SHAWORDS

ahl-e-jahaan ke milne se ham ehtiraaz kar — Joshish Azimabadi

"ahl-e-jahaan ke milne se ham ehtiraaz kar baiThe hain gosha-gir ho is dil se saaz kar surat usi ki hai mutajalli har ek mein dekhe jo koi chashm-e-haqiqat ko baaz kar sajda jise karein hain vo har-su hai jalva-gar jidhar tiraa mizaaj ho udhar namaaz kar go aasmaan par bhi uDaa tu to kyaa huaa main kaun huun kahaan huun ye bhi imtiyaaz kar kal ek pal bhi tu na thamaa us ke ru-ba-ru ai ashk kyaa milaa tujhe ifshaa-e-raaz kar 'joshish' ho jab talak ki haqiqat se tujh ko raah tab tak baraae-shughl tu sair-e-majaaz kar"
Urdu

اہل جہاں کے ملنے سے ہم احتراز کر بیٹھے ہیں گوشہ گیر ہو اس دل سے ساز کر صورت اسی کی ہے متجلی ہر ایک میں دیکھے جو کوئی چشم حقیقت کو باز کر سجدہ جسے کریں ہیں وہ ہر سو ہے جلوہ گر جیدھر ترا مزاج ہو اودھر نماز کر گو آسمان پر بھی اڑا تو تو کیا ہوا میں کون ہوں کہاں ہوں یہ بھی امتیاز کر کل ایک پل بھی تو نہ تھما اس کے روبرو اے اشک کیا ملا تجھے افشائے راز کر ؔجوشش ہو جب تلک کہ حقیقت سے تجھ کو راہ تب تک برائے شغل تو سیر مجاز کر

Hindi

अहल-ए-जहाँ के मिलने से हम एहतिराज़ कर बैठे हैं गोशा-गीर हो इस दिल से साज़ कर सूरत उसी की है मुतजल्ली हर एक में देखे जो कोई चश्म-ए-हक़ीक़त को बाज़ कर सज्दा जिसे करें हैं वो हर-सू है जल्वा-गर जीधर तिरा मिज़ाज हो ऊधर नमाज़ कर गो आसमान पर भी उड़ा तू तो क्या हुआ मैं कौन हूँ कहाँ हूँ ये भी इम्तियाज़ कर कल एक पल भी तू न थमा उस के रू-ब-रू ऐ अश्क क्या मिला तुझे इफ़शा-ए-राज़ कर 'जोशिश' हो जब तलक कि हक़ीक़त से तुझ को राह तब तक बराए-शुग़्ल तू सैर-ए-मजाज़ कर

ahl-e-jahāñ ke milne se ham ehtirāz kar
J
Joshish Azimabadi
Joshish Azimabadi
poet98 quotes

More by Joshish Azimabadi

View all →
Quote
"kijiye rindi kaa pesha shisha shisha hai sharaab lijiye ik ghunT shisha shisha shisha hai sharaab shisha-e-khaali na dekhaa saaqiyaa kuchh gham nahin taak ke resha-ba-resha shisha shisha hai sharaab jalva-e-mastaana se shirin ke har ik ang mein ghaur se Tuk dekh tesha shisha shisha hai sharaab us shikaar-afgan ki chashm-e-mast se ai mai-kasho ho gayaa mai-khaana besha shisha shisha hai sharaab misra-e-'sarvat' ne 'joshish' mast o divaana kiyaa dasht-dar-dasht besha besha shisha shisha hai sharaab"
J
Joshish Azimabadi
Quote
"nahin mo'taqid jo tire diid kaa main divaana huun us ki fahmid kaa taalluq kisi se nahin ghair-e-haq ye aalam huaa apni tajrid kaa khayaal-e-do-aalam huaa dil se duur yahaan vaqr kyaa jaam-e-jamshed kaa ham-aaghosh vo mujh se ho yaa na ho divaanaa huun main diid vaa diid kaa yahaan naa-muraadi hai ain-e-muraad na ho baarvar nakhl ummid kaa ye kuche mein laila ke majnun na ho iram mein hai goyaa shajar bed kaa tiraa sher 'joshish' tujhe hai pasand tu muhtaaj hai kis ki taaid kaa"
J
Joshish Azimabadi
Quote
"chashm se ghaafil na huaa chaahiye us ke muqaabil na huaa chaahiye dil kaa zarar jaan kaa nuqsaan hai ab kahin maail na huaa chaahiye hai but-e-khun-khaar bahut tund-khu bosa ke saail na huaa chaahiye aql ko dil chhoD rah-e-ishq mein hamrah-e-kaahil na huaa chaahiye roz tanazzul mein hai maah-e-tamaam dahr mein kaamil na huaa chaahiye yaar kamar baandhiye insaaf par bar-sar-e-baatil na huaa chaahiye qatl ke qaabil hai ye 'joshish' tiraa ghair ke qaatil na huaa chaahiye"
J
Joshish Azimabadi
Quote
"jab hue tum chaman mein aan khaDe vohin ho gae gulon ke kaan khaDe shukr-e-gham hai ki dil ke maidaan mein aah o naale ke hain nishaan khaDe baiThne ki nahin rahi taaqat hovein kyaa ham se naa-tavaan khaDe us talak baal-e-shauq le pahunchaa rah gae dar pe daarbaan khaDe us ke tir-e-nigaah ki daulat hain dar-e-dil pe mehmaan khaDe be-sabab ham se ruThe jaate ho sun lo Tuk ho ke mehrbaan khaDe diin o imaan o jaan dene ko ham to hain ru-ba-ru har aan khaDe aaj vo imtihaan le 'joshish' ham bhi hain bahr-e-imtihaan khaDe"
J
Joshish Azimabadi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud