SHAWORDS

bahaane DhunD ke laate the yaar ek se ek — Harshit Mishra

HomeHarshit MishraGhazal
"bahaane DhunD ke laate the yaar ek se ek hamaare saath rahe gham-gusaar ek se ek kahaan kahaan pe aqidon se sar jhukaae koi qadam qadam pe hain parvardigaar ek se ek falak pe ho ki na ho khaak-ru koi maujud zamin par hain sitaaraa-shiaar ek se ek tumhin nahin ho namaaz-e-shab-e-vafaa ke amiin paDe hue hain tahajjud-guzaar ek se ek abhi to sirf taaaqub miri zamin kaa hai abhi to honge havaa mein shikaar ek se ek kise kise main banaaun nigaah kaa markaz ki jaan ek hai aur jaan-nisaar ek se ek koi na koi banaaegaa ishq ke kuuze vafaa kaa chaak salaamat kumhaar ek se ek ik aaine ne mire kaan mein kahaa 'harshit' tumhi nahin hain yahaan daaghdaar ek se ek"
Urdu

بہانے ڈھونڈ کے لاتے تھے یار ایک سے ایک ہمارے ساتھ رہے غم گسار ایک سے ایک کہاں کہاں پہ عقیدوں سے سر جھکائے کوئی قدم قدم پہ ہیں پروردگار ایک سے ایک فلک پہ ہو کہ نہ ہو خاک رو کوئی موجود زمین پر ہیں ستارا شعار ایک سے ایک تمہیں نہیں ہو نماز شب وفا کے امین پڑے ہوئے ہیں تہجد گزار ایک سے ایک ابھی تو صرف تعاقب مری زمین کا ہے ابھی تو ہوں گے ہوا میں شکار ایک سے ایک کسے کسے میں بناؤں نگاہ کا مرکز کہ جان ایک ہے اور جاں نثار ایک سے ایک کوئی نہ کوئی بنائے گا عشق کے کوزے وفا کا چاک سلامت کمہار ایک سے ایک اک آئنے نے مرے کان میں کہا ہرشتؔ تمہی نہیں ہیں یہاں داغ دار ایک سے ایک

Hindi

बहाने ढूँड के लाते थे यार एक से एक हमारे साथ रहे ग़म-गुसार एक से एक कहाँ कहाँ पे अक़ीदों से सर झुकाए कोई क़दम क़दम पे हैं परवरदिगार एक से एक फ़लक पे हो कि न हो ख़ाक-रू कोई मौजूद ज़मीन पर हैं सितारा-शिआ'र एक से एक तुम्हीं नहीं हो नमाज़-ए-शब-ए-वफ़ा के अमीन पड़े हुए हैं तहज्जुद-गुज़ार एक से एक अभी तो सिर्फ़ तआ'क़ुब मिरी ज़मीन का है अभी तो होंगे हवा में शिकार एक से एक किसे किसे मैं बनाऊँ निगाह का मरकज़ कि जान एक है और जाँ-निसार एक से एक कोई न कोई बनाएगा इश्क़ के कूज़े वफ़ा का चाक सलामत कुम्हार एक से एक इक आइने ने मिरे कान में कहा 'हर्षित' तुम्ही नहीं हैं यहाँ दाग़दार एक से एक

bahāne DhūñD ke laate the yaar ek se ek
Harshit Mishra
Harshit Mishra
Harshit Mishra
poet18 quotes

More by Harshit Mishra

View all →
Quote
"sher-goi ke is aazaar mein shal hone tak mustaqil sochtaa rahtaa huun ghazal hone tak teri qurbat se kai raaz khule hain mujh par dil muamma thaa mujhe ishq mein hal hone tak bistar-e-marg pe huun aur ye puchhun sab se niind aa jaaegi kyaa subh-e-ajal hone tak dhundhle dhundhle se nazar aate the manzar mujh ko sinf-e-goyaai ko aankhon kaa badal hone tak khaak bas khaak hi hoti hai rag-e-jaan ke baghair hukm bas hukm hi rahtaa hai amal hone tak kitne haathon ko qalam kar diyaa jaataa hai yahaan turbat-e-ishq ko ik taaj-mahal hone tak kal mujhe vasl ke imkaan bahut hain 'harshit' umr lagti hai magar aaj se kal hone tak"
Harshit MishraHarshit Mishra
Quote
"lakhnau shahr mein sab kuchh hai dil-aavez yahaan fikr 'harshit' ki hui aur bhi zarkhez yahaan un ki takmil na ho paai alag baat magar kis ki aankhein na huiin khvaab se labrez yahaan us ne takhliq-e-sukhan ke liye bakhshaa hai qalam ham bhi karte nahin tanqid se parhez yahaan she'r kahnaa bhi to mushkil hai tire hijr ke baa'd pen kahin baks kahin lamp kahin mez yahaan vahshatein naach rahi hain yahaan chaaron jaanib shahr kaa shahr hi lagtaa hai junun-khez yahaan ham se sambhleinge nahin aap ki taa'rif ke pul aur chalti hain havaaein bhi bahut tez yahaan"
Harshit MishraHarshit Mishra
Quote
"khatm kar deti hai khud hi faasla mere liye us ki khushbu le ke aati hai havaa mere liye main ne jis jis kaa dukhaayaa dil vo sab jaate rahe ab nadaamat lafz kaa matlab bhi kyaa mere liye koi ab bhi dil ke mandir mein jalaataa hai diye koi to kartaa hai ab bhi ratjagaa mere liye haath ke chhaalon ne kar li aaj phir se khud-kushi mere bachchon ne kahaa jab kyaa kiyaa mere liye apni ulfat ke hazaaron rang bhar dungaa janaab jab koi tasvir bhejegaa khudaa mere liye kis liye duniyaa mein rahne aa gae jannat se ham koi to ban jaae ab uqda-kushaa mere liye azm-e-mohkam dekh kar is zindagi ki raah mein manzilein khud tai kareingi raasta mere liye main ne chhoDi hi nahin ab tak amal ki rassiyaan jo bhi hai achchhaa hai sab us kaa likhaa mere liye"
Harshit MishraHarshit Mishra
Quote
"phir vahi baam-o-dar ki tasvirein ghar ke baahar bhi ghar ki tasvirein ye hamaaraa kamaal hai varna kaun khinche hai Dar ki tasvirein kyaa koi jang hone vaali hai khvaab mein thiin sipar ki tasvirein baiThe baiThe banaa rahaa huun main uDti uDti khabar ki tasvirein khushk aankhon se main ne khinchi hain ek sukhe shajar ki tasvirein ik nayaa zaaviya talaash mein hai dekh lein har nazar ki tasvirein dil ke hujre mein Taang rakkhi hai 'mir' 'ghaalib' 'jigar' ki tasvirein aap gar khinch lein to main maanun is taraf se udhar ki tasvirein"
Harshit MishraHarshit Mishra
Quote
"us ke dil tak nahin pahunchaa koi rasta sidhaa is liye kahne lagaa ishq ko ulTaa-sidhaa jis tarah se vo bataate hain tujhe uzr apne is kaa matlab to taghaaful hi hai sidhaa sidhaa ham agar tujh mein samaa jaaein to hairat kaisi aa ke girtaa hai samandar mein hi dariyaa sidhaa ham ne us naam ki hurmat ko bachaae rakkhaa log karte rahe jis naam pe paisaa sidhaa kyon mujhe biich mein khinchaa gayaa maalum nahin meraa khud se to nahin thaa koi jhagDaa sidhaa is zamaane ki mohabbat ke usulon pe chalein is zamaane mein bhalaa kaun hai itnaa sidhaa kis ke kirdaar ke azmat ki duhaai main duun nek laDki hai koi aur na laDkaa sidhaa main agar bhaag bhi niklun to bhaTak jaaungaa shahr-e-qaatil mein nahin ek bhi rastaa sidhaa bahr-o-bar mein vahi gum-gashta huaa hai 'harshit' ishq ki raah ko jis jis ne bhi samjhaa sidhaa"
Harshit MishraHarshit Mishra

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb