SHAWORDS

apne honTon pe jo du'aa rakhtaa — Nazar Dwivedi

HomeNazar DwivediGhazal
"apne honTon pe jo du'aa rakhtaa phir kisi se na vo gila rakhtaa sirf kaasa liye phiraa har dam main to saail thaa aur kyaa rakhtaa maangte to sabhi hain duniyaa mein kis ko denaa hai vo pata rakhtaa rog aisaa hai 'ishq kaa yaaro kab kisi ko vo kaam kaa rakhtaa faisle kaa pata thaa pahle se main bhi apni dalil kyaa rakhtaa sab ko detaa khushi vo duniyaa mein sab kaa unchaa vo martaba rakhtaa"
Urdu

اپنے ہونٹوں پہ جو دعا رکھتا پھر کسی سے نہ وہ گلہ رکھتا صرف کاسہ لیے پھرا ہر دم میں تو سائل تھا اور کیا رکھتا مانگتے تو سبھی ہیں دنیا میں کس کو دینا ہے وہ پتہ رکھتا روگ ایسا ہے عشق کا یارو کب کسی کو وہ کام کا رکھتا فیصلے کا پتہ تھا پہلے سے میں بھی اپنی دلیل کیا رکھتا سب کو دیتا خوشی وہ دنیا میں سب کا اونچا وہ مرتبہ رکھتا

Hindi

अपने होंटों पे जो दु'आ रखता फिर किसी से न वो गिला रखता सिर्फ़ कासा लिए फिरा हर दम मैं तो साइल था और क्या रखता माँगते तो सभी हैं दुनिया में किस को देना है वो पता रखता रोग ऐसा है 'इश्क़ का यारो कब किसी को वो काम का रखता फ़ैसले का पता था पहले से मैं भी अपनी दलील क्या रखता सब को देता ख़ुशी वो दुनिया में सब का ऊँचा वो मर्तबा रखता

apne hoñToñ pe jo du'ā rakhtā
Nazar Dwivedi
Nazar Dwivedi
Nazar Dwivedi
poet20 quotes

More by Nazar Dwivedi

View all →
Quote
"agarche muskuraa kar maangtaa hai vo meri jaan aksar maangtaa hai sabhi kuchh chaahiye us aadmi ko magar ehsaas banjar maangtaa hai zabaani puchhtaa hai prashn mujh se magar likh kar hi uttar maangtaa hai pata hai pyaar ki qillat use bhi mohabbat kab gadaagar maangtaa hai havas insaan ki kitni hai dekho vo qatron se samundar maangtaa hai vo tum se chhin bhi legaa kisi din abhi tak jo saham kar maangtaa hai vo jaataa oDh kar aakhir kafan hi 'nazar' jo zindagi bhar maangtaa hai"
Nazar DwivediNazar Dwivedi
Quote
"ab aaine ko shakl bhi dikhlaa na paaeinge kuchh log apne aap ko samjhaa na paaeinge aaeinge paas baiTh ke deinge tasalliyaan lekin kisi kaa zakhm vo sahlaa na paaeinge kahni thi apni baat jo ik baar kah chuke har din vahi bayaan to dohraa na paaeinge kitni udaas ghar ki hai dahliz aaj-kal jab se vo kah gae hain ki ab aa na paaeinge mat bhuliye ki aaj ke bachche zahin hain pariyon ki daastaan se bahlaa na paaeinge maangein bhi sar jhukaa ke tire dar pe aur kyaa pahle se jo milaa hai vo lauTaa na paaeinge ab to utar gae hain tumhaari 'nazar' se ham khud ko kisi maqaam pe pahunchaa na paaeinge"
Nazar DwivediNazar Dwivedi
Quote
"nasha nasha hi hai aakhir utar bhi saktaa hai havaa ke saath jo uDtaa hai mar bhi saktaa hai tumhein umiid hai us se javaab ki lekin savaal sun ke tumhaaraa vo Dar bhi saktaa hai mujhe vo chhu le zaraa saa to main mahak jaaun vo to vujud se ho kar guzar bhi saktaa hai paDaa hai shakhs jo chaukhaT pe sar jhukaa kar maan tiri nigaah se ik din sanvar bhi saktaa hai banaa hai aaj jo sab ki hi raah kaa roDaa vo apne aap luDhak kar bikhar bhi saktaa hai koi upaae rihaai kaa dekh le apni gavaah teraa bayaan se mukar bhi saktaa hai kisi bhi baat ko kahne kaa qaa'eda rakhnaa tire bayaan kaa lahja akhar bhi saktaa hai gunaah tu ne jo chhup kar 'nazar' kiye lekin koi gunaah kisi din ubhar bhi saktaa hai"
Nazar DwivediNazar Dwivedi
Quote
"na jaane us ke kitne hi sahaare saath rahte hain vo paataa manzilein jis ke sitaare saath rahte hain chale jaao kahin lekin akele tum nahin hote yaqin maano vahaan ham bhi tumhaare saath rahte hain kahaan chuhaa kahaan billi kahaan kuttaa kahaan panchhi musibat jab paDi ho to ye saare saath rahte hain falak tum ho zamin ham hain nahin mumkin kabhi milnaa nadi ke bhi kahaan donon kinaare saath rahte hain manaazir vo bhi dikhte hain jinhein ho dekhnaa mushkil kahaan khush-rang har dam hi nazaare saath rahte hain na samjhaao vatan ki tum taraqqi kaa inhein matlab ye basti hai jahaan qismat ke maare saath rahte hain akele ham rahein phir bhi 'nazar' tanhaa nahin hote tumhaare khvaabon ke saae hamaare saath rahte hain"
Nazar DwivediNazar Dwivedi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar