Shayari
bas main maayus hone vaalaa thaa
aur maulaa ne tujh ko bhej diyaa
unche niche ghar the basti mein bahut
zalzale ne sab baraabar kar diye
اونچے نیچے گھر تھے بستی میں بہت
زلزلے نے سب برابر کر دیئے
ऊँचे नीचे घर थे बस्ती में बहुत
ज़लज़ले ने सब बराबर कर दिए

bas main maayus hone vaalaa thaa
aur maulaa ne tujh ko bhej diyaa
bichhaD kar bhi huun zinda rahne vaalaa
tu hotaa kaun hai ye kahne vaalaa
is dar kaa ho yaa us dar kaa har patthar patthar hai lekin
kuchh ne meraa sar phoDaa hain kuchh par main ne sar phoDaa hai
us ke khat raat bhar yuun paDhtaa huun
jaise kal imtihaan ho meraa
apnaa kangan samajh rahe ho kyaa
aur kitnaa ghumaaoge mujh ko
aaj to dil ke dard par hans kar
dard kaa dil dukhaa diyaa main ne
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
vo gulaabi baadalon mein ek niili jhiil si
hosh qaaem kaise rahte thaa hi kuchh aisaa libaas
masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imaam
mu-e-mizhgaan muqtadi ho mil ke karte hain namaaz
rouun to khush ho ke piye hai vo mai
samjhe hai mausam ise barsaat kaa
roza-daaraan-e-judaai kuun kham-e-abru-e-yaar
maah-e-id-e-ramazaan thaa mujhe maalum na thaa