Quote
"fusun-e-shab ki siyaahi se haar jaate hain ham ahl-e-girya khamoshi se haar jaate hain sajaa ke chaaron taraf dosto vo bazm-e-nashaat sunaa hai dil ki udaasi se haar jaate hain dilon mein dard liye ahl-e-hijr nauhagar rah-e-vafaa mein asiri se haar jaate hain qabila yuun to lab-e-ju basaa liyaa lekin ham ab bhi tishna-dahaani se haar jaate hain ajiib hote hain ai shakhs dukh ke baashinde zaraa se aankh ke paani se haar jaate hain"
