SHAWORDS

aainon ki bhiiD mein patthar rahe badnaam bhi — Hafeez Aatish

HomeHafeez AatishGhazal
"aainon ki bhiiD mein patthar rahe badnaam bhi aainon ko paD rahaa hai pattharon se kaam bhi tu khudaa hai to mukammal kyon nahin kartaa mujhe varna mujh se chhin le ye meraa istihkaam bhi main akelaa hi nahin huun is sutun-e-daar par hai mire hamraah ik idraak bhi anjaam bhi ibtidaa bhi in khilaunon ki isi miTTi se hai muskuraataa hai yahin baiThaa kahin anjaam bhi"
Urdu

آئنوں کی بھیڑ میں پتھر رہے بدنام بھی آئنوں کو پڑ رہا ہے پتھروں سے کام بھی تو خدا ہے تو مکمل کیوں نہیں کرتا مجھے ورنہ مجھ سے چھین لے یہ میرا استحکام بھی میں اکیلا ہی نہیں ہوں اس ستون دار پر ہے مرے ہم راہ اک ادراک بھی انجام بھی ابتدا بھی ان کھلونوں کی اسی مٹی سے ہے مسکراتا ہے یہیں بیٹھا کہیں انجام بھی

Hindi

आइनों की भीड़ में पत्थर रहे बदनाम भी आइनों को पड़ रहा है पत्थरों से काम भी तू ख़ुदा है तो मुकम्मल क्यों नहीं करता मुझे वर्ना मुझ से छीन ले ये मेरा इस्तिहकाम भी मैं अकेला ही नहीं हूँ इस सुतून-ए-दार पर है मिरे हमराह इक इदराक भी अंजाम भी इब्तिदा भी इन खिलौनों की इसी मिट्टी से है मुस्कुराता है यहीं बैठा कहीं अंजाम भी

ā.inoñ kī bhiiḌ meñ patthar rahe badnām bhī
H
Hafeez Aatish
Hafeez Aatish
poet7 quotes

More by Hafeez Aatish

View all →
Quote
"kahne ke liye kyon koi tayyaar nahin hai duniyaa hai yahaan kaun adaakaar nahin hai jangal ki taraf lauT rahe hain ye parinde ab shahr mein gunjaaish-e-ashjaar nahin hai ghar aur ujaaDegi abhi andhi siyaasat sar par Tangi un ke koi talvaar nahin hai ik khauf musallat hai jo jiine nahin detaa haalaanki vatan kaa vo bhi ghaddaar nahin hai taarikh bhulaa deti hai un qaumon ko aksar divaana koi jin mein sar-e-daar nahin hai atraaf ke maahaul se kuchh siikh lo 'aatish' tanhaa jo nazar aae samajh-daar nahin hai"
H
Hafeez Aatish
Quote
"jab jab mujhe mili hai vo bimaar si lagi tufaan ke biich ret ki divaar si lagi us ne kai havaale uchhaale jo ek saath dimak-zada kitaabon kaa ambaar si lagi aankhon ko baat kahne kaa andaaz aa gayaa kam-goi apne aap mein gham-khvaar si lagi go khud-supurdagi kaa vo 'aalam bhalaa lagaa lekin tabi’atan vo adaakaar si lagi is bhiiD mein to jiine ki ye aarzu mujhe sar par Tangi hui koi talvaar si lagi sab rang apni baanhon mein tanhaa sameT luun khvaahish ki ye talab bhi gunahgaar si lagi"
H
Hafeez Aatish

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri