Shayari
aayaa thaa mere paas vo kuchh der ke liye
suraj magar gahan mein bahut der tak rahaa
bas ek rang hai dil mein kisi ke hone se
ab apne-aap ko is se bhi saada kyaa karnaa
بس ایک رنگ ہے دل میں کسی کے ہونے سے
اب اپنے آپ کو اس سے بھی سادہ کیا کرنا
बस एक रंग है दिल में किसी के होने से
अब अपने-आप को इस से भी सादा क्या करना

aayaa thaa mere paas vo kuchh der ke liye
suraj magar gahan mein bahut der tak rahaa
main zindagi ke sabhi gham bhulaae baiThaa huun
tumhaare ishq se kitni mujhe sahulat hai
havaa bahaar ki aaegi aur main chumungaa
vo saare phuul ki jin mein tiri shabaahat hai
kis qadar mahdud kar detaa hai gham insaan ko
khatm kar detaa hai har ummid har imkaan ko
khiDki ke raste se laayaa kartaa huun
main baahar ki duniyaa khaali kamre mein
guzar gai hai magar roz yaad aati hai
vo ek shaam jise bhulne ki hasrat hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
faakhta kahti rahi faslein jalaa di jaaeingi
jhuum kar aage baDhe baadal ki ham to jaaeinge
pahli si lazzatein nahin ab dard-e-ishq mein
kyuun dil ko main ne zulm kaa khugar banaa diyaa
ek ham hain raat bhar karvaT badalte hi kaTi
ek vo hain din chaDhe tak jin kaa dar khultaa nahin
kal raat mire dil ne phir chupke se puchhaa hai
'muztar' tiri aahon mein aaegaa asar kab tak