Shayari
fikr-mandi fuzul hoti hai
koshish-e-dil qubul hoti hai

Ziauddin Ahmad Shakeb
Ziauddin Ahmad Shakeb
fikr-mandi fuzul hoti hai
koshish-e-dil qubul hoti hai
hamein bhi zarurat thi ik shakhs ki
ye husn-e-tasaadum bahut khuub hai
mukhtasar baat-chit achchhi hai
lekin itnaa bhi ikhtisaar na kar
aql kuchh ziist ki kafil nahin
zindagi itni be-sabil nahin
yaqin gar karo tum bahut khuub hai
ye be-jaa tabassum bahut khuub hai
aap ke saath muskuraane mein
zindagi ek phuul hoti hai
meri tajviz par khafaa kyuun ho
baat kuchh aql ke khilaaf nahin
divaana-e-justuju ho gayaa chaand
baadal se gir ke kho gayaa chaand
itne naadim na hoiye aakhir
achchhe-achchhon se bhuul hoti hai
gosh-e-mushtaaq-e-sadaa-e-naala-e-dil ab kahaan
sher agar dil ke lahu mein Duub kar nikle to kyaa
ham se vaaiz ne baat ki hoti
gumrahi apni be-dalil nahin
jab tak ki mohabbat kaa chalan aam rahegaa
har lab pe miraa zikr miraa naam rahegaa