"sabr kar dil-e-naadaan kis liye tu rotaa hai bevafaa zamaane mein kaun kis kaa hotaa hai jis ko main ne bakhshe hain phuul shaadmaani ke ab vahi mire dil mein khaar-e-gham chubhotaa hai naa-muraad ashkon se tar to ho gayaa daaman haan magar lahu dil kaa dil ke zakhm dhotaa hai kaar-gaah-e-hasti mein mutmain nahin koi dekh kar har ik surat aaina bhi rotaa hai vaqt yuun utar aayaa zulm ke tariqe par roz khun-e-insaan se aastin bhigotaa hai jo bhi imaan rakhtaa hai maslahat-parasti par gulshan-e-mohabbat mein gham ke biij botaa hai aaina haqiqat kaa rakh ke saamne dekhe aadmi zamaane mein khud vaqaar khotaa hai is qadar baDhi 'arshad' zindagi ki hairaani aaj-kal har ik insaan rote rote sotaa hai"
bach nikalnaa kyaa ikhtiyaar mein hai — Arshad Meena Nagri
"bach nikalnaa kyaa ikhtiyaar mein hai zindagi maut ke hisaar mein hai aarzu aur mere dil ki bisaat ek shoala saa reg-zaar mein hai kitne suraj nigal gai zulmat aas kaa diip kis shumaar mein hai jo khizaan mein bhi mil nahin sakti vo udaasi bhari bahaar mein hai nafratein ko bhi jis se nafrat ho aisi nafrat tumhaare pyaar mein hai be-qaraari mein thaa qaraar magar aaj to bekali qaraar mein hai hauslon ki nigaah se dekho kaamraani kaa raaz haar mein hai vo bhi tum ne diyaa nahin ham ko jo tumhaare hi ikhtiyaar mein hai naa-muraadi ki had hai ye 'arshad' jiit bhi apni aaj haar mein hai"
بچ نکلنا کیا اختیار میں ہے زندگی موت کے حصار میں ہے آرزو اور میرے دل کی بساط ایک شعلہ سا ریگ زار میں ہے کتنے سورج نگل گئی ظلمت آس کا دیپ کس شمار میں ہے جو خزاں میں بھی مل نہیں سکتی وہ اداسی بھری بہار میں ہے نفرتوں کو بھی جس سے نفرت ہو ایسی نفرت تمہارے پیار میں ہے بے قراری میں تھا قرار مگر آج تو بیکلی قرار میں ہے حوصلوں کی نگاہ سے دیکھو کامرانی کا راز ہار میں ہے وہ بھی تم نے دیا نہیں ہم کو جو تمہارے ہی اختیار میں ہے نا مرادی کی حد ہے یہ ارشدؔ جیت بھی اپنی آج ہار میں ہے
बच निकलना क्या इख़्तियार में है ज़िंदगी मौत के हिसार में है आरज़ू और मेरे दिल की बिसात एक शो'ला सा रेग-ज़ार में है कितने सूरज निगल गई ज़ुल्मत आस का दीप किस शुमार में है जो ख़िज़ाँ में भी मिल नहीं सकती वो उदासी भरी बहार में है नफ़रतों को भी जिस से नफ़रत हो ऐसी नफ़रत तुम्हारे प्यार में है बे-क़रारी में था क़रार मगर आज तो बेकली क़रार में है हौसलों की निगाह से देखो कामरानी का राज़ हार में है वो भी तुम ने दिया नहीं हम को जो तुम्हारे ही इख़्तियार में है ना-मुरादी की हद है ये 'अरशद' जीत भी अपनी आज हार में है

More by Arshad Meena Nagri
View all →"husn-e-taaza kanval ke jaisaa hai aur chehra ghazal ke jaisaa hai rang TuuTi hui javaani kaa ek ujDe mahal ke jaisaa hai ahl-e-mehnat ki mehnaton kaa sila aaj miTTi ke phal ke jaisaa hai zulm par aah bhi nahin karte apnaa jiinaa ajal ke jaisaa hai vo zamaana thaa amn kaa dushman ye zamaana bhi kal ke jaisaa hai kaam hotaa hai baat par us ki azm us kaa amal ke jaisaa hai apne maahaul ki ghalaazat mein vo shagufta kanval ke jaisaa hai aaj ke rahbaron kaa har vaada dekhnaa guzre pal ke jaisaa hai mulk mein kyaa fasaadiyon kaa hal aaj cancer ke hal ke jaisaa hai meri uljhan kaa silsila shaayad teri zulfon ke bal ke jaisaa hai kis ko manzil milegi ai 'arshad' azm kis kaa amal ke jaisaa hai"
"us ke rukhsaar shabnami jaise raushni par hai raushni jaise kaun ye be-naqaab aayaa hai ruk gai chaand ki hansi jaise un ke ahd-e-shabaab kaa manzar gulsitaan par shaguftagi jaise un kaa chehra hansi ke aalam mein phuul par barq gir gai jaise un kaa andaaz-e-guftugu aisaa aabshaaron ki naghmagi jaise un kaa ahd-e-shabaab ai 'arshad' meri rangin shaairi jaise"
"ab ke to gulistaan mein vo daur-e-bahaar aayaa phulon pe udaasi hai kaanTon pe nikhaar aayaa vo apne muqaddar pe rotaa hi rahaa barson auron kaa muqaddar jo pal bhar mein sanvaar aayaa kyaa chaal chali tu ne kyaa jaal bichhaayaa hai sayyaad mubaarak ho ghar baiThe shikaar aayaa jis jiit ki khaatir main bedaar rahaa ab tak ik lamhe ki ghaflat mein vo jiit bhi haar aayaa divaangi-e-dil kaa kyaa arz karun aalam main dard ke sahraa mein khud ko hi pukaar aayaa har haal mein hai mujh ko manzur khushi un ki rusvaai hui meri un ko to qaraar aayaa iflaas mein ghuT ghuT kar dam toD diyaa jis ne aaj us pe zamaane ki nafrat ko bhi pyaar aayaa sach kahtaa huun main 'arshad' aisaa bhi huaa aksar khud apni masarrat pe royaa to qaraar aayaa"
"vo mile bhi to ajnabi jaise mujh ko dekhaa nahin kabhi jaise ji rahaa hai jo sirf jiine ko maut hai us ki zindagi jaise ilm shaamil hai har jahaalat mein hai andheraa ye raushni jaise is qadar zoam chand saanson par khud khudaa hai ye aadmi jaise aaj tak bhi mili nahin manzil meri rahbar hai gumrahi jaise dushmanon kaa bhi saath detaa huun mujh ko hai khud se dushmani jaise ye bhi din kaT hi jaaegaa 'arshad' kaT gai gham ki raat bhi jaise"
"nafrat ke andheron ko miTaane ke liye aa aa sham-e-mohabbat ko jalaane ke liye aa bebaak huaa jaataa hai ab dard-e-judaai ubhre hue zakhmon ko dabaane ke liye aa kab tak main sambhaalun tiri yaadon ki amaanat ye baar-e-garaan dil se haTaane ke liye aa yaadon ke darichon mein tiraa ruup hai lekin ab hijr kaa ehsaas bhulaane ke liye aa ehsaas ke sahraa ki udaasi nahin jaati jharnon ki tarah giit sunaane ke liye aa ik teri mohabbat kaa muhaafiz hai miraa dil khud apne liye mujh ko bachaane ke liye aa mujh ko to hai manzur tire pyaar mein 'arshad' amrit na sahi zahr pilaane ke liye aa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"