SHAWORDS

main aur huun miraa dil-e-divaana aur hai — Shadan Badayuni

"main aur huun miraa dil-e-divaana aur hai afsaana aur haasil-e-afsaana aur hai divaangi pe ab miri hanstaa nahin koi sab jaante hain fitrat-e-divaana aur hai us shama-ru ki bazm ke aadaab dekhiye ik jal chukaa to dusraa parvaana aur hai dil bhar gayaa hai ab miraa dasht-e-hayaat se shaayad nigaah mein koi viraana aur hai mujh ko huaa hai tajraba-e-zindagi kuchh aur duniyaa jo kah rahi hai vo afsaana aur hai jab ham pe band ho gae dair-o-haram ke dar tab raaz ye khulaa dar-e-jaanaana aur hai 'shaadaan' kiyaa to hai use paane kaa hausla ab ehtiyaaj-e-jurat-e-rindaana aur hai"
Urdu

میں اور ہوں مرا دل دیوانہ اور ہے افسانہ اور حاصل افسانہ اور ہے دیوانگی پہ اب مری ہنستا نہیں کوئی سب جانتے ہیں فطرت دیوانہ اور ہے اس شمع رو کی بزم کے آداب دیکھیے اک جل چکا تو دوسرا پروانہ اور ہے دل بھر گیا ہے اب مرا دشت حیات سے شاید نگاہ میں کوئی ویرانہ اور ہے مجھ کو ہوا ہے تجربۂ زندگی کچھ اور دنیا جو کہہ رہی ہے وہ افسانہ اور ہے جب ہم پہ بند ہو گئے دیر و حرم کے در تب راز یہ کھلا در جانانہ اور ہے شاداںؔ کیا تو ہے اسے پانے کا حوصلہ اب احتیاج جرأت رندانہ اور ہے

Hindi

मैं और हूँ मिरा दिल-ए-दीवाना और है अफ़्साना और हासिल-ए-अफ़्साना और है दीवानगी पे अब मिरी हँसता नहीं कोई सब जानते हैं फ़ितरत-ए-दीवाना और है उस शम्अ'-रू की बज़्म के आदाब देखिए इक जल चुका तो दूसरा परवाना और है दिल भर गया है अब मिरा दश्त-ए-हयात से शायद निगाह में कोई वीराना और है मुझ को हुआ है तजरबा-ए-ज़िंदगी कुछ और दुनिया जो कह रही है वो अफ़्साना और है जब हम पे बंद हो गए दैर-ओ-हरम के दर तब राज़ ये खुला दर-ए-जानाना और है 'शादाँ' किया तो है उसे पाने का हौसला अब एहतियाज-ए-जुरअत-ए-रिंदाना और है

maiñ aur huuñ mirā dil-e-dīvāna aur hai
Shadan Badayuni
Shadan Badayuni
Shadan Badayuni
poet3 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb