SHAWORDS

bu-e-khun khanjar mein rahne dijiye — Shadan Badayuni

"bu-e-khun khanjar mein rahne dijiye baat ghar ki ghar mein rahne dijiye zulmat-e-shab ko na kahiye raushni farq khair-o-shar mein rahne dijiye apni yaadein saath le jaaein na aap raushni kuchh ghar mein rahne dijiye varna tanhaai mujhe khaa jaaegi koi saudaa sar mein rahne dijiye aap meri baat kaa diije javaab khaamushi patthar mein rahne dijiye faash ho jaae na 'shaadaan' raaz-e-ishq shor-e-girya ghar mein rahne dijiye"
Urdu

بوئے خوں خنجر میں رہنے دیجئے بات گھر کی گھر میں رہنے دیجئے ظلمت شب کو نہ کہئے روشنی فرق خیر و شر میں رہنے دیجئے اپنی یادیں ساتھ لے جائیں نہ آپ روشنی کچھ گھر میں رہنے دیجئے ورنہ تنہائی مجھے کھا جائے گی کوئی سودا سر میں رہنے دیجئے آپ میری بات کا دیجے جواب خامشی پتھر میں رہنے دیجئے فاش ہو جائے نہ شاداںؔ راز عشق شور گریہ گھر میں رہنے دیجئے

Hindi

बू-ए-ख़ूँ ख़ंजर में रहने दीजिए बात घर की घर में रहने दीजिए ज़ुल्मत-ए-शब को न कहिए रौशनी फ़र्क़ ख़ैर-ओ-शर में रहने दीजिए अपनी यादें साथ ले जाएँ न आप रौशनी कुछ घर में रहने दीजिए वर्ना तन्हाई मुझे खा जाएगी कोई सौदा सर में रहने दीजिए आप मेरी बात का दीजे जवाब ख़ामुशी पत्थर में रहने दीजिए फ़ाश हो जाए न 'शादाँ' राज़-ए-इश्क़ शोर-ए-गिर्या घर में रहने दीजिए

bū-e-ḳhūñ ḳhanjar meñ rahne dījiye
Shadan Badayuni
Shadan Badayuni
Shadan Badayuni
poet3 quotes

More by Shadan Badayuni

View all →
Quote
"teraa har rang sitam ai shoala-ru achchhaa lagaa jitne tu ne gham diye utnaa hi tu achchhaa lagaa sirf itnaa hi nahin vo maah-ru achchhaa lagaa us kaa lahja us kaa tarz-e-guftugu achchhaa lagaa meri jaanib us ne dekhaa is nigaah-e-khaas se mujh ko apne ru-ba-ru khaali subu achchhaa lagaa barhami ki aag mein dil ko jalaa dene ke baad muskuraai jab vo chashm-e-jang-ju achchhaa lagaa kar gai us ki nigaah-e-avvalin qissa tamaam phir zamaane mein na koi khub-ru achchhaa lagaa us ki mahfil mein huaa jab kuchh hasin chehron kaa zikr aaina us vaqt us ke ru-ba-ru achchhaa lagaa vasvase jaage the us ko dekh kar khanjar-ba-kaf jab vahi khanjar huaa zeb-e-gulu achchhaa lagaa koi lamha zindagi kaa dard se khaali na thaa kaise kah detaa jahaan-e-rang-o-bu achchhaa lagaa kitni aasaani se ai 'shaadaan' qayaamat Tal gai us ko meraa ahd-e-tark-e-aarzu achchhaa lagaa"
Shadan BadayuniShadan Badayuni
Quote
"main aur huun miraa dil-e-divaana aur hai afsaana aur haasil-e-afsaana aur hai divaangi pe ab miri hanstaa nahin koi sab jaante hain fitrat-e-divaana aur hai us shama-ru ki bazm ke aadaab dekhiye ik jal chukaa to dusraa parvaana aur hai dil bhar gayaa hai ab miraa dasht-e-hayaat se shaayad nigaah mein koi viraana aur hai mujh ko huaa hai tajraba-e-zindagi kuchh aur duniyaa jo kah rahi hai vo afsaana aur hai jab ham pe band ho gae dair-o-haram ke dar tab raaz ye khulaa dar-e-jaanaana aur hai 'shaadaan' kiyaa to hai use paane kaa hausla ab ehtiyaaj-e-jurat-e-rindaana aur hai"
Shadan BadayuniShadan Badayuni

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer