"na aap aae na bedaad-e-intizaar gai ye raat phir miri aankhon se aaj haar gai liye hue koi afsaana-e-bahaar gai sabaa chaman se bahut aaj sogvaar gai hui jo subh to ashkon se jagmagaa uTThi jo aai shaam to yaadon se mushk-baar gai isi nigaah ne maaraa alam-paraston ko vahi nigaah miri zindagi sanvaar gai zamin-e-ku-e-malaamat bhi khair raah mein thi kahaan kahaan liye mauj-e-khiraam-e-yaar gai"
balaa-e-tira-shabi kaa javaab le aae — Akhtar Saeed Khan
"balaa-e-tira-shabi kaa javaab le aae bujhe charaagh to ham aaftaab le aae bikhar gae jo kabhi chashm-e-intizaar ke rang is anjuman se ham ik aur khvaab le aae ham is zamin pe mizaan-e-adl rakhte hain kaho zamaane se fard-e-hisaab le aae har ek gham se salaamat guzar gayaa hai dil khudaa kare ki mohabbat ki taab le aae gae the ham bhi in aankhon se maangne kyaa kyaa vahi huaa ki bas ik iztiraab le aae hamaari laghzish-e-paiham ko raaegaan na samajh ajab nahin ki yahi inqalaab le aae na laae kuchh bhi ham aashob-e-dahr mein 'akhtar' bas ek hausla-e-iztiraab le aae"
بلائے تیرہ شبی کا جواب لے آئے بجھے چراغ تو ہم آفتاب لے آئے بکھر گئے جو کبھی چشم انتظار کے رنگ اس انجمن سے ہم اک اور خواب لے آئے ہم اس زمین پہ میزان عدل رکھتے ہیں کہو زمانے سے فرد حساب لے آئے ہر ایک غم سے سلامت گزر گیا ہے دل خدا کرے کہ محبت کی تاب لے آئے گئے تھے ہم بھی ان آنکھوں سے مانگنے کیا کیا وہی ہوا کہ بس اک اضطراب لے آئے ہماری لغزش پیہم کو رائیگاں نہ سمجھ عجب نہیں کہ یہی انقلاب لے آئے نہ لائے کچھ بھی ہم آشوب دہر میں اخترؔ بس ایک حوصلۂ اضطراب لے آئے
बला-ए-तीरा-शबी का जवाब ले आए बुझे चराग़ तो हम आफ़्ताब ले आए बिखर गए जो कभी चश्म-ए-इन्तिज़ार के रंग इस अंजुमन से हम इक और ख़्वाब ले आए हम इस ज़मीन पे मीज़ान-ए-अद्ल रखते हैं कहो ज़माने से फ़र्द-ए-हिसाब ले आए हर एक ग़म से सलामत गुज़र गया है दिल ख़ुदा करे कि मोहब्बत की ताब ले आए गए थे हम भी इन आँखों से माँगने क्या क्या वही हुआ कि बस इक इज़्तिराब ले आए हमारी लग़्ज़िश-ए-पैहम को राएगाँ न समझ अजब नहीं कि यही इंक़लाब ले आए न लाए कुछ भी हम आशोब-ए-दहर में 'अख़्तर' बस एक हौसला-ए-इज़तिराब ले आए

More by Akhtar Saeed Khan
View all →"mauj-e-shamim hain na khiraam-e-sabaa hain ham Thahri hui gulon ke labon par duaa hain ham begaana khalq se hain na tujh se khafaa hain ham ai zindagi muaaf ki dair-aashnaa hain ham is raaz ko bhi faash kar ai chashm-e-dil-navaaz kaanTaa khaTak rahaa hai ye dil mein ki kyaa hain ham yaarab tiraa kamaal-e-hunar ham pe khatm hai yaa sirf mashq-e-naaz kaa ik tajraba hain ham aakhir tire suluk ne jhuTlaa diyaa ise ik zoam thaa hamin ki saraapaa vafaa hain ham kal is zamin pe utreinge phulon ke qaafile ik paikar-e-bahaar ki aavaaz-e-paa hain ham"
"didani hai zakhm-e-dil aur aap se parda bhi kyaa ik zaraa nazdik aa kar dekhiye aisaa bhi kyaa ham bhi naa-vaaqif nahin aadaab-e-mahfil se magar chikh uThein khaamoshiyaan tak aisaa sannaaTaa bhi kyaa khud hamin jab dast-e-qaatil ko duaa dete rahe phir koi apni sitamgaari pe sharmaataa bhi kyaa jitne aaine the sab TuuTe hue the saamne shishagar baaton se apni ham ko bahlaataa bhi kyaa ham ne saari zindagi ik aarzu mein kaaT di farz kiije kuchh nahin khoyaa magar paayaa bhi kyaa be-mahaabaa tujh se aksar saamnaa hotaa rahaa zindagi tu ne mujhe dekhaa na ho aisaa bhi kyaa be-talab ik justuju si be-sabab ik intizaar umr-e-be-paayaan kaa itnaa mukhtasar qissa bhi kyaa ghair se bhi jab milaa 'akhtar' to hans kar hi milaa aadmi achchhaa ho lekin is qadar achchhaa bhi kyaa"
"main ne maanaa ek na ik din lauT ke tu aa jaaegaa lekin tujh bin umr jo guzri kaun use lauTaaegaa hijr ke sadme us kaa taghaaful baatein hain sab kahne ki kuchh bhi na mujh ko yaad rahegaa jab vo gale lag jaaegaa khvaab-e-vafaa aankhon mein basaae phirtaa hai kyaa divaane taabirein pathraav kareingi jab tu khvaab sunaaegaa kitni yaadein kitne qisse naqsh hain in divaaron par chalte chalte dekh lein muD kar kaun yahaan phir aaegaa baad-e-bahaari itnaa bataa de saada-dilaan-e-mausam ko sarf-e-chaman jo khuun huaa hai rang vo kab tak laaegaa"
"ye andheraa jo ayaan subh ki tanvir mein hai kuchh kami khun-e-jigar ki abhi tasvir mein hai ahl-e-taqdir ne sar rakh diyaa jis ke aage aaj vo uqda mire naakhun-e-tadbir mein hai rang-e-gul rang-e-butaan rang-e-jabin-e-mehnat jo hasin rang hai shaamil miri tasvir mein hai main ne jis khvaab ko aankhon mein basaa rakkhaa hai tu bhi zaalim mire us khvaab ki taabir mein hai le uDi mauj-e-bahaaraan ye alag hai varna aaj bhi paanv miraa khaana-e-zanjir mein hai vo mire puchhne ko aae hain sach-much 'akhtar' yaa koi khvaab-e-hasin manzil-e-taabir mein hai"
"nairangi-e-nashaat-e-tamannaa ajiib hai kuchh shaam se qafas mein ujaalaa ajiib hai sharmaa rahe hain taar-e-garebaan-e-chaak-e-dil kuchh din se rang-e-laala-e-sahraa ajiib hai har khvaab-e-e'tibaar shikaston se chuur hai dil mein magar ghurur-e-tamannaa ajiib hai saaraa badan hai dhuup mein jhulsaa huaa magar dil par jo paD rahaa hai vo saaya ajiib hai pheinke nahin hain aaj talak reza-haa-e-dil TuuTe taalluqaat kaa rishta ajiib hai jab tak nazar na kijiye yak qatra khuun hai dil lekin jo dekhiye to ye duniyaa ajiib hai 'akhtar' ye tere paanv ke kaanTe nae nahin kaanTon se kheltaa huaa chhaalaa ajiib hai"
More on Dil
View all →"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"