuli zabaan to zarf un kaa ho gayaa zaahir
hazaar bhed chhupaa rakkhe the khamoshi mein
mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai
khamoshi bhi hai ye aavaaz bhi hai
lab-e-khaamosh mein hi jaa-e-amaan aaj bhi hai
varna kahne ko to har munh mein zabaan aaj bhi hai