SHAWORDS

aadmi thaa kyaa vahi ik kaam kaa — Jagdeesh Raj Figar

"aadmi thaa kyaa vahi ik kaam kaa arz par jis kaa koi maskan na thaa jo kisi ne pairahan mujh ko diyaa vo mire hi tan kaa hissa ban gayaa ham the juDvaan is liye tan ek thaa ek surgeon ne alag ham ko kiyaa jal mein jab tak main rahaa zinda rahaa taT pe saagar ke main aa kar mar gayaa jab kabhi main sochne kuchh lag paDaa duur tak phir silsila chaltaa rahaa main zamin par ik tarah kaa bojh thaa vo to maan thi us ko ye sahnaa paDaa vajd mein aataa kabhi to peD ki Tahniyon par chaDh ke aksar jhultaa thaa main saalik ik anokhaa dahr mein jo bhi maslak mil gayaa main chal paDaa aalam-e-jabrut kaa saakin thaa main aalam-e-sifli mein kaise aa gayaa haadse ko roknaa thaa is liye raaste par ho gayaa jaa kar khaDaa band karte the kabhi the kholte ruup darvaaze kaa mujh ko kyaa milaa leT jaataa piiTh ke bal farsh par dekh letaa jab bhi aate mein qazaa jo samaavi the qamar par jaa base main thaa khaaki dahr mein hi rah gayaa mujh ko denaa thaa 'figaar' un kaa javaab chiTThiyon kaa saamne ambaar thaa"
Urdu

آدمی تھا کیا وہی اک کام کا ارض پر جس کا کوئی مسکن نہ تھا جو کسی نے پیرہن مجھ کو دیا وہ مرے ہی تن کا حصہ بن گیا ہم تھے جڑواں اس لئے تن ایک تھا ایک سرجن نے الگ ہم کو کیا جل میں جب تک میں رہا زندہ رہا تٹ پہ ساگر کے میں آ کر مر گیا جب کبھی میں سوچنے کچھ لگ پڑا دور تک پھر سلسلہ چلتا رہا میں زمیں پر اک طرح کا بوجھ تھا وہ تو ماں تھی اس کو یہ سہنا پڑا وجد میں آتا کبھی تو پیڑ کی ٹہنیوں پر چڑھ کے اکثر جھولتا تھا میں سالک اک انوکھا دہر میں جو بھی مسلک مل گیا میں چل پڑا عالم جبروت کا ساکن تھا میں عالم سفلی میں کیسے آ گیا حادثے کو روکنا تھا اس لئے راستے پر ہو گیا جا کر کھڑا بند کرتے تھے کبھی تھے کھولتے روپ دروازے کا مجھ کو کیا ملا لیٹ جاتا پیٹھ کے بل فرش پر دیکھ لیتا جب بھی آتے میں قضا جو سماوی تھے قمر پر جا بسے میں تھا خاکی دہر میں ہی رہ گیا مجھ کو دینا تھا فگارؔ ان کا جواب چٹھیوں کا سامنے انبار تھا

Hindi

आदमी था क्या वही इक काम का अर्ज़ पर जिस का कोई मस्कन न था जो किसी ने पैरहन मुझ को दिया वो मिरे ही तन का हिस्सा बन गया हम थे जुड़वाँ इस लिए तन एक था एक सर्जन ने अलग हम को किया जल में जब तक मैं रहा ज़िंदा रहा तट पे सागर के मैं आ कर मर गया जब कभी मैं सोचने कुछ लग पड़ा दूर तक फिर सिलसिला चलता रहा मैं ज़मीं पर इक तरह का बोझ था वो तो माँ थी उस को ये सहना पड़ा वज्द में आता कभी तो पेड़ की टहनियों पर चढ़ के अक्सर झूलता था मैं सालिक इक अनोखा दहर में जो भी मस्लक मिल गया मैं चल पड़ा आलम-ए-जबरूत का साकिन था मैं आलम-ए-सिफ़्ली में कैसे आ गया हादसे को रोकना था इस लिए रास्ते पर हो गया जा कर खड़ा बंद करते थे कभी थे खोलते रूप दरवाज़े का मुझ को क्या मिला लेट जाता पीठ के बल फ़र्श पर देख लेता जब भी आते में क़ज़ा जो समावी थे क़मर पर जा बसे मैं था ख़ाकी दहर में ही रह गया मुझ को देना था 'फ़िगार' उन का जवाब चिट्ठियों का सामने अम्बार था

aadmī thā kyā vahī ik kaam kā
J
Jagdeesh Raj Figar
Jagdeesh Raj Figar
poet12 quotes

More by Jagdeesh Raj Figar

View all →
Quote
"main ne jab tab jidhar jidhar dekhaa apni surat kaa hi bashar dekhaa ret mein dafn the makaan jahaan un pe miTTi kaa bhi asar dekhaa jab sukunat thi meri barzakh mein nek ruhon kaa ik nagar dekhaa jo barahna mudaam rahtaa thaa main ne malbus vo shajar dekhaa apne maslak pe gaamzan thaa jab raushni ko bhi ham-safar dekhaa mujh pe thaa har vajud kaa saaya dhuup ko jab barahna-sar dekhaa mujh ko ehsaas bartari kaa huaa rifaton ko jab ik nazar dekhaa jis ki tauhin ki sitaaron ne main ne aisaa bhi ik qamar dekhaa us ke rukh par miraa hi partav thaa main ne jis ko bhi ik nazar dekhaa us ki rudaad buum se puchho jo bhi kuchh us ne raat-bhar dekhaa meri chiDiyon se thi rifaaqat kyaa saaf suthraa jo apnaa ghar dekhaa dekhnaa thaa ki dev saa bhi huun chaDh ke kandhon pe apnaa sar dekhaa aatmaa se jo raabta thaa miraa zaat apni mein ishvar dekhaa bahr-o-bar se vo mukhtalif thaa 'figaar' main ne manzar jo auj par dekhaa"
J
Jagdeesh Raj Figar
Quote
"rabt sahraa se arsh kaa dekhaa baadalon kaa jo qaafila dekhaa kahkashaan kaa vo aks hi to thaa main ne lahron mein raasta dekhaa Daali Daali pe baiTh kar main ne phal chakhaa aur zaaiqa dekhaa charkh kaa pairahan to mailaa thaa dahr kaa pairahan nayaa dekhaa itnaa hi qurb kaa huaa ehsaas jitnaa maabain faasla dekhaa jaaeza jab liyaa bulandi kaa sheb se us kaa vaasta dekhaa yuun lagaa har javaan muammar hai us ke haathon mein jo asaa dekhaa vo to bagule kaa ham-navaa hogaa jis ko main Taang par khaDaa dekhaa be-karaan is liye huaa saagar us ne saahil ko jo khafaa dekhaa kyaa gagan arz ki kashish mein thaa us ko jo khaak se aTaa dekhaa mir-e-maidaan ki to hai baat alag kyaa miraa ran mein hausla dekhaa sar judaa thaa sharir se jaise main ne bas peD kaa tanaa dekhaa har tarah us kaa ehtiraam kiyaa jis ko apne se kuchh baDaa dekhaa tu to maidaan kaa makin thaa 'figaar' kab pahaaDon kaa silsila dekhaa"
J
Jagdeesh Raj Figar
Quote
"vo aap ke qarin hai use dekhnaa nahin vo bhi to mah-jabin hai use dekhnaa nahin jis ghar mein jaaguzin hai use dekhnaa nahin kis kis kaa ham-nashin hai use dekhnaa nahin jo satah par hai chiiz use dekhnaa hi kyaa jo chiiz tah-nashin hai use dekhnaa nahin shaayad tire jamaal ko samt ik nai mile tujh se bhi jo hasin hai use dekhnaa nahin dharti pe reingte hue dekhe to honge saanp jo maar-e-aastin hai use dekhnaa nahin uupar se chaaq-o-chust vo lagtaa zarur hai andar se vo hazin hai use dekhnaa nahin raqsaan thi lab pe us ke vo muskaan dekh li chiin se jo pur-jabin hai use dekhnaa nahin jo chal diyaa kahin to use mil na paaegaa vo to abhi yahin hai use dekhnaa nahin maanaa pisar kaput hai lakht-e-jigar to hai ye saans vaapsin hai ise dekhnaa nahin tere vajud ki jo kabhi tarjumaan thi haan ye vo yaasmin hai ise dekhnaa nahin jo khaak se banaa hai use dekhtaa hai tu jo jism-e-aatishin hai use dekhnaa nahin"
J
Jagdeesh Raj Figar
Quote
"bil-yaqin paikar-e-shabaab hai vo jis ki nazron kaa intikhaab hai vo ek khaaki huun main to gard-aalud mere chehre ki aab-o-taab hai vo aag si dhuup mein huun mahv-e-safar chhaanv ban kar jo ham-rikaab hai vo main jo mahdud huun talaatum tak mere idraak mein habaab hai vo phir bhi laazim mutaala meraa yuun to ik baab huun kitaab hai vo us ki jaanib sabhi rujua karein kul savaalaat kaa javaab hai vo jis ki taabir hai usi ke paas meri hasti kaa aisaa khvaab hai vo is ki tasdiq aasmaan kare reg-zaaron kaa kyaa sahaab hai vo jis ki bu-baas har badan mein hai gulshan-e-zist kaa gulaab hai vo ye tumhaari nazar kaa dhokaa hai ek sahraa huun main saraab hai vo ashk se ho ki khuun se nisbat ek ik buund kaa hisaab hai vo us kaa koi to ho subut 'figaar' kaun maanegaa inqalaab hai vo"
J
Jagdeesh Raj Figar
Quote
"ye naadaan zehn hai jo sochtaa hai khalaa mein kyaa kahein saut-o-sadaa hai qalam ne jo bhi kaaghaz par likhaa hai mire afkaar kaa vo aaina hai ik aisaa bhi hai paani kaa parinda tah-e-qulzum pe jis kaa ghonsla hai farishton ki paDho to hast rekhaa davaam un ke muqaddar mein likhaa hai utaareinge kabhi tauq-e-ghulaami havaaon kaa fazaaon ne kahaa hai zamin ko ab nahin pahli si harakat qamar bhi duur hotaa jaa rahaa hai vahi naazil hui hai aasmaan se ki har bachcha jahaan kaa devtaa hai tamaam asraar kholegaa vo apne gagan dharti ki jaanib chal paDaa hai ravaabit is ke be-maani hain saare zamaan-e-haal se jo kaT gayaa hai muqayyad hi rahaa huun ghar mein apne yugon se silsila ye chal rahaa hai jahaan ko tang-bini kaa ye tohfa falak ki vusaton se kyaa milaa hai 'figaar' ik paikar-e-hilm-o-tahammul banaa kar sab ke ghar mein rakh diyaa hai"
J
Jagdeesh Raj Figar
Quote
"apne hi aas paas huun main khud jo apni asaas huun main jo haqiqat se be-khabar hain nazd un ke qayaas huun main ins-o-jaan ke liye jahaan mein hai agar vo nivaas huun mein us ke bunne mein munhamik huun har badan kaa libaas huun mein fikr apne shikam ki kyon jab har dahan kaa garaas huun main tishna-kaamo huun vaise sotaa dasht-e-vahshat mein pyaas huun main chaahe daarul-amaan mein huun is jagah bhi hiraas huun main qurb haasil hai chaandni kaa jism-e-simin ki aas huun main baas phulon ki chand lamhe apne tan hi ki baas huun main dahr mein main jahaan-jahaan huun unnati huun vikaas huun main jo hai marghub har kisi ko ik vahi to vilaas huun mein"
J
Jagdeesh Raj Figar

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar