SHAWORDS

aarzu jab javaan nahin hoti — Abid Munavari

HomeAbid MunavariGhazal
"aarzu jab javaan nahin hoti zindagi naghma-khvaan nahin hoti kis tarah haal-e-dil bayaan karte aashiqon ki zabaan nahin hoti aap jab mehrbaan nahin hote maut bhi mehrbaan nahin hoti dil ki baazi lagaane vaalon ko fikr-e-sud-o-ziyaan nahin hoti ranj sah kar bhi raat-din 'aabid' ham se aah-o-fughaan nahin hoti"
Urdu

آرزو جب جواں نہیں ہوتی زندگی نغمہ خواں نہیں ہوتی کس طرح حال دل بیاں کرتے عاشقوں کی زباں نہیں ہوتی آپ جب مہرباں نہیں ہوتے موت بھی مہرباں نہیں ہوتی دل کی بازی لگانے والوں کو فکر سود و زیاں نہیں ہوتی رنج سہہ کر بھی رات دن عابدؔ ہم سے آہ و فغاں نہیں ہوتی

Hindi

आरज़ू जब जवाँ नहीं होती ज़िंदगी नग़्मा-ख़्वाँ नहीं होती किस तरह हाल-ए-दिल बयाँ करते आशिक़ों की ज़बाँ नहीं होती आप जब मेहरबाँ नहीं होते मौत भी मेहरबाँ नहीं होती दिल की बाज़ी लगाने वालों को फ़िक्र-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ नहीं होती रंज सह कर भी रात-दिन 'आबिद' हम से आह-ओ-फ़ुग़ाँ नहीं होती

aarzū jab javāñ nahīñ hotī
A
Abid Munavari
Abid Munavari
poet23 quotes

More by Abid Munavari

View all →
Quote
"muqaddar mein saahil kahaan hai miyaan miri naav be-baadbaan hai miyaan jo barq-e-tapaan se munavvar rahe vahi aashiyaan aashiyaan hai miyaan kahaan jaaiye mai-kada chhoD kar yahi ek jaa-e-amaan hai miyaan abad tak mukammal na ho paaegi shab-e-gham ki ye daastaan hai miyaan kahaan paaon rakkhun pareshaan huun zamin surat-e-aasmaan hai miyaan muqaddas sahi kaarobaar-e-vafaa magar is mein nuqsaan-e-jaan hai miyaan ajab phiki phiki si hai chaandni udaas aaj kyuun chandramaan hai miyaan jahaan dil ke badle mein miltaa hai dil vo duniyaa na jaane kahaan hai miyaan nahin mujh se 'aabid' vo kuchh khaas duur faqat zindagi darmiyaan hai miyaan"
A
Abid Munavari
Quote
"aur kis kaa ghar kushaada hai kahaan Thahregi raat mujh ko hi mehmaan-navaazi kaa sharaf bakhshegi raat niind aaegi na un be-khvaab aankhon mein kabhi mujh ko thapki dete dete aap so jaaegi raat shaam hargiz din ke siine mein na khanjar ghonpti ye agar maa'lum hotaa khun-bahaa maangegi raat aansuon se tar-ba-tar ho jaaegaa aangan tamaam karb-e-tanhaai pe apne phuuT kar roegi raat chaand-taaron ko chhupaa bhi lein ghane baadal agar jhilmilaate jugnuon se raasta puchhegi raat apne apne lutf se donon navaazeinge mujhe zakhm-e-dil bakhshegaa din us par namak chhiDkegi raat suraj apne rath ko phir aakaash par dauDaaegaa subh kaa taaraa nikalte hi simaT jaaegi raat jab tire juuDe kaa gajraa yaad aaegaa mujhe raat-ki-raani ke phulon se mahak uTThegi raat ghar palaT kar jaaungaa rukh par liye din-bhar ki dhuul mujh ko ai 'aabid' baDi mushkil se pahchaanegi raat"
A
Abid Munavari
Quote
"jab aasmaan par mah-o-akhtar palaT kar aae ham rukh pe din ki dhuup liye ghar palaT kar aae nazzaara jin kaa baais-e-rahm-e-nigaah thaa aankhon ke saamne vahi manzar palaT kar aae har ghar sulag rahaa thaa ajab sard aag mein jab arsa-gaah-e-jang se lashkar palaT kar aae sad-rashk-e-iltifaat thaa jab us kaa jaur bhi ji kyuun na chaahe phir vo sitamgar palaT kar aae jo baat guftani thi vahi an-kahi rahi be-ras jo tazkire the zabaan par palaT kar aae duniyaa se ho gae na hon aazurda-dil kahin phir is zamin par na payambar palaT kar aae ye baat agar hai sach ki palaTtaa nahin hai vaqt lamhaat-e-gham mire liye kyuun kar palaT kar aae kahte hain us ne dekhi thi kal ek jal-pari har lab pe hai duaa ki shanaavar palaT kar aae ai 'aabid' aasmaan pe na kuchh bhi asar huaa mujh par hi meri aah ke patthar palaT kar aae"
A
Abid Munavari
Quote
"be-tamannaa huun khasta-jaan huun main ek ujDaa huaa makaan huun main jang to ho rahi hai sarhad par apne ghar mein lahuluhaan huun main gham-o-aalaam bhi hain mujh ko aziiz qadr-daanon kaa qadr-daan huun main zabt tahzib hai mohabbat ki vo samajhte hain be-zabaan huun main lab pe ikhlaas haath mein khanjar kaise yaaron ke darmiyaan huun main chhed hi chhed hain faqat jis mein aisi kashti kaa baadbaan huun main jo kisi ko bhi aaj yaad nahin bhuli-bisri vo daastaan huun main yaa giraan-gosh hai nagar kaa nagar yaa kisi dasht mein azaan huun main shaairi ho ki aashiqi 'aabid' har rivaayat kaa paasbaan huun main"
A
Abid Munavari

More on Zindagi

View all →
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar