SHAWORDS

bas ye hai meri zindagi kaa dukh — Faraz Dehalvi

HomeFaraz DehalviGhazal
"bas ye hai meri zindagi kaa dukh mujh ko hotaa hai har kisi kaa dukh dukh se phir kuchh nahin bigaDtaa hai baanT le gar koi kisi kaa dukh mujh ko gham aur bhi bahut hain par tum ko rahtaa hai muflisi kaa dukh jin ke bachchon ne khud-kushi kar li un ke jaisaa nahin kisi kaa dukh jab se raahat nahin hain duniyaa mein shaa'iri ko hai is kami kaa dukh kaaT di dukh mein zindagi ham ne tum ko dukhtaa hai do ghaDi kaa dukh main ne jab se tiri parastish ki mujh ko khaataa hai bandagi kaa dukh be-gunaahon ki jaan jaati hai maut karti hai zindagi kaa dukh jin ko milti hai shaam ko roTi un ko hotaa hai raushni kaa dukh"
Urdu

بس یہ ہے میری زندگی کا دکھ مجھ کو ہوتا ہے ہر کسی کا دکھ دکھ سے پھر کچھ نہیں بگڑتا ہے بانٹ لے گر کوئی کسی کا دکھ مجھ کو غم اور بھی بہت ہیں پر تم کو رہتا ہے مفلسی کا دکھ جن کے بچوں نے خودکشی کر لی ان کے جیسا نہیں کسی کا دکھ جب سے راحت نہیں ہیں دنیا میں شاعری کو ہے اس کمی کا دکھ کاٹ دی دکھ میں زندگی ہم نے تم کو دکھتا ہے دو گھڑی کا دکھ میں نے جب سے تری پرستش کی مجھ کو کھاتا ہے بندگی کا دکھ بے گناہوں کی جان جاتی ہے موت کرتی ہے زندگی کا دکھ جن کو ملتی ہے شام کو روٹی ان کو ہوتا ہے روشنی کا دکھ

Hindi

बस ये है मेरी ज़िंदगी का दुख मुझ को होता है हर किसी का दुख दुख से फिर कुछ नहीं बिगड़ता है बाँट ले गर कोई किसी का दुख मुझ को ग़म और भी बहुत हैं पर तुम को रहता है मुफ़लिसी का दुख जिन के बच्चों ने ख़ुद-कुशी कर ली उन के जैसा नहीं किसी का दुख जब से राहत नहीं हैं दुनिया में शा'इरी को है इस कमी का दुख काट दी दुख में ज़िंदगी हम ने तुम को दुखता है दो घड़ी का दुख मैं ने जब से तिरी परस्तिश की मुझ को खाता है बंदगी का दुख बे-गुनाहों की जान जाती है मौत करती है ज़िंदगी का दुख जिन को मिलती है शाम को रोटी उन को होता है रौशनी का दुख

bas ye hai merī zindagī kā dukh
F
Faraz Dehalvi
Faraz Dehalvi
poet3 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar