SHAWORDS

aks khul jaataa hai lekin daaera khultaa nahin — Afzal Safi

HomeAfzal SafiGhazal
"aks khul jaataa hai lekin daaera khultaa nahin saamne chehra na ho to aaina khultaa nahin ruuh se mahrum-e-binaai pe manzar kyaa khule aankh ki dahliz par to ratjagaa khultaa nahin maslahat ke jugnuon ko saath rakhte hain miyaan ranjishon ke darmiyaan to raasta khultaa nahin zindagi aur maut donon hi anokhe bhed hain ek khul jaataa hai lekin dusraa khultaa nahin lafz jo dil se na niklein be-asar rah jaate hain be-yaqini mein kabhi harf-e-duaa khultaa nahin ishq se vaaqif nahin hai nukta-chin teraa safi' sher kyaa khultaa ki us par qaafiya khultaa nahin"
Urdu

عکس کھل جاتا ہے لیکن دائرہ کھلتا نہیں سامنے چہرہ نہ ہو تو آئینہ کھلتا نہیں روح سے محروم بینائی پہ منظر کیا کھلے آنکھ کی دہلیز پر تو رتجگا کھلتا نہیں مصلحت کے جگنوؤں کو ساتھ رکھتے ہیں میاں رنجشوں کے درمیاں تو راستہ کھلتا نہیں زندگی اور موت دونوں ہی انوکھے بھید ہیں ایک کھل جاتا ہے لیکن دوسرا کھلتا نہیں لفظ جو دل سے نہ نکلیں بے اثر رہ جاتے ہیں بے یقینی میں کبھی حرف دعا کھلتا نہیں عشق سے واقف نہیں ہے نکتہ چیں تیرا صفیؔ شعر کیا کھلتا کہ اس پر قافیہ کھلتا نہیں

Hindi

अक्स खुल जाता है लेकिन दायरा खुलता नहीं सामने चेहरा न हो तो आईना खुलता नहीं रूह से महरूम-ए-बीनाई पे मंज़र क्या खुले आँख की दहलीज़ पर तो रतजगा खुलता नहीं मस्लहत के जुगनुओं को साथ रखते हैं मियाँ रंजिशों के दरमियाँ तो रास्ता खुलता नहीं ज़िंदगी और मौत दोनों ही अनोखे भेद हैं एक खुल जाता है लेकिन दूसरा खुलता नहीं लफ़्ज़ जो दिल से न निकलें बे-असर रह जाते हैं बे-यक़ीनी में कभी हर्फ़-ए-दुआ खुलता नहीं इश्क़ से वाक़िफ़ नहीं है नुक्ता-चीं तेरा 'सफ़ी' शे'र क्या खुलता कि उस पर क़ाफ़िया खुलता नहीं

aks khul jaatā hai lekin dā.era khultā nahīñ
Afzal Safi
Afzal Safi
Afzal Safi
poet19 quotes

More by Afzal Safi

View all →
Quote
"charaagh-e-nur thaame dasht se jugnu nikal aae palaT kar dekh lein shaayad koi pahlu nikal aae tumhaare hijr mein pathraa gai hai aankh saavan ki milo ham se ki yuun shaayad koi aansu nikal aae hama-tan raqs rahtaa huun yahi main soch ke shaayad tamannaa-soz sahraa se koi aahu nikal aae ye ku-e-yaar hai koi karishma ho bhi saktaa hai agar is habs mein us samt se khushbu nikal aae jakaD rakhaa hai puure zor se kis ne shikanje mein mujhe lagtaa hai teri yaad ke baazu nikal aae anaaein tark karne kaa safi' bas ek rasta hai idhar se main agar niklun udhar se tu nikal aae"
Afzal SafiAfzal Safi
Quote
"main agar naqsh banaaun vo miTaa saktaa hai ishq aandhi hai ghane peD giraa saktaa hai khvaab kyaa hai ye dahaktaa huaa angaara hai chashm-e-barfaab mein bhi aag lagaa saktaa hai sirf aankhein hi nahin saaraa badan khasta hai dekh ye hijr kisi samt se aa saktaa hai mere siine pe lage zakhm gavaahi denaa phuul khil jaae to maahaul sajaa saktaa hai vaqt marham hai ye hanstaa hai hansaataa hai miyaan ye to taqdir ke maatam ko bhulaa saktaa hai kyaa khabar kaun hai suufi hai qalandar hai ki ghaus mere andar hi to hai mujh ko bulaa saktaa hai kitnaa tanhaai kaa sannaaTaa hai chaaron jaanib saans lene se bhi ik shor saa aa saktaa hai khud se bichhDaa to tire dar pe chalaa aaya huun ek tu hai jo mujhe mujh se milaa saktaa hai main mohabbat huun azal aur abad mujh mein hain mujh sivaa kaun 'safi' mujh ko samaa saktaa hai"
Afzal SafiAfzal Safi
Quote
"main vaarafta sitaaro kaa miri manzil to aage hai main raahi rahguzaaron kaa miri manzil to aage hai na phulon ki tamannaa hai na khushbu se koi matlab na main dushman huun khaaron kaa miri manzil to aage hai mujhe ghote lagaane hain mujhe gauhar se matlab hai nahin khvaahaan kinaaron kaa miri manzil to aage hai andheron mein chamaktaa huun sadaa gardish mein rahtaa huun main saathi shab ke taaron kaa miri manzil to aage hai na thak kar baiTh saktaa huun na shaaki huun muqaddar kaa asaa huun be-sahaaron kaa miri manzil to aage hai"
Afzal SafiAfzal Safi
Quote
"tum bhi the sar-e-daar sar-e-daar thaa main bhi tum dekh to lete ki numudaar thaa main bhi ye jism rukaavaT thaa mere ishq mein shaayad aur sach hai ki is jism se bezaar thaa main bhi mumkin hai ki betaab rahaa ho kabhi tu bhi yaadon ki aziyyat mein giraftaar thaa main bhi baazaar mein laayaa gayaa yusuf ki tarah main kuchh der sahi raunaq-e-baazaar thaa main bhi khud apne taaaqub mein nikal aayaa thaa ghar se khud apni adaavat mein giraftaar thaa main bhi chehron ki jagah sirf kharaashein hain numaayaan basti mein kabhi aaina-bardaar thaa main bhi ai gardish-e-dauraan ye taghayyur nahin achchhaa tu soch kabhi saahab-e-dastaar thaa main bhi khud bechne niklaa thaa safi' khud ko jahaan mein aur bhiiD mein khud apnaa kharidaar thaa main bhi"
Afzal SafiAfzal Safi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb