Shayari
be-hisi par miri vo khush thaa ki patthar hi to hai
main bhi chup thaa ki chalo siine mein khanjar hi to hai
chamak rahaa hai khema-e-raushan duur sitaare saa
dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein
چمک رہا ہے خیمۂ روشن دور ستارے سا
دل کی کشتی تیر رہی ہے کھلے سمندر میں
चमक रहा है ख़ेमा-ए-रौशन दूर सितारे सा
दिल की कश्ती तैर रही है खुले समुंदर में

be-hisi par miri vo khush thaa ki patthar hi to hai
main bhi chup thaa ki chalo siine mein khanjar hi to hai
guhar lage the khunuk ungliyon ke zakhm mujhe
ab is athaah samundar ko phir khangaale kaun
uDaa ke khaak bahut main ne dekh li ai 'zeb'
vahaan talak to koi raasta nahin jaataa
miri jagah koi aaina rakh liyaa hotaa
na jaane tere tamaashe mein meraa kaam hai kyaa
ek jhonkaa havaa kaa aayaa 'zeb'
aur phir main ghubaar bhi na rahaa
ajab karishma dikhaayaa ba-yak qalam us ne
havaa chalaai samundar ko naqsh-e-aab diyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil mein miri vahshat ne par jitne nikaale the
main ne unhein bal de kar zanjir banaai hai
samajh mein aaegi tafsir-e-zindagi kyaa khaak
ki harf-e-shauq hai ijmaal be-dili tafsil
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
fariyaad ko majnun ki sune kaun jahaan hon
likkhun dil-e-naalaan jaras-e-mahmil-e-lailaa