"raaegaan jaataa hai kab ulfat mein divaanon kaa khuun rang laataa hai kisi din in ke armaanon kaa khuun husn-e-gul par is qadar maail na ho ai andalib ho ke rah jaaegaa ik din tere armaanon kaa khuun khaak bulbul ne sanvaaraa ghaaza bhi kar husn-e-gul aur nur-e-shama mein chamkaa hai parvaanon kaa khuun aashiyaane mein qafas kaa zikr thaa suhaan-e-ruh ab qafas mein ho rahaa hai dil ke armaanon kaa khuun subh tak ai shama tujh ko jagmagaanaa hai faqat kis liye naahaq kiye jaate hain parvaanon kaa khuun"
agar hain khaar-e-alam aadmi ke daaman mein — Baldev Singh Hamdam
"agar hain khaar-e-alam aadmi ke daaman mein khushi ke phuul bhi to hain usi ke daaman mein hazaar aish sahi zindagi ke daaman mein magar hai sabr kahaan aadmi ke daaman mein agar sukun hai to hai bandagi ke daaman mein milegi manzil-e-irfaan usi ke daaman mein kisi ki yaad mein aansu jo aankh se Tapke javaaharaat hain ye aashiqi ke daaman mein kamaal-e-zabt yahi hai vaqaar-e-ishq yahi chhupi ho aarzu-e-dil khudi ke daaman mein hadis-e-ishq-o-mohabbat kaa tarjumaan jo ho adab ke phuul khile hain usi ke daaman mein ba-chashm-e-ghaur jo dekho to aur bhi kuchh hai faqat gunaah nahin aadmi ke daaman mein ajal hazaar buri chiiz hai magar hamdam panaah milti hai aakhir usi ke daaman mein"
اگر ہیں خار الم آدمی کے دامن میں خوشی کے پھول بھی تو ہیں اسی کے دامن میں ہزار عیش سہی زندگی کے دامن میں مگر ہے صبر کہاں آدمی کے دامن میں اگر سکوں ہے تو ہے بندگی کے دامن میں ملے گی منزل عرفاں اسی کے دامن میں کسی کی یاد میں آنسو جو آنکھ سے ٹپکے جواہرات ہیں یہ عاشقی کے دامن میں کمال ضبط یہی ہے وقار عشق یہی چھپی ہو آرزوئے دل خودی کے دامن میں حدیث عشق و محبت کا ترجماں جو ہو ادب کے پھول کھلے ہیں اسی کے دامن میں بہ چشم غور جو دیکھو تو اور بھی کچھ ہے فقط گناہ نہیں آدمی کے دامن میں اجل ہزار بری چیز ہے مگر ہمدم پناہ ملتی ہے آخر اسی کے دامن میں
अगर हैं ख़ार-ए-अलम आदमी के दामन में ख़ुशी के फूल भी तो हैं उसी के दामन में हज़ार ऐश सही ज़िंदगी के दामन में मगर है सब्र कहाँ आदमी के दामन में अगर सुकूँ है तो है बंदगी के दामन में मिलेगी मंज़िल-ए-इरफ़ाँ उसी के दामन में किसी की याद में आँसू जो आँख से टपके जवाहरात हैं ये आशिक़ी के दामन में कमाल-ए-ज़ब्त यही है वक़ार-ए-इश्क़ यही छुपी हो आरज़ू-ए-दिल ख़ुदी के दामन में हदीस-ए-इश्क़-ओ-मोहब्बत का तर्जुमाँ जो हो अदब के फूल खिले हैं उसी के दामन में ब-चश्म-ए-ग़ौर जो देखो तो और भी कुछ है फ़क़त गुनाह नहीं आदमी के दामन में अजल हज़ार बुरी चीज़ है मगर हमदम पनाह मिलती है आख़िर उसी के दामन में

More by Baldev Singh Hamdam
View all →"gulon ke daam-e-mohabbat mein aa rahaa huun main fareb husn-e-majaazi kaa khaa rahaa huun main kisi ke husn ki tasvir khinch kar dil mein tasavvuraat ki mahfil sajaa rahaa huun main mujhe talab hi nahin hai kisi masarrat ki khushi samajh ke tiraa gham uThaa rahaa huun main gulon ki bazm se mujh ko na thi koi raghbat tumhaaraa naqsh-e-qadam DhunDhtaa rahaa huun main safina gham kaa liye jaaegaa kahaan yaarab muhit-e-zist mein bahtaa hi jaa rahaa huun main baqaa ki fikr na andesha-e-fanaa 'hamdam' khudaa ke jalve mein khud ko samaa rahaa huun main"
"tamannaa hai tamannaa mein tiri ji se guzar jaaein yahi hai aarzu apni isi khvaahish mein mar jaaein gunaahon mein samaa jaaein kaleje mein utar jaaein miri duniyaa-e-hasti mein tire jalve bikhar jaaein na duniyaa mein Thikaana hai na uqbaa mein Thikaana hai tire bande agar jaanaa bhi chaahein to kidhar jaaein tire rindon mein ai saaqi bhalaa itni kahaan taaqat bachaa kar apnaa daaman mai-kade se vo guzar jaaein luTaa kar din-o-duniyaa anjuman mein teri aae the yahaan se uTh kar ab ham Thokarein khaane kahaan jaaein hamaare daur-e-maazi ki na ham se puchh ai 'hamdam' vahi achchhe hain lamhe zindagi ke jo guzar jaaein"
"raushni ho na saki shaam ke hangaam ke saath aur ham diip jalaate rahe har shaam ke saath duur baDhtaa hi gayaa hasrat-e-naakaam ke saath dil mein ik Tiis uThi aap ke hangaam ke saath aap ne pursish-e-gham kaa bhi takalluf na kiyaa dil mein ham jalte rahe hasrat-e-naakaam ke saath jaane kyuun aaj mire ishq ki tashhir hui har zabaan par hai miraa naam tere naam ke saath daur-e-mai khatm huaa shama kaa dil baiTh gayaa raunaq-e-bazm gai saaqi-e-gulfaam ke saath vaqt ki baat hai kyaa vaqt guzar jaaegaa aur kuchh der chalo gardish-e-ayyaam ke saath manzil-e-ishq mein kyaa kaam thaa un kaa 'hamdam' thak ke jo baiTh gae raah mein aaraam ke saath"
"jo baat rahe dil mein vahi baat baDi hai ulfat kaa taqaazaa bhi yahi kam-sukhani hai saaqi tiri aankhon mein hain do-jaam chhalakte mai-khaane ki masti tiri aankhon mein bhari hai fankaar ne jab apnaa qalam gham mein Duboyaa tab jaa ke tire husn ki tasvir bani hai jab chaahaa tujhe dekh liyaa jaan-e-tamannaa gham-khaana-e-dil mein tiri tasvir juDi hai kyon subh nahin hoti miri shaam-e-alam ki kyon ziist miri maut ke saanche mein Dhali hai jis vaqt nazar aayaa tiri zulf kaa saaya us vaqt kahaa dil ne yahaan chhaanv ghani hai tauhin na kar is ki ise kah le mai-e-naab naaseh mire saaghar mein to shishe ki pari hai ye vaqt-e-javaani hai ganvaa is ko na 'hamdam' naadaan ibaarat ke liye umr paDi hai"
"ham bhi sunte jo tire husn ke charche hote kaash us vaqt tiri bazm mein baiThe hote dil ke vo daagh jo siine mein chhupaa rakkhe hain ai masihaa vo kabhi tu ne bhi dekhe hote ham samajh hi na sake teri nazar kaa mafhum varna yuun but se bane raah mein baiThe hote gham-e-dauraan ki kaDi dhuup ye taptaa sahraa kaash do-gaam tiri zulf ke saae hote ham jalaa lete agar teri mohabbat ke charaagh in andheron ki jagah dil mein ujaale hote dil mein hotaa na kabhi zauq-e-tajassus kaa hujum tujh se duniyaa mein agar aur bhi chehre hote"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"