SHAWORDS

chalo ab raasta badlein yahaan se — Deepak Kamil

HomeDeepak KamilGhazal
"chalo ab raasta badlein yahaan se utar aaein zamin par aasmaan se main jitnaa daastaan ko likh rahaa huun bichhaDtaa jaa rahaa huun daastaan se muqaddar ki kami mehnat se bhar di mohabbat ki kami bhar duun kahaan se zaraa saa hosh ho to mushkilon mein nikal aate hain raste darmiyaan se hansaane vaale jo tanhaa mile to bikhar kar ro paDe chehre ruaanse pareshaani hai un ki lafz-e-'kaamil' miTaaein kaise us ko daastaan se"
Urdu

چلو اب راستہ بدلیں یہاں سے اتر آئیں زمیں پر آسماں سے میں جتنا داستاں کو لکھ رہا ہوں بچھڑتا جا رہا ہوں داستاں سے مقدر کی کمی محنت سے بھر دی محبت کی کمی بھر دوں کہاں سے ذرا سا ہوش ہو تو مشکلوں میں نکل آتے ہیں رستے درمیاں سے ہنسانے والے جو تنہا ملے تو بکھر کر رو پڑے چہرے روانسے پریشانی ہے ان کی لفظ کاملؔ مٹائیں کیسے اس کو داستاں سے

Hindi

चलो अब रास्ता बदलें यहाँ से उतर आएँ ज़मीं पर आसमाँ से मैं जितना दास्ताँ को लिख रहा हूँ बिछड़ता जा रहा हूँ दास्ताँ से मुक़द्दर की कमी मेहनत से भर दी मोहब्बत की कमी भर दूँ कहाँ से ज़रा सा होश हो तो मुश्किलों में निकल आते हैं रस्ते दरमियाँ से हँसाने वाले जो तन्हा मिले तो बिखर कर रो पड़े चेहरे रुआँसे परेशानी है उन की लफ़्ज़-ए-'कामिल' मिटाएँ कैसे उस को दास्ताँ से

chalo ab rāsta badleñ yahāñ se
Deepak Kamil
Deepak Kamil
Deepak Kamil
poet15 quotes

More by Deepak Kamil

View all →
Quote
"shohratein de 'izzatein de taaliyaan de shaa'iri haan magar is se bhi pahle roTiyaan de shaa'iri is jahaan mein pyaar ko miltaa nahin hai pyaar hi mere lahje mein balaa ki talkhiyaan de shaa'iri vaaqa'i jo naam-levaa hain tire sansaar mein kam se kam un ko to mat gum-naamiyaan de shaa'iri kab talak dekhein yahaan dekhi dikhaai zindagi zindagi mein nit nai hairaaniyaan de shaa'iri ab ke bhi tyauhaar par vo she'r hi sun ro paDi kaan mein beTi ke ab ke baaliyaan de shaa'iri jin charaaghon ne tiraa ghar raushni se bhar diyaa un ko ujrat mein bhalaa kyuun aandhiyaan de shaa'iri jin se teri mahfilein aabaad hain shaadaab hain un ko tohfe mein na yuun barbaadiyaan de shaa'iri vaaqa'i 'kaamil' banaanaa chaahti hai gar mujhe to mujhe zakhm-e-hunar ki sipiyaan de shaa'iri"
Deepak KamilDeepak Kamil
Quote
"jangalon kaa saahilon kaa vaadiyon kaa kyaa karein jab maza hai raaston mein manzilon kaa kyaa karein aadmi kaa kyaa karein ye sochti hain 'auratein aadmi ye sochte hain 'auraton kaa kyaa karein zindagi kaa aaina jab har ghaDi ho saamne ghar mein rakh kar ham bhalaa phir aainon kaa kyaa karein ham bhi auron ki tarah mahfuz ji lete magar kyaa karein ham kyaa karein in hauslon kaa kyaa karein 'aadatan kar hi diyaa ham ne to un kaa zikr phir dil ko to ham rok lein par 'aadaton kaa kyaa karein dosti ko chhoD kar har kaam yaaron ne kiyaa aap hi batlaaiye in doston kaa kyaa karein aap kyuun karte nahin hain karne vaale kaam ko aap ki 'kaamil' inhin ham ghaflaton kaa kyaa karein"
Deepak KamilDeepak Kamil
Quote
"parinde ko bharam hai uD rahaa hai uDaane vaalaa koi dusraa hai gharaz ki Dor se lipTe hain varna jahaan mein kaun kis ko chaahtaa hai unhein bas bhuul hi sakte nahin ham agarche bhulne kaa qaa'eda hai bhalaa is dil saa paaji kaun hogaa hamaare saath hai aur laapata hai bharosa toDne vaalaa yahaan par 'ajab hai ki bharosa chaahtaa hai hamaare khaatme kaa sochnaa hi tumhaare khaatme ki ibtidaa hai yaqinan raaste to hain kai par khamoshi raaston kaa raastaa hai baDaa mushkil hai kuchh vo DhunDhnaa jo hamaare paas hai aur kaam kaa hai bhalaa vo baadshah kaise banegaa ghulaamon ki tarah jo sochtaa hai agar hai dusron par to hai ghaatak bharosa khud pe hai to kaam kaa hai muqaddar khinch laaya ham ko varna khushi se kaun ghar ko chhoDtaa hai kisi bhi vaar se dushman ko 'kaamil' nazar-andaaz karnaa maartaa hai"
Deepak KamilDeepak Kamil
Quote
"jo nahin rakhni thiin vo sab chuppiyaan mahfuz hain aap ko bheji nahin jo chiTThiyaan mahfuz hain jism se zinda huun lekin man miraa hai mar chukaa yaa'ni bal to jal chuke hain rassiyaan mahfuz hain aa gayaa daftar mein kyon main ghar se bach kar aaj bhi jab ki meri saal bhar ki chhuTTiyaan mahfuz hain tab talak dene paDeinge paas hone ke subut duriyaan jab tak hamaare darmiyaan mahfuz hain muflison ko di thiin jitni aap ne vo sab ki sab naama-e-aa'maal mein vo siskiyaan mahfuz hain sochtaa huun yaad aanaa aap kaa aakhir hai kyaa jal chukaa hai peD to kyon pattiyaan mahfuz hain dil mein teri yaad ki jo bas gai hain bastiyaan jal rahaa hai dil magar vo bastiyaan mahfuz hain is qadar khud ko sataanaa zakhm khaanaa bhulnaa aap mein 'kaamil' ye kaisi khubiyaan mahfuz hain"
Deepak KamilDeepak Kamil

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat