SHAWORDS

anaa munh aansuon se dho rahi hai — Ahmad Ashfaq

HomeAhmad AshfaqGhazal
"anaa munh aansuon se dho rahi hai zarurat sar-ba-sajda ho rahi hai miri dushman miri be-baak-goi miri raahon mein kaanTe bo rahi hai riyaa-kaari liye jaati hai sabqat haqiqat sar jhukaae ro rahi hai musalsal ik aziyyat zindagaani ghamon ke bojh sar par Dho rahi hai zamaana maslahat-parvar huaa hai zarurat aadmiyyat kho rahi hai kisi ki shakhsiyat majruh kar di zamaane bhar mein shohrat ho rahi hai"
Urdu

انا منہ آنسوؤں سے دھو رہی ہے ضرورت سر بہ سجدہ ہو رہی ہے مری دشمن مری بے باک گوئی مری راہوں میں کانٹے بو رہی ہے ریا کاری لیے جاتی ہے سبقت حقیقت سر جھکائے رو رہی ہے مسلسل اک اذیت زندگانی غموں کے بوجھ سر پر ڈھو رہی ہے زمانہ مصلحت پرور ہوا ہے ضرورت آدمیت کھو رہی ہے کسی کی شخصیت مجروح کر دی زمانے بھر میں شہرت ہو رہی ہے

Hindi

अना मुँह आँसुओं से धो रही है ज़रूरत सर-ब-सज्दा हो रही है मिरी दुश्मन मिरी बे-बाक-गोई मिरी राहों में काँटे बो रही है रिया-कारी लिए जाती है सब्क़त हक़ीक़त सर झुकाए रो रही है मुसलसल इक अज़िय्यत ज़िंदगानी ग़मों के बोझ सर पर ढो रही है ज़माना मस्लहत-परवर हुआ है ज़रूरत आदमीय्यत खो रही है किसी की शख़्सियत मजरूह कर दी ज़माने भर में शोहरत हो रही है

anā muñh āñ.suoñ se dho rahī hai
Ahmad Ashfaq
Ahmad Ashfaq
Ahmad Ashfaq
poet20 quotes

More by Ahmad Ashfaq

View all →
Quote
"sab jal gayaa jalte hue khvaabon ke asar se uThtaa hai dhuaan dil se nigaahon se jigar se aaj us ke janaaze mein hai ik shahr saf-aaraa kal mar gayaa jo aadmi tanhaai ke Dar se kab tak gae rishton se nibhaataa main taalluq is bojh ko ai dost utaar aayaa huun sar se jo aaina-khaana miri hairat kaa sabab hai mumkin hai mire baad miri diid ko tarse is ahd-e-khizaan mein kisi ummid ke maanind patthar se nikal aauun magar abr to barse ruThe hue suraj ko manaane ki lagan mein ham log sar-e-shaam nikal paDte hain ghar se us shakhs kaa ab phir se khaDaa honaa hai mushkil is baar giraa hai vo zamaane ki nazar se lagtaa hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaaq' rone ki sadaa aati hai yaadon ke khanDar se"
Ahmad AshfaqAhmad Ashfaq
Quote
"jitni ham chaahte the utni mohabbat nahin di khvaab to de diye us ne hamein mohlat nahin di biktaa rahtaa sar-e-baazaar kai qiston mein shukr hai mere khudaa ne mujhe shohrat nahin di us ki khaamoshi miri raah mein aa baiThi hai main chalaa jaataa magar us ne ijaazat nahin di ham tire saath tire jaisaa ravayya rakhte dene vaale ne magar aisi tabiat nahin di mujh se jo tang huaa main ne use chhoD diyaa us ko khud chhoD ke jaane ki bhi zahmat nahin di ham the mohtaat taalluq mein tavaazun rakkhaa paas-e-ulfat rahaa had-darja aqidat nahin di jis qadar TuuT ke chaahaa use ham ne 'ashfaaq' us sakhi ne hamein utni bhi to nafrat nahin di"
Ahmad AshfaqAhmad Ashfaq

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar