"taalluq apni jagah tujh se barqaraar bhi hai magar ye kyaa ki tire qurb se faraar bhi hai kured aur zamin mausamon ke mutalaashi! yahin kahin miri khoi hui bahaar bhi hai yahi na ho tiri manzil zaraa Thahar ai dil vahi makaan hai diyon ki vahi qataar bhi hai yunhi to ruuh nahin toDti hisaar-e-badan zarur apnaa koi baadalon ke paar bhi hai main pattharon se hi sar ko paTakh ke lauT aayaa chaTaan kahti rahi mujh mein shaahkaar bhi hai ye kyaa ki rok ke baiThaa huaa huun sail-e-havas machaan par bhi huun aur saamne shikaar bhi hai chhupaa huaa bhi huun jiine ki aarzu le ke panaah-gaah miri sher ki kachhaar bhi hai"
aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diyaa — Adeem Hashmi
"aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diyaa miTTi mein motiyon ko bikharne nahin diyaa jis raah par paDe the tire paanv ke nishaan is raah se kisi ko guzarne nahin diyaa chaahaa to chaahaton ki hadon se guzar gae nashsha mohabbaton kaa utarne nahin diyaa har baar hai nayaa tire milne kaa zaaiqa aisaa samar kisi bhi shajar ne nahin diyaa ye hijr hai to is kaa faqat vasl hai ilaaj ham ne ye zakhm-e-vaqt ko bharne nahin diyaa itne baDe jahaan mein jaaegaa tu kahaan is ik khayaal ne mujhe marne nahin diyaa saahil dikhaai de to rahaa thaa bahut qarib kashti ko raasta hi bhanvar ne nahin diyaa jitnaa sakun milaa hai tire saath raah mein itnaa sukun to mujhe ghar ne nahin diyaa is ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki main ne 'adim' us ko mukarne nahin diyaa"
آنکھوں میں آنسوؤں کو ابھرنے نہیں دیا مٹی میں موتیوں کو بکھرنے نہیں دیا جس راہ پر پڑے تھے ترے پاؤں کے نشاں اس راہ سے کسی کو گزرنے نہیں دیا چاہا تو چاہتوں کی حدوں سے گزر گئے نشہ محبتوں کا اترنے نہیں دیا ہر بار ہے نیا ترے ملنے کا ذائقہ ایسا ثمر کسی بھی شجر نے نہیں دیا یہ ہجر ہے تو اس کا فقط وصل ہے علاج ہم نے یہ زخم وقت کو بھرنے نہیں دیا اتنے بڑے جہان میں جائے گا تو کہاں اس اک خیال نے مجھے مرنے نہیں دیا ساحل دکھائی دے تو رہا تھا بہت قریب کشتی کو راستہ ہی بھنور نے نہیں دیا جتنا سکوں ملا ہے ترے ساتھ راہ میں اتنا سکون تو مجھے گھر نے نہیں دیا اس نے ہنسی ہنسی میں محبت کی بات کی میں نے عدیمؔ اس کو مکرنے نہیں دیا
आँखों में आँसुओं को उभरने नहीं दिया मिट्टी में मोतियों को बिखरने नहीं दिया जिस राह पर पड़े थे तिरे पाँव के निशाँ इस राह से किसी को गुज़रने नहीं दिया चाहा तो चाहतों की हदों से गुज़र गए नश्शा मोहब्बतों का उतरने नहीं दिया हर बार है नया तिरे मिलने का ज़ाइक़ा ऐसा समर किसी भी शजर ने नहीं दिया ये हिज्र है तो इस का फ़क़त वस्ल है इलाज हम ने ये ज़ख़्म-ए-वक़्त को भरने नहीं दिया इतने बड़े जहान में जाएगा तू कहाँ इस इक ख़याल ने मुझे मरने नहीं दिया साहिल दिखाई दे तो रहा था बहुत क़रीब कश्ती को रास्ता ही भँवर ने नहीं दिया जितना सकूँ मिला है तिरे साथ राह में इतना सुकून तो मुझे घर ने नहीं दिया इस ने हँसी हँसी में मोहब्बत की बात की मैं ने 'अदीम' उस को मुकरने नहीं दिया

More by Adeem Hashmi
View all →"rakht-e-safar yunhi to na bekaar le chalo rasta hai dhuup kaa koi divaar le chalo taaqat nahin zabaan mein to likh hi lo dil ki baat koi to saath surat-e-izhaar le chalo dekhun to vo badal ke bhalaa kaisaa ho gayaa mujh ko bhi us ke saamne is baar le chalo kab tak nadi ki tah mein utaaroge kashtiyaan ab ke to haath mein koi patvaar le chalo paDti hain dil pe gham ki agar silvaTein to kyaa chehre pe to khushi ke kuchh aasaar le chalo jitne bhanvar kahoge pahan lungaa jism par ik baar to nadi ke mujhe paar le chalo kuchh bhi nahin agar to hatheli pe jaan sahi tohfa koi to us ke liye yaar le chalo"
"gham ke har ik rang se mujh ko shanaasaa kar gayaa vo miraa mohsin mujhe patthar se hiiraa kar gayaa ghurtaa thaa main khalaa mein to saji thiin mahfilein meraa aankhon kaa jhapaknaa mujh ko tanhaa kar gayaa har taraf uDne lagaa taarik saayon kaa ghubaar shaam kaa jhonkaa chamaktaa shahr mailaa kar gayaa chaaT li kirnon ne mere jism ki saari miThaas main samundar thaa vo suraj mujh ko sahraa kar gayaa ek lamhe mein bhare baazaar sone ho gae ek chehra sab puraane zakhm taaza kar gayaa main usi ke raabte mein jis tarah malbus thaa yuun vo daaman khinch kar mujh ko barahna kar gayaa raat bhar ham raushni ki aas mein jaage 'adim' aur din aayaa to aankhon mein andheraa kar gayaa"
"kis havaale se mujhe kis kaa pataa yaad aayaa husn-e-kaafir ko jo dekhaa to khudaa yaad aayaa ek TuuTaa huaa paimaan-e-vafaa yaad aayaa yaad aayaa bhi mujhe aaj to kyaa yaad aayaa shaam ke haath ne jis vaqt lagaa li mehndi mujhe us vaqt tiraa rang-e-hinaa yaad aayaa kahin aankhon ki nami raaz na ifshaa kar de main ne munh pher liyaa tu jo zaraa yaad aayaa saare fankaar uThaa laae the shahkaaron ko aur main thaa mujhe andaaz tiraa yaad aayaa kitni duniyaa thi mire gird tujhe kyaa maalum baDi mushkil se mujhe teraa pataa yaad aayaa tere daaman mein nami itni ziyaada kyuun hai kaun saa phuul tujhe baad-e-sabaa yaad aayaa jab kisi ko koi ummid vafaaon ki na thi mujhe us pal tiraa paimaan-e-vafaa yaad aayaa qadam uThte the kahaan su-e-haram apne 'adim' aaj mushkil nazar aai to khudaa yaad aayaa"
"kyuun mire lab pe vafaaon kaa savaal aa jaae ain mumkin hai use khud hi khayaal aa jaae hijr ki shaam bhi siine se lagaa letaa huun kyaa khabar yunhi kabhi shaam-e-visaal aa jaae ghar isi vaaste jangal mein badal Daalaa hai shaayad aise hi idhar meraa ghazaal aa jaae dhanak ubhre sar-e-aflaak kaDi dhuup mein bhi dasht-e-vahshat mein agar teraa khayaal aa jaae koi to uD ke dahaktaa huaa suraj Dhaanpe gard hi sar pe ghaTaaon ki misaal aa jaae chhoD de vo mujhe taklif mein mumkin to nahin aur agar aisi kabhi surat-e-haal aa jaae us ghaDi puchhungaa tujh se ye jahaan kaisaa hai jab tire husn pe thoDaa saa zavaal aa jaae kuchh nahin hai to bhulaanaa hi use siikh 'adim' zindagi mein tujhe koi to kamaal aa jaae"
"dil ajab gumbad ki jis mein ik kabutar bhi nahin itnaa viraan to mazaaron kaa muqaddar bhi nahin Dubti jaati hain miTTi mein badan ki kashtiyaan dekhne mein ye zamin koi samundar bhi nahin jitne hangaame the sukhi Tahniyon se jhaD gae peD par phal bhi nahin aangan mein patthar bhi nahin khushk Tahni par parinda hai ki pattaa hai 'adim' aashiyaana bhi nahin jis kaa koi par bhi nahin jitni pyaari hain miri dharti ko zanjirein 'adim' utnaa pyaaraa to kisi dulhan ko zevar bhi nahin"
More on Hijr
View all →"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"ek taarik khalaa us mein chamaktaa havaa main ye kahaan aa gayaa hasti se saraktaa huaa main shola-e-jaan se fanaa hotaa huun qatra qatra apni aankhon se lahu ban ke Tapaktaa huaa main aagahi ne mujhe bakhshi hai ye naar-e-khud-soz ik jahannam ki tarah khud mein bhaDaktaa huaa main muntazir huun ki koi aa ke mukammal kar de chaak par ghumtaa bal khaataa daraktaa huaa main majmaa ahl-e-haram naqsh-ba-divaar udhar aur idhar shor machaataa huaa baktaa huaa main mere hi dam se mili saaat-e-imkaan use vaqt ke jism mein dil ban ke dhaDaktaa huaa main be-niyaazi se miri aate hue tang ye log aur logon ki tavajjoh se bidaktaa huaa main raat ki raat nikal jaataa huun khud se baahar apne khvaabon ke taaaqub mein humaktaa huaa main aisi yakjaai ki miT jaae tamiz-e-man-o-tu mujh mein khiltaa huaa tu tujh mein mahaktaa huaa main ik to vo husn-e-junun-khez hai aalam mein shuhud aur ik husn-e-junun-khez ko taktaa huaa main ek aavaaz paDi thi ki koi saail-e-hijr? aan ki aan mein pahunchaa thaa lapaktaa huaa main hai kashid-e-sukhan-e-khaas vadiat mujh ko ghumtaa phirtaa huun ye itr chhiDaktaa huaa main raaz-e-haq faash huaa mujh pe bhi hote hote khud tak aa hi gayaa 'irfaan' bhaTaktaa huaa main"
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
"dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa lagtaa hai koi farq mohabbat mein rah gayaa is ghar ke do makin the ik peD aur main ye hijr to kisi ki sharaarat mein rah gayaa ik baar mana karti hui shaam se to puchh jo bhi judaa huaa vo haqiqat mein rah gayaa mumkin thaa tujh ko chhin hi letaa jahaan se lekin main kyaa karun main mohabbat mein rah gayaa ab tu hi meri khaali hatheli ki laaj rakh mujh se to koi farq ibaadat mein rah gayaa tujh par hai koi zoam na khud par yaqin 'nadim' kuchh din kaa ham mein pyaar to aadat mein rah gayaa"