SHAWORDS

be-manzari kaa 'ajab khvaab dekhtaa huun main — Javed Mushiri

HomeJaved MushiriGhazal
"be-manzari kaa 'ajab khvaab dekhtaa huun main har ek aankh mein tezaab dekhtaa huun main talaash karne chalaa huun main aap ki surat palaT palaT ke nae baab dekhtaa huun main bas ek zid thi talaatum se jang laDni hai so ab safine ko gharqaab dekhtaa huun main tumhaaraa hijr salaamat mujhe kami kyaa hai har ek zakhm ko shaadaab dekhtaa huun main jahaan pe naam-o-nasab takhtiyon se raushan hon vahaan pe khud ko hi kamyaab dekhtaa huun main tujhe to hijr mein sahraa hue zamaana huaa ye kis ki aankhon mein sailaab dekhtaa huun main"
Urdu

بے منظری کا عجب خواب دیکھتا ہوں میں ہر ایک آنکھ میں تیزاب دیکھتا ہوں میں تلاش کرنے چلا ہوں میں آپ کی صورت پلٹ پلٹ کے نئے باب دیکھتا ہوں میں بس ایک ضد تھی تلاطم سے جنگ لڑنی ہے سو اب سفینے کو غرقاب دیکھتا ہوں میں تمہارا ہجر سلامت مجھے کمی کیا ہے ہر ایک زخم کو شاداب دیکھتا ہوں میں جہاں پہ نام و نسب تختیوں سے روشن ہوں وہاں پہ خود کو ہی کم یاب دیکھتا ہوں میں تجھے تو ہجر میں صحرا ہوئے زمانہ ہوا یہ کس کی آنکھوں میں سیلاب دیکھتا ہوں میں

Hindi

बे-मंज़री का 'अजब ख़्वाब देखता हूँ मैं हर एक आँख में तेज़ाब देखता हूँ मैं तलाश करने चला हूँ मैं आप की सूरत पलट पलट के नए बाब देखता हूँ मैं बस एक ज़िद थी तलातुम से जंग लड़नी है सो अब सफ़ीने को ग़र्क़ाब देखता हूँ मैं तुम्हारा हिज्र सलामत मुझे कमी क्या है हर एक ज़ख़्म को शादाब देखता हूँ मैं जहाँ पे नाम-ओ-नसब तख़्तियों से रौशन हों वहाँ पे ख़ुद को ही कमयाब देखता हूँ मैं तुझे तो हिज्र में सहरा हुए ज़माना हुआ ये किस की आँखों में सैलाब देखता हूँ मैं

be-manzarī kā 'ajab ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ
Javed Mushiri
Javed Mushiri
Javed Mushiri
poet25 quotes

More by Javed Mushiri

View all →
Quote
"tumhaare chehre ki chilmanon se ham apni aankhein utaar leinge savaal ye hai ki ratjagon kaa jamaal kab tak udhaar leinge malaal ye hai tumhaari yaadein hamein akelaa na kar sakeingi magar ye sach hai tumhaare bin bhi ham apnaa jivan guzaar leinge gharaz se koi gharaz nahin hai davaa-talab ye maraz nahin hai 'ilaaj puchheinge laakh tum se davaaein tum se hazaar leinge ye 'umr-e-rafta tiri talab mein bhaTak rahi hai sulag rahi hai guzaarni thi jo zindagi ab guzaarni hai guzaar leinge ye aaDi-tirchhi si kuchh lakirein chamak rahi hain hatheliyon par milaa nujumi jo qaa'ede kaa so ham bhi in ko sanvaar leinge"
Javed MushiriJaved Mushiri
Quote
"sar par suraj naach rahaa hai dhuup paDi hai kone mein bas itnaa saa farq hai yaaro hone aur na hone mein pichhli rut ke pyaase patthar TuTeinge na bikhreinge tum ne kitni der lagaa di sab se mil kar rone mein vo raste mein haath chhuDaa kar apni manzil paa bhi gayaa ham ne saari 'umr ganvaa di jis ko paane khone mein hanste hanste dard ki daulat saunp gayaa vo chupke se tum bhi aakhir aa hi gae naa us ke jaadu-Tone mein tum yaadon ke diip jalaa kar chhat par baiTho khvaabon ke aur idhar masruf hai saavan pankh hamaare dhone mein aankhon kaa khaamosh samundar dil ko jal-thal kar degaa tishna-labi kuchh aur baDhegi ret se paanv bhigone mein"
Javed MushiriJaved Mushiri

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb