SHAWORDS

aql se kaam kar — Hafiz Karnataki

"aql se kaam kar dahr mein naam kar main ne dekhaa use apnaa dil thaam kar qaum kaa ho bhalaa aisaa iqdaam kar apnaa har ranj-o-gham tu mire naam kar zindagi hai yahi subh se shaam kar mol apnaa baDhaa mujh ko be-daam kar der 'haafiz' na ho jald har kaam kar"
Urdu

عقل سے کام کر دہر میں نام کر میں نے دیکھا اسے اپنا دل تھام کر قوم کا ہو بھلا ایسا اقدام کر اپنا ہر رنج و غم تو مرے نام کر زندگی ہے یہی صبح سے شام کر مول اپنا بڑھا مجھ کو بے دام کر دیر حافظؔ نہ ہو جلد ہر کام کر

Hindi

अक़्ल से काम कर दहर में नाम कर मैं ने देखा उसे अपना दिल थाम कर क़ौम का हो भला ऐसा इक़दाम कर अपना हर रंज-ओ-ग़म तू मिरे नाम कर ज़िंदगी है यही सुब्ह से शाम कर मोल अपना बढ़ा मुझ को बे-दाम कर देर 'हाफ़िज़' न हो जल्द हर काम कर

aql se kaam kar
Hafiz Karnataki
Hafiz Karnataki
Hafiz Karnataki
poet25 quotes

More by Hafiz Karnataki

View all →
Quote
"ye mahakte hue jazbaat ye ashaar ke phuul kaash kaam aaein kisi ke mere afkaar ke phuul mere dil ne jo sajaa rakhe hain zakhmon ki tarah khil na paae kisi gulshan mein vo meaar ke phuul sunghti hain unhein khush ho ke bahishti hurein sarfaroshon ke badan par hain jo talvaar ke phuul ye mere ashk-e-nadaamat hain khudaa ko mahbub duniyaa vaalon ki nigaahon mein hain be-kaar ke phuul mujh ko tohfe mein ataa us ne kiye hain 'haafiz' kabhi inkaar ke kaanTe kabhi iqraar ke phuul"
Hafiz KarnatakiHafiz Karnataki
Quote
"ham ne tiri talab ko tamanna banaa liyaa paDh paDh ke teraa naam vazifa banaa liyaa hamvaar kar li pahle tire dil ki sarzamin aur phir yahaan pe apnaa Thikaana banaa liyaa jis ke kinaare baiTh ke kartaa thaa tum se baat main ne to us nadi se bhi rishta banaa liyaa ham to hamaare dil ko na apnaa banaa sake lekin banaane vaalon ne kyaa kyaa banaa liyaa har saans pe hai maut kaa dhaDkaa lagaa huaa qaatil ko zindagi ne masihaa banaa liyaa ham shaatiron ke shahr mein be-mol bik gae ham ko siyaasi logon ne mohraa banaa liyaa khushbu se roz khat likhaa 'haafiz' havaa ke naam patton ko moD de ke lifaafa banaa liyaa"
Hafiz KarnatakiHafiz Karnataki

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar