Quote
"in garm aansuon ki ravaani mein saath de ai shaam un ki yaad-dahaani mein saath de banvaas kaaT leinge magar ek shart hai shabri hamaari raam kahaani mein saath de piiri mein bhi to khvaahishein ho sakti hain javaan vo dil hi kyaa jo sirf javaani mein saath de sahraa se aae qais ye farhaad koh se koi to ho jo ashk-fishaani mein saath de naadaaniyon se misra’-e-avval bigaD gayaa allaah meraa misra’-e-saani mein saath de"
