Shayari
kisi se mil ke kisi ko buraa saa lagtaa hai
baDaa gunaah hai garche zaraa saa lagtaa hai

Razi Abuzar
Razi Abuzar
kisi se mil ke kisi ko buraa saa lagtaa hai
baDaa gunaah hai garche zaraa saa lagtaa hai
raabte TuuTe hain rishte rah gae hain naam ke
talkhiyaan haael dilon ke darmiyaan hoti gaiin
shafaq kaa rang sukun hai sahar ke chehre par
ki gesu-e-shab-e-gham be-qaraar hai ab tak
jalaa hai parda-e-shab mein hujum-e-parvaana
barahna sham' magar be-qaraar hai ab tak
sar-e-khaamushi ye sajaavaTein usi rang-o-bu ki misaal hain
jo mahak ho qabr ke phuul mein jo chamak ho sham'-e-mazaar mein
chappa chappa konaa konaa shahr kaa ham ne chhaanaa hai
vaqt ne karvaT badli ab har moD yahaan an-jaanaa hai
jab zabaan rakkhi hai main ne halqa-e-zanjir mein
tab kahin aai hai shiddat she'r ki taasir mein
hijaabaana aa kar vo chalte bane
mujhe 'ishq kaa vasvasa rah gayaa
tiraa ye zaabta-e-ehtijaaj achchhaa hai
ki ranj ho ke bhi kahnaa mizaaj achchhaa hai