SHAWORDS

aankhon mein ashk aur na labon par hansi rahi — Daud Naseeb

HomeDaud NaseebGhazal
"aankhon mein ashk aur na labon par hansi rahi duniyaa hamaare haal ko chup dekhti rahi barson hamaare saath ravaan zindagi rahi aakhir ko ajnabi ki vahi ajnabi rahi tujh ko jinhon ne saahab-e-mahfil banaa diyaa mahfil mein teri sirf unhin ki kami rahi baiThe to ek paikar-e-fitna bane rahe uTThe to aa ke saath qayaamat khaDi hui ahl-e-junun to is se bhi aage nikal gae manzil ke faaslon ko khirad naapti rahi duniyaa ko Thokaron mein rakhaa jis ne dosto qadmon mein aise shakhs ke duniyaa paDi rahi khaamosh ham bhi sunte rahe apni daastaan duniyaa baghair naam liye bolti rahi jab se ghamon ki bhiiD mein ham kho gae 'nasib' us roz se khushi bhi hamein DhunDhti rahi"
Urdu

آنکھوں میں اشک اور نہ لبوں پر ہنسی رہی دنیا ہمارے حال کو چپ دیکھتی رہی برسوں ہمارے ساتھ رواں زندگی رہی آخر کو اجنبی کی وہی اجنبی رہی تجھ کو جنہوں نے صاحب محفل بنا دیا محفل میں تیری صرف انہیں کی کمی رہی بیٹھے تو ایک پیکر فتنہ بنے رہے اٹھے تو آ کے ساتھ قیامت کھڑی ہوئی اہل جنوں تو اس سے بھی آگے نکل گئے منزل کے فاصلوں کو خرد ناپتی رہی دنیا کو ٹھوکروں میں رکھا جس نے دوستو قدموں میں ایسے شخص کے دنیا پڑی رہی خاموش ہم بھی سنتے رہے اپنی داستاں دنیا بغیر نام لئے بولتی رہی جب سے غموں کی بھیڑ میں ہم کھو گئے نصیبؔ اس روز سے خوشی بھی ہمیں ڈھونڈھتی رہی

Hindi

आँखों में अश्क और न लबों पर हँसी रही दुनिया हमारे हाल को चुप देखती रही बरसों हमारे साथ रवाँ ज़िंदगी रही आख़िर को अजनबी की वही अजनबी रही तुझ को जिन्हों ने साहब-ए-महफ़िल बना दिया महफ़िल में तेरी सिर्फ़ उन्हीं की कमी रही बैठे तो एक पैकर-ए-फ़ित्ना बने रहे उट्ठे तो आ के साथ क़यामत खड़ी हुई अहल-ए-जुनूँ तो इस से भी आगे निकल गए मंज़िल के फ़ासलों को ख़िरद नापती रही दुनिया को ठोकरों में रखा जिस ने दोस्तो क़दमों में ऐसे शख़्स के दुनिया पड़ी रही ख़ामोश हम भी सुनते रहे अपनी दास्ताँ दुनिया बग़ैर नाम लिए बोलती रही जब से ग़मों की भीड़ में हम खो गए 'नसीब' उस रोज़ से ख़ुशी भी हमें ढूँढती रही

āñkhoñ meñ ashk aur na laboñ par hañsī rahī
Daud Naseeb
Daud Naseeb
Daud Naseeb
poet9 quotes

More by Daud Naseeb

View all →
Quote
"dil ne subu to aankh ne saaghar uThaa liyaa donon ne apnaa apnaa muqaddar uThaa liyaa maazi kaa phuul haal kaa patthar uThaa liyaa jo mil gayaa ghazal ki zamin par uThaa liyaa majburiyon kaa us ki kuchh andaaza kijiye kaanTe ko jis ne phuul samajh kar uThaa liyaa itni chamak thi ashk-e-gham-e-rozgaar mein har qatre ko samajh ke main gauhar uThaa liyaa kyon laghzish-e-qadam ko main apni duaa na duun mujh ko kisi ne haath baDhaa kar uThaa liyaa jab bujh saki na pyaas to pyaasi nigaah ne aankhon mein band kar ke samundar uThaa liyaa jis se na uTh saki kabhi ik shaakh-e-gul 'nasib' hairat hai aise haath ne khanjar uThaa liyaa"
Daud NaseebDaud Naseeb
Quote
"vo the apne to har ik daur thaa ho kar apnaa ab na taqdir na qismat na muqaddar apnaa mai-kada apnaa hai mai apni hai saaghar apnaa ye alag baat ki haq hai na kisi par apnaa kabhi girdaab thaa mauj apni thi gauhar apnaa ab nadi apni na dariyaa na samundar apnaa boriyaa rahtaa salaamat na to bistar apnaa vo to ye kahiye ki takiya thaa khudaa par apnaa na sukun bhiiD mein dil ko na akele mein qaraar kyaa khabar chaahtaa kyaa hai dil-e-muztar apnaa kyon taDap uThte na logon ke taDap uThne par vaqt ke dil ki tarah dil nahin patthar apnaa aap kaa husn salaamat hai khud aaina kharaab aap sharminda na hon dekh ke manzar apnaa vaqt kartaa rahaa tadbir baraabar apni kaam karti rahi taqdir baraabar apnaa surkh-ru kyon na gulistaan nazar aaegaa 'nasib' jazb hai khuun har ik phuul ke andar apnaa"
Daud NaseebDaud Naseeb
Quote
"guzar nahin hai kisi kaa to raasta kyon hai jo raasta hai to mahrum-e-naqsh-e-paa kyon hai har ek shakhs samajhtaa hai ajnabi phir bhi tumhaare ghar kaa pata mujh se puchhtaa kyon hai tumhaaraa shahr ujaalon kaa shahr sunte the qadam qadam pe andheron kaa saamnaa kyon hai vahi sahar hai vahi shab vahi hai hangaama magar hayaat kaa manzar udaas saa kyon hai main apne vaqt ki tasvir ban gayaa to nahin har aadmi mujhe is tarah dekhtaa kyon hai nigaah jab tiri binaai kho chuki apni to zindagi tire haathon mein aaina kyon hai kisi se mil ke bichhaD jaanaa umr bhar ko 'nasib' zaraa si bhuul ki itni baDi sazaa kyon hai"
Daud NaseebDaud Naseeb
Quote
"koi ilzaam na duniyaa mein kisi par rakhnaa dil lahu ho bhi to chehre ko gul-e-tar rakhnaa khaak kaa ho ki ho kaanTon kaa vo bistar ai dost niind aa jaaegi takiya tu khudaa par rakhnaa kyaa khabar raah mein kab saath khushi kaa chhuTe zindagi gham ko bhi saath apne baraabar rakhnaa dekh aankhon ki zamin hai na laraz jaae kahin ai tasavvur tu yahaan paanv sanbhal kar rakhnaa zaanu-e-yaar samajh kar use so jaaeinge ham gharibon ke sirhaane zaraa patthar rakhnaa chaahtaa hai ye mire daur kaa dastur 'nasib' tishnagi dil mein to aankhon mein samundar rakhnaa"
Daud NaseebDaud Naseeb
Quote
"phir uThi chashm-e-fusun-saaz khudaa khair kare dil hai phir gharq-e-mai-e-naaz khudaa khair kare barq chamki hai ba-sad-naaz khudaa khair kare phir nasheman kaa hai aaghaaz khudaa khair kare dil ke bas mein thaa chhupaayaa bahut us ne lekin dast-e-mizhgaan mein hai ab raaz khudaa khair kare koi aataa hai pas-e-qaafila-e-fasl-e-bahaar phir hai zanjir ki aavaaz khudaa khair kare barq ki zad mein gulistaan to nahin hai lekin gul se hai aag ki parvaaz khudaa khair kare dil ki dhaDkan the jo kal aaj vahi divaane ho gae duur ki aavaaz khudaa khair kare jaante hain ki badalti nahin taqdir 'nasib' vaqt aur mahram-e-ham-raaz khudaa khair kare"
Daud NaseebDaud Naseeb

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar