"jaan ganvaaun ki sar bachaa luun main koi talvaar to uThaa luun main tum ne furqat ki shab guzaari hai kyon na vahshat kaa din manaa luun main ho ijaazat to bazm-e-girya mein gham hansun dard gungunaa luun main ek surat mujhe banaani hai ek surat agar miTaa luun main bhuuk le aaegi parindon ko pheink duun jaal yaa uThaa luun main ek aavaaz hi lagaani hai ek aavaaz phir lagaa luun main raat bezaar hai to kyon na 'zamaan' dil jalaa luun diyaa bujhaa luun main"
barq-raftaar ham bhi dekhte hain — Daniyal Zaman
"barq-raftaar ham bhi dekhte hain tu hamein maar ham bhi dekhte hain kyaa likhaa hai jo paDhte rahte ho aaj akhbaar ham bhi dekhte hain is qadar mat buraai ki jaae tere be-kaar ham bhi dekhte hain masala is ko paar karnaa hai varna divaar ham bhi dekhte hain kitnaa paani hai aur kitne ashk kyaa hai me’yaar ham bhi dekhte hain ek bhi faahisha nahin maujud khushk baazaar ham bhi dekhte hain daaere ko ghalat banaaegaa us kaa parkaar ham bhi dekhte hain"
برق رفتار ہم بھی دیکھتے ہیں تو ہمیں مار ہم بھی دیکھتے ہیں کیا لکھا ہے جو پڑھتے رہتے ہو آج اخبار ہم بھی دیکھتے ہیں اس قدر مت برائی کی جائے تیرے بے کار ہم بھی دیکھتے ہیں مسئلہ اس کو پار کرنا ہے ورنہ دیوار ہم بھی دیکھتے ہیں کتنا پانی ہے اور کتنے اشک کیا ہے معیار ہم بھی دیکھتے ہیں ایک بھی فاحشہ نہیں موجود خشک بازار ہم بھی دیکھتے ہیں دائرے کو غلط بنائے گا اس کا پرکار ہم بھی دیکھتے ہیں
बर्क़-रफ़्तार हम भी देखते हैं तू हमें मार हम भी देखते हैं क्या लिखा है जो पढ़ते रहते हो आज अख़बार हम भी देखते हैं इस क़दर मत बुराई की जाए तेरे बे-कार हम भी देखते हैं मसअला इस को पार करना है वर्ना दीवार हम भी देखते हैं कितना पानी है और कितने अश्क क्या है मे’यार हम भी देखते हैं एक भी फ़ाहिशा नहीं मौजूद ख़ुश्क बाज़ार हम भी देखते हैं दाएरे को ग़लत बनाएगा उस का परकार हम भी देखते हैं

More by Daniyal Zaman
View all →"jhuuT sach khvaab yaqin vahm gumaan marte hain jo kahin bhi nahin marte vo yahaan marte hain salb ho jaaegi binaai hamesha ke liye teri aankhon mein agar khvaab-rasaan marte hain jiine lag jaaein to ham jiite hain be-naqsh-o-numud marne lag jaaein to benaam-o-nishaan marte hain shor ke lutf se aalud hain sab galiyaan aur kisi kone mein paDe ahl-e-zabaan marte hain kisi mazhar se numudaar nahin ho paate aakhirash gum-shuda-e-zist kahaan marte hain kachchi umron mein ghalat faisle karte hain 'zamaan' tere maayus hamesha se javaan marte hain"
"aap ki soch se ziyaada thaa ek din mere paas itnaa thaa pahli harakat se ban gai thi baat pahli harakat se naqsh ubhraa thaa mujh ko shohrat mili baghaavat se varna main bhi ghulaam hotaa thaa bolnaa aayaa baa'd mein mujh ko pahle aavaaz ko main suntaa thaa raushni phuTne lagi mujh se teri minnat kaa jugnu pakDaa thaa 'aks se ret ban ke niklaa huun aaine kaa main kuchh to lagtaa thaa log bedaar ho gae varna band kamre mein kis ne sonaa thaa raat us us ko sabz khvaab aae subh jis jis ne biij bonaa thaa us jagah par koi nahin thaa magar aap ne kah diyaa lihaazaa thaa"
"kis kis ko zer-e-aab havaa ki talaash hai kahtaa hai har habaab havaa ki talaash hai is vaaste bigaaD rahaa huun ghazal ko main ehsaas ko kharaab havaa ki talaash hai sar par paDi hui hain zamaane ki sakhtiyaan is gard ko janaab havaa ki talaash hai har satr-e-zindagi pe hai likkhaa huaa ghuTan meraa sabhi nisaab havaa ki talaash hai kab se bhaTak rahaa hai miri chashm-e-habs mein kyaa tujh ko bhi ai khvaab havaa ki talaash hai fatvaa-garaan-e-shahr-e-sitam mein hamein 'zamaan' marham du'aa sharaab havaa ki talaash hai"
"vo shor thaa ki lafz nahin hai zabaan par aavaaz qatl hone lagi harf-daan par main haalat-e-khamir mein sab dekhtaa rahaa kyaa kyaa guzar rahaa thaa miri ek jaan par jangal mein is liye hain shikaari chhupe hue baiThaa huaa hai koi darinda machaan par khulne mein thoDi der lagegi ye raaz bhi khaddar lapeT baiThaa huun resham ke thaan par ik shakl aaine ki savaari pe laad li ik shakhs ko savaar kiyaa apne dhyaan par"
"main gaam-gaam pe jo saans-saans martaa huun ye zindagi vo takabbur hai jo main kartaa huun siraat-e-hijr khat-e-mustaqim hotaa hai main ek par chalun to donon se guzartaa huun ye shash-jihaat mire shaanon par Thaharte hain ye naqsh baa'd mein hai pahle main ubhartaa huun ajiib khauf hai yaksaaniyat se baDhtaa hai tamaam raat main logon ki tarh Dartaa huun janaab ne man-o-salvaa samajh liyaa hai mujhe jo aasmaan se un ke liye utartaa huun koi nafis labaada hi zeb-e-tan kar do main achchhe kapDe pahan kar agar sanvartaa huun"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"