SHAWORDS

aap aate to baat banti bhi — Kanval Malik

HomeKanval MalikGhazal
"aap aate to baat banti bhi aap rukte to haal kahte naan aap kaa hijr sah liyaa ham ne ye qayaamat jo aap sahte naan aap milte the ji rahe the ham milte rahte to zinda rahte naan mere pahlu mein chain miltaa thaa mere pahlu mein aap rahte naan aap kahte ki lauT aaungaa aap ik baar to ye kahte naan"
Urdu

آپ آتے تو بات بنتی بھی آپ رکتے تو حال کہتے ناں آپ کا ہجر سہہ لیا ہم نے یہ قیامت جو آپ سہتے ناں آپ ملتے تھے جی رہے تھے ہم ملتے رہتے تو زندہ رہتے ناں میرے پہلو میں چین ملتا تھا میرے پہلو میں آپ رہتے ناں آپ کہتے کہ لوٹ آؤں گا آپ اک بار تو یہ کہتے ناں

Hindi

आप आते तो बात बनती भी आप रुकते तो हाल कहते नाँ आप का हिज्र सह लिया हम ने ये क़यामत जो आप सहते नाँ आप मिलते थे जी रहे थे हम मिलते रहते तो ज़िंदा रहते नाँ मेरे पहलू में चैन मिलता था मेरे पहलू में आप रहते नाँ आप कहते कि लौट आऊँगा आप इक बार तो ये कहते नाँ

aap aate to baat bantī bhī
Kanval Malik
Kanval Malik
Kanval Malik
poet13 quotes

More by Kanval Malik

View all →
Quote
"hamaare darmiyaan qurbat kahaan thi vo mil jaataa miri qismat kahaan thi use chaahaa usi ke khvaab dekhe sivaa us ke mujhe fursat kahaan thi mire dil mein uThe tufaan laakhon magar lahje mein vo shiddat kahaan thi bahut masruf rahtaa thaa vo aakhir use mere liye fursat kahaan thi mujhe kahnaa thaa haal-e-dil bhi us se magar kahne ki bhi mohlat kahaan thi use khone kaa khadsha bhi thaa lekin use paane ki bhi chaahat kahaan thi use kahti magar kaise main kahti use kahne ki bhi himmat kahaan thi vo mujh se duur thaa barson se lekin nazar se duur vo surat kahaan thi mujhe bas us kaa lahja chumnaa thaa sivaa us ke koi haajat kahaan thi"
Kanval MalikKanval Malik
Quote
"tum kyaa jaano pyaar mohabbat ishq nibhaanaa kyaa hotaa hai tum kyaa jaano rasta takte umr bitaanaa kyaa hotaa hai masjid mandir girja-ghar mein ashk bahaanaa kyaa hotaa hai tum kyaa jaano raat tahajjud haath uThaanaa kyaa hotaa hai khud ko miTTi miTTi kar ke aahein girya zaari shor tum kyaa jaano ruThne vaale yaar manaanaa kyaa hotaa hai tum kyaa jaano zakhmi aankhein khvaab bikhar jaane kaa dukh tum kyaa jaano hijr ke aansu dard uThaanaa kyaa hotaa hai jaan se pyaare de kar tum ko jaan manaa luun bolo bhi tum kyaa jaano jaan se pyaare jaan se jaanaa kyaa hotaa hai"
Kanval MalikKanval Malik
Quote
"mujh ko qismat se mil gayaa thaa vo uf muqaddar mein kab likhaa thaa vo main gai haal-e-dil sunaane ko aur rush mein ghiraa huaa thaa vo jis ko tarsi rahin miri aankhein saamne hi khaDaa huaa thaa vo jis ki khaatir sanvar ke aai main ik nazar bhi na dekhtaa thaa vo us ke chehre ko paDh rahi thi main ek kaaghaz pe likh rahaa thaa vo dil ki dhaDkan bhi tez ho gai thi aise ruk ruk ke boltaa thaa vo is kaa lahja ki guD se miThaa thaa chaashni aise gholtaa thaa vo main ne phulon se bhar liyaa aanchal ki achaanak hi hans diyaa thaa vo main bhi chup thi ki us se kahti kyaa aur aankhon ko paDh rahaa thaa vo main ne chaae jo pesh ki thi use ik takalluf mein paD gayaa thaa vo ek chaae kyaa jaan deti main shukriya aise kah rahaa thaa vo vo jo barson se rok rakkhaa thaa mere honTon pe aa gayaa thaa vo phir mere lafz hi nahin bole aur chup-chaap sun rahaa thaa vo ek zid par aDi hui thi main ik anaa mein paDaa huaa thaa vo mere aansu bhi dekh na paayaa khush rahein aap kah rahaa thaa vo main ne sochaa ki kuchh to puchhegaa jaa rahi thi main chup khaDaa thaa vo us ko hairat se dekhti thi main mujh ko hairat se dekhtaa thaa vo aakhiri nazm likh kar aa gai main phir miri nazm paDh rahaa thaa vo mere sajde bhi ho gae the qazaa yaad sajdon mein aa gayaa thaa vo main ne baandhi namaaz-e-ishq 'kanval' mere pahlu mein jab khaDaa thaa vo"
Kanval MalikKanval Malik
Quote
"miraa bichhDaa raanjhan moD sajan mujhe chaah na koi aur sajan main ne oDhaa rang-e-siyaah faqat diye kangan chuDi toD sajan main ne tujh se sachchaa ishq kiyaa di saari duniyaa chhoD sajan tiri yaad se baahar niklun main mujhe aa kar yuun jhinjhoD sajan main har dargaah pe jaaungi ho sindh ho yaa lahore sajan koi dhaagaa tujh se joDe to minnat ki baandhun Dor sajan chal mujh se ishq dobaara kar chal phir se naataa joD sajan chal naam na de ik shaam hi de miri baat pe kar kuchh ghaur sajan tu ne maangaa hijr-e-judaai bas kuchh maang ke taktaa aur sajan miraa jurm mohabbat hai saain main huun zinda-dargor sajan tiri diid miraa hajj-e-akbar tiraa naam paDhun har por sajan tujhe meri baat kaa maan nahin jaa rahne de bas chhoD sajan kyuun harjaai ko yaad kare chal chhoD 'kanval' bas chhoD sajan"
Kanval MalikKanval Malik
Quote
"tumhein paane ki chaahat hai magar khone kaa Dar bhi hai ki dil shahr-e-tamannaa hai to mahrumi kaa ghar bhi hai vafaa ke baagh mein jhule paDe hain aarzuon ke duaaon ki hari belon pe khvaahish kaa samar bhi hai fasil-e-fikr pe yaadon ki qindilein bhi zau-afshaan tumhaari muntazir main hi nahin ye chashm-e-tar bhi hai masaafat naa-ummidi ki paDi hai paanv mein mere tumhaari ham-rahi bhi hai magar tanhaa safar bhi hai chamakti kaanch jaisi dhaDkanon ko toDne vaalaa vo patthar dil bahut maanaa huaa ik shishagar bhi hai suno tum kah rahe the naan duaa mein maang lo mujh ko magar tum soch lo meri duaaon mein asar bhi hai hamaari ek khaami hai tumhaari zaat mein khonaa tumhein tum se churaa lenaa hamaaraa ik hunar bhi hai suno us chaand se kahnaa mere aangan mein bhi utre saDak ke paar kachche raaste par meraa ghar bhi hai 'kanval' eazaaz bhi kahti hai is ko jurm bhi duniyaa ki badnaam-e-zamaana bhi mohabbat mo'atabar bhi hai"
Kanval MalikKanval Malik

More on Hijr

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyuun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati vo farq dilon kaa vo judaai nahin jaati kyaa dhuum bhi naalon se machaai nahin jaati soti hui taqdir jagaai nahin jaati kuchh shikva na karte na bigaDtaa vo shab-e-vasl ab ham se koi baat banaai nahin jaati dekho to zaraa khaak mein ham milte hain kyunkar ye nichi nigah ab bhi uThaai nahin jaati kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge maangaa karo tum maut abhi aai nahin jaati vo ham se mukaddar hain to ham un se mukaddar kah dete hain saaf apni safaai nahin jaati ham sulh bhi kar lein to chali jaati hai un mein baaham dil o dilbar ki laDaai nahin jaati khud dil mein chale aaoge jab qasd karoge ye raah bataane se bataai nahin jaati chhupti hai 'jalaal' aankhon mein kab hasrat-e-didaar sau parde agar hon to chhupaai nahin jaati"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi