SHAWORDS

barson jis ko aankh se paani Daalaa thaa — Anfal Rafiq

HomeAnfal RafiqGhazal
"barson jis ko aankh se paani Daalaa thaa peD nahin koi rog thaa jis ko paalaa thaa chhat par baiThe baiThe us kaa khayaal aayaa uTh kar dekhaa to kamre par taalaa thaa ham se bhi ik baar hui thi dil-shikni dil mein kab kuchh thaa bas tujh ko Taalaa thaa khadshon ki divaar giraate shab Dhalti jaise sach-much us ke paar ujaalaa thaa rakh diin kamre mein apni sab tahrirein ik khat un mein ab bhi dene vaalaa thaa"
Urdu

برسوں جس کو آنکھ سے پانی ڈالا تھا پیڑ نہیں کوئی روگ تھا جس کو پالا تھا چھت پر بیٹھے بیٹھے اس کا خیال آیا اٹھ کر دیکھا تو کمرے پر تالا تھا ہم سے بھی اک بار ہوئی تھی دل شکنی دل میں کب کچھ تھا بس تجھ کو ٹالا تھا خدشوں کی دیوار گراتے شب ڈھلتی جیسے سچ مچ اس کے پار اجالا تھا رکھ دیں کمرے میں اپنی سب تحریریں اک خط ان میں اب بھی دینے والا تھا

Hindi

बरसों जिस को आँख से पानी डाला था पेड़ नहीं कोई रोग था जिस को पाला था छत पर बैठे बैठे उस का ख़याल आया उठ कर देखा तो कमरे पर ताला था हम से भी इक बार हुई थी दिल-शिकनी दिल में कब कुछ था बस तुझ को टाला था ख़द्शों की दीवार गिराते शब ढलती जैसे सच-मुच उस के पार उजाला था रख दीं कमरे में अपनी सब तहरीरें इक ख़त उन में अब भी देने वाला था

barsoñ jis ko aañkh se paanī Daalā thā
Anfal Rafiq
Anfal Rafiq
Anfal Rafiq
poet10 quotes

More by Anfal Rafiq

View all →
Quote
"thi aazmaaishon ki bhi ik had hazaar shukr ham par koi na farq paDaa sad-hazaar shukr aadhaa to saayaa jaaegaa ham-saae ki taraf apne shajar kaa itnaa to hai qad hazaar shukr aankhon se ek khvaab ki rukhsat hazaar haif Dhalte pahar mein she'r ki aamad hazaar shukr ham bhi kisi se us ke sivaa maangte nahin hoti nahin hai apni du'aa radd hazaar shukr ham khaak-bakht hain to yahi hai hamaaraa takht ham ko nahin hai khvaahish-e-masnad hazaar shukr girhein na kyaa kyaa khol diin us ki nigaah ne main kyaa huun aur kyaa miraa maqsad hazaar shukr har shab charaagh-e-yaad kaa hotaa hai ehtimaam viraan nahin hai dil kaa ye maa'bad hazaar shukr maqbul ho gae mire ashk-e-shab-e-firaaq aane lagi hai she'r ki abjad hazaar shukr"
Anfal RafiqAnfal Rafiq
Quote
"donon mein hi jazbon kaa ik dariyaa thaa main kahti thi lekin vo chup rahtaa thaa khvaabon ke jugnu the jin se raat gae ek sitaara meraa aanchal buntaa thaa vasl ki ghaDiyaan ghulti ghaTti jaati thiin furqat ke aaseb kaa un par saaya thaa us ko manzil paa lene ki jaldi thi mujh tak rasta duur se ho kar aataa thaa TuuTe rishte kirchiyaan ban kar chubhte hain chhoD ke jaane vaale ne kab sochaa thaa meri aankh ke dariyaa ko sahraa kar ke us ko ye ehsaas huaa vo pyaasaa thaa us ki yaad ne sabz-ruton ko zard kiyaa surkh saa jo ik phuul kabhi yaan khiltaa thaa aane vaalaa har lamha batlaataa hai vo lamha jo biit gayaa so achchhaa thaa"
Anfal RafiqAnfal Rafiq
Quote
"miraa sukut jo TuuTaa to sab miTaa degaa tire vujud ki buniyaad ko hilaa degaa dabi hui koi chingaari aaj bhaDkegi tiraa khayaal bujhi aag ko havaa degaa hamaare biich rahegaa koi na koi yahaan jo darmiyaan ke safar mein mujhe thakaa degaa sukhan-taraaz sahi tu magar ye dil-zadagaan kahaan ye harf-e-tasalli inhein shifaa degaa bahut hain marhale aankhon se manzil-e-dil tak jise hai paane ki 'ujlat hamein ganvaa degaa ye sabz-rut mein nazar bhar ke dekhnaa tujh ko khizaan ki shaam achaanak hamein rulaa degaa jo ranj sah ke bhi rahte hain mubtalaa tere tu un ke sabr kaa aakhir koi sila degaa"
Anfal RafiqAnfal Rafiq
Quote
"sochne lagti huun ye kaun hai kyaa boltaa hai chup rahun to mire andar kaa khalaa boltaa hai baat sunne kaa hunar jaise kahin hai hi nahin ham ne jis jis ko yahaan dekhaa sunaa boltaa hai lafz tere hain magar baat kisi aur ki hai kaun hai jo tire lahje mein chhupaa boltaa hai ye shikaayat thi hamein dil se ki khaamosh huaa ab jo bolaa hai to pahle se sivaa boltaa hai dekh ai yaar bataayaa nahin jaataa har dukh maan kaa gham vo hai jo chehre pe likhaa boltaa hai khush-bu gaanv ki chali aati hai milon pahle narm miTTi mein mire ghar kaa pata boltaa hai ik tire bolne se aaj khulaa tu vo nahin aise lahje mein kahaan meraa khudaa boltaa hai"
Anfal RafiqAnfal Rafiq
Quote
"kyon huaa zabt kaa malaal mujhe ai junun ruk zaraa sanbhaal mujhe khaamushi roz chikhti hai miri khaa rahe hain mire savaal mujhe aaina ban gai ki chaahiye thaa tujh ko 'aks aur dekh-bhaal mujhe khud simaT aae mujh mein vo sar-e-shaam aur keh kar pukaare shawl mujhe sochti huun ki kyon na likh duun sab ik mohabbat kaa hai khayaal mujhe tere lahje ki vo thakan afsos kar sakaa kab safar niDhaal mujhe haath se vaar kab talak rokun ab zaruri hai teri Dhaal mujhe main ne jis tarh tujh ko chaahaa hai de zaraa ek bhi misaal mujhe"
Anfal RafiqAnfal Rafiq

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud