SHAWORDS

aaj saudaa-e-mohabbat ki ye arzaani hai — Hanson Rehani

HomeHanson RehaniGhazal
"aaj saudaa-e-mohabbat ki ye arzaani hai kaam be-kaar javaanon kaa ghazal-khvaani hai gham ki takmil kaa saamaan huaa hai paidaa laaiq-e-fakhr miri be-sar-o-saamaani hai sang o aahan to bane aaine un ki khaatir dil na aaina banaa sakht ye hairaani hai mujh se is darja khafaa kyuun ho koi parda-nashin aarzu diid ki jab fitrat-e-insaani hai faisla dil kaa mohabbat mein hai rahbar apnaa fikr kyaa manzil-e-jaanaan agar anjaani hai vo karein yaa na karein apni jafaa se tauba mere dil ko magar ehsaas-e-peshemaani hai"
Urdu

آج سودائے محبت کی یہ ارزانی ہے کام بیکار جوانوں کا غزل خوانی ہے غم کی تکمیل کا سامان ہوا ہے پیدا لائق فخر مری بے سر و سامانی ہے سنگ و آہن تو بنے آئینے ان کی خاطر دل نہ آئینہ بنا سخت یہ حیرانی ہے مجھ سے اس درجہ خفا کیوں ہو کوئی پردہ نشیں آرزو دید کی جب فطرت انسانی ہے فیصلہ دل کا محبت میں ہے رہبر اپنا فکر کیا منزل جاناں اگر انجانی ہے وہ کریں یا نہ کریں اپنی جفا سے توبہ میرے دل کو مگر احساس پشیمانی ہے

Hindi

आज सौदा-ए-मोहब्बत की ये अर्ज़ानी है काम बे-कार जवानों का ग़ज़ल-ख़्वानी है ग़म की तकमील का सामान हुआ है पैदा लाइक़-ए-फ़ख़्र मिरी बे-सर-ओ-सामानी है संग ओ आहन तो बने आईने उन की ख़ातिर दिल न आईना बना सख़्त ये हैरानी है मुझ से इस दर्जा ख़फ़ा क्यूँ हो कोई पर्दा-नशीं आरज़ू दीद की जब फ़ितरत-ए-इंसानी है फ़ैसला दिल का मोहब्बत में है रहबर अपना फ़िक्र क्या मंज़िल-ए-जानाँ अगर अनजानी है वो करें या न करें अपनी जफ़ा से तौबा मेरे दिल को मगर एहसास-ए-पशेमानी है

aaj saudā-e-mohabbat kī ye arzānī hai
Hanson Rehani
Hanson Rehani
Hanson Rehani
poet9 quotes

More by Hanson Rehani

View all →
Quote
"baar-baar jiite hain baar-baar marte hain yuun vafaa ki duniyaa mein apne din guzarte hain aaj gesu-e-hasti ‘asr-e-nau ke shaane se utne hi ulajhte hain jis qadar sanvarte hain har qadam pe milte hain tegh-o-daar ke saae muzhda-e-mohabbat ham phir bhi ‘aam karte hain kis ko hosh rahtaa hai mai-kade mein hasti ke us dam aankh khulti hai jab nashe utarte hain kab nazar mein un ki hai farq-e-kaafir-o-din-daar jo tiri mohabbat kaa dam jahaan mein bharte hain abr-e-rahmat uThtaa hai jhuum jhuum kar paiham jis maqaam se bhi ham ahl-e-gham guzarte hain khaanqaah ke din bhi hain do-chaar zulmat se mai-kade mein raaton ko aaftaab ubharte hain shaikh aur barahman ke hathkanDe are tauba aadmi ko begaana aadmi se karte hain shikva-e-bahaaraan kyon kar rahe ho 'rehaani' khun-e-dil khapaane se gulsitaan nikharte hain"
Hanson RehaniHanson Rehani
Quote
"rang ye hai ab hamaare 'ishq ki taasir kaa husn aaina banaa hai dard ki tasvir kaa ek 'arsa ho gayaa farhaad ko guzre hue aao phir taaza karein afsaana ju-e-shir kaa gulsitaan kaa zarra zarra jaag uThe 'andalib lutf hai is vaqt tere naala-e-shab-gir kaa lijiye ai shaikh pahle apne imaan ki khabar dijiye phir shauq se fatvaa miri takfir kaa khvaab-e-hasti ko samajhne ke liye bechain huun e'tibaar aataa nahin mujh ko kisi taa'bir kaa jis ne di aakhir ghurur-e-husn-e-yusuf ko shikast allaah allaah hausla is dast-e-daaman-gir kaa toD kar nikle qafas to gum thi raah-e-aashiyaan vo ‘amal tadbir kaa thaa ye ‘amal taqdir kaa go zamaana ho gayaa gulzaar se nikle hue hai mizaaj ab tak vahi 'raihaani' dil-gir kaa"
Hanson RehaniHanson Rehani
Quote
"har zarra hai jamaal ki duniyaa liye hue insaan agar ho dida-e-binaa liye hue kaif-e-nigaah sehr-e-bayaan masti-e-khiraam ham aae un ki bazm se kyaa kyaa liye hue naqsh-o-nigaar-e-dahr ki raanaaiyaan na puchh dar-parda hain kisi kaa saraapaa liye hue be-laag main guzar gayaa har khuub o zisht se apni nazar mein zauq-e-tamaashaa liye hue raah-e-hayaat mein na milaa koi ham-safar tanhaa chalaa huun naam kisi kaa liye hue barbaad-e-iltifaat ki taqdir dekhnaa vo aae bhi to ranjish be-jaa liye hue hasti ke haadson ke muqaabil DaTaa rahaa main un ki ik nazar kaa sahaaraa liye hue 'raihaani'-e-hazin hai khizaan mein ghazal-saraa rangini-e-bahaar kaa saudaa liye hue"
Hanson RehaniHanson Rehani

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil