SHAWORDS

daanton se jabki us gul-e-tar ke dabaae honTh — Asad Ali Khan Qalaq

"daanton se jabki us gul-e-tar ke dabaae honTh bolaa ki saahab apne se samjho paraae honTh us ghairat-qamar ke agar dekh paae honTh laal-e-yaman bhi rashk se apnaa chabaae honTh phulon se us ke jabki chaman mein milaae honTh naazuk ziyaada rag se saman ke bhi paae honTh samjhaa main khizr-e-chashma-e-aab-e-hayaat huun honThon se mere us ne jo apne milaae honTh maangaa jo bosa yaar se main ne shab-e-visaal az-khud maze mein aa ke mire kaaT khaae honTh kyaa kyaa sifat zabaan se sausan ki bhi suni mal kar misi chaman mein jo us ne dikhaae honTh surkhi ne un labon ki kiyaa aashiqon kaa khuun laali jami jo paT ke to kyaa rang laae honTh honThon mein daab kar jo gilauri di yaar ne kyaa daant piise ghairon ne kyaa kyaa chabaae honTh paani bhar aae misriyon ke munh mein vaqt-e-did shirin ki raal Tapke jo vo dekh paae honTh dam aa gayaa labon pe ye Dahkaayaa yaar ne sau baar paas honThon ke laa kar haTaae honTh shirin-labi to dekhnaa vo neshkar bani quliyaan ki nai se us ne jo apne lagaae honTh bose dahan ke is ke nahin bhulte 'qalaq' kahtaa huun haae daant kabhi gaah haae honTh"
Urdu

دانتوں سے جبکہ اس گل تر کے دبائے ہونٹھ بولا کہ صاحب اپنے سے سمجھو پرائے ہونٹھ اس غیر قمر کے اگر دیکھ پائے ہونٹھ لعل یمن بھی رشک سے اپنا چبائے ہونٹھ پھولوں سے اس کے جبکہ چمن میں ملائے ہونٹھ نازک زیادہ رگ سے سمن کے بھی پائے ہونٹھ سمجھا میں خضر چشمہ آب حیات ہوں ہونٹھوں سے میرے اس نے جو اپنے ملائے ہونٹھ مانگا جو بوسہ یار سے میں نے شب وصال از خود مزے میں آ کے مرے کاٹ کھائے ہونٹھ کیا کیا صفت زبان سے سوسن کی بھی سنی مل کر مسی چمن میں جو اس نے دکھائے ہونٹھ سرخی نے ان لبوں کی کیا عاشقوں کا خون لالی جمی جو پٹ کے تو کیا رنگ لائے ہونٹھ ہونٹھوں میں داب کر جو گلوری دی یار نے کیا دانت پیسے غیروں نے کیا کیا چبائے ہونٹھ پانی بھر آئے مصریوں کے منہ میں وقت دید شیریں کی رال ٹپکے جو وہ دیکھ پائے ہونٹھ دم آ گیا لبوں پہ یہ ڈہکایا یار نے سو بار پاس ہونٹھوں کے لا کر ہٹائے ہونٹھ شیریں لبی تو دیکھنا وہ نیشکر بنی قلیاں کی نے سے اس نے جو اپنے لگائے ہونٹھ بوسے دہن کے اس کے نہیں بھولتے قلقؔ کہتا ہوں ہائے دانت کبھی گاہ ہائے ہونٹھ

Hindi

दाँतों से जबकि उस गुल-ए-तर के दबाए होंठ बोला कि साहब अपने से समझो पराए होंठ उस ग़ैरत-क़मर के अगर देख पाए होंठ लाल-ए-यमन भी रश्क से अपना चबाए होंठ फूलों से उस के जबकि चमन में मिलाए होंठ नाज़ुक ज़ियादा रग से समन के भी पाए होंठ समझा मैं ख़िज़्र-ए-चश्मा-ए-आब-ए-हयात हूँ होंठों से मेरे उस ने जो अपने मिलाए होंठ माँगा जो बोसा यार से मैं ने शब-ए-विसाल अज़-ख़ुद मज़े में आ के मिरे काट खाए होंठ क्या क्या सिफ़त ज़बान से सौसन की भी सुनी मल कर मिसी चमन में जो उस ने दिखाए होंठ सुर्ख़ी ने उन लबों की किया आशिक़ों का ख़ून लाली जमी जो पट के तो क्या रंग लाए होंठ होंठों में दाब कर जो गिलौरी दी यार ने क्या दाँत पीसे ग़ैरों ने क्या क्या चबाए होंठ पानी भर आए मिस्रियों के मुँह में वक़्त-ए-दीद शीरीं की राल टपके जो वो देख पाए होंठ दम आ गया लबों पे ये डहकाया यार ने सौ बार पास होंठों के ला कर हटाए होंठ शीरीं-लबी तो देखना वो नेशकर बनी क़ुलियाँ की नय से उस ने जो अपने लगाए होंठ बोसे दहन के इस के नहीं भूलते 'क़लक़' कहता हूँ हाए दाँत कभी गाह हाए होंठ

dāñtoñ se jabki us gul-e-tar ke dabā.e hoñTh
A
Asad Ali Khan Qalaq
Asad Ali Khan Qalaq
poet125 quotes

More by Asad Ali Khan Qalaq

View all →
Quote
"lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo bulbul kaa Dhang rang-e-chaman dekhte chalo baankon ko baankpan ko milaao na khaak mein tan tan ke yuun na apnaa badan dekhte chalo jaate agar ho kucha-e-qaatil ki sair ko kapDaa bhi thoDaa bahr-e-kafan dekhte chalo chashm-e-butaan-e-dahr ki aafat hain shokhiyaan sahraa-e-husn ke bhi hiran dekhte chalo kyaa kar rahi hai pesha-e-mashshaatgi bahaar aaraaish-e-urus-e-chaman dekhte chalo karti hai raah-e-shauq mein kis kis ko paaemaal raftaar-e-yaar ke bhi chalan dekhte chalo aae ho said-gaah-e-jahaan mein to ai 'qalaq' tarz-e-shikaar-e-tir-fagan dekhte chalo"
A
Asad Ali Khan Qalaq
Quote
"partav paDaa jo aariz-e-gulgun-e-yaar kaa uTThaa tanur-e-laala se tufaan bahaar kaa ham-chashm laala hai jo dil-e-daagh-daar kaa nargis ko ham saa aariza hai intizaar kaa likhtaa hai vasf shoala-e-rukhsaar-e-yaar kaa jaa-e-varaq ho haath mein pattaa chinaar kaa bimaar-e-'ishq huun lab-o-dandaan-e-yaar kaa nuskhe mein mere chaahiye sharbat anaar kaa rishte ki tarah se dur-e-dandaan kaa tere zaar saakin hai kucha-e-guhar-e-aab-daar kaa aasaar-e-ishq-e-khaak se bhi apne hain 'ayaan be-vajh rang zard nahin hai ghubaar kaa har zarra apni khaak kaa hai chashm-e-intizaar yaarab idhar bhi ho guzar us shahsavaar kaa ham 'aasiyon ko baad-e-fanaa bhi ye khauf hai takhta ulaT na jaae zamin-e-mazaar kaa kaliyaan talak na nikli thiin jab se asiir huun dekhaa mazaa na kuchh chaman-e-rozgaar kaa chashmaan-e-yaar karne lagin hain dilon ko said in aahuon ko shauq huaa hai shikaar kaa vo dil-jale hain shoala-e-javvaala ban gayaa uTThaa jo gard-e-baad hamaare ghubaar kaa yaad-e-mizha ne baagh-e-dil-e-daagh-daar mein khaTkaa lagaa diyaa khalish-e-nok-e-khaar kaa kushta huun ek tark ke tir-e-nigaah kaa andaaz-e-murgh dil mein hai zakhmi shikaar kaa rakht-e-safed surat-e-minaa-e-mai hai surkh kyaa rang phuuT niklaa hai andaam-e-yaar kaa phulon ki jaa pyaala ho labrez phuul se tiijaa hai mai-kasho 'qalaq'-e-baada-khvaar kaa"
A
Asad Ali Khan Qalaq
Quote
"hain tegh-e-naaz-e-yaar ke bismil alag alag siine mein hain tapaan jigar-o-dil alag alag qaatil to rashk dekh zaraa apne kushton kaa maqtal mein bhi taDapte hain bismil alag alag kyaa intizaam hai mire lailaa-jamaal kaa majnun ravaan hain sab pas-e-mahmil alag alag dekho bashar mein sanat-e-khallaaq-e-rozgaar sab ek hain magar hai shamaail alag alag farmaate hain milaap kaa kartaa huun jab savaal tu baat karne ke nahin qaabil alag alag ik shefta hai zulf kaa ik mubtalaa-e-rukh hain shaikh-o-barhaman tire qaail alag alag mere tumhaare bulbul-o-gul munh chaDheinge kyaa donon ko kar chukaa huun main qaail alag alag makr-o-nifaaq 'ishq se muddat talak rahaa main dil se aur mujh se miraa dil alag alag taa ho tamiz lazzat-e-baadaam-o-shahd mein boson kaa chashm-o-lab ke huun saail alag alag kis kis ko duun main sakht musibat mein jaan hai rukhsaar-o-zulf maangte hain dil alag alag kyaa mehr-o-maah kyaa gul-o-shamshaad aaina sab ho chuke hain tere muqaabil alag alag yaktaa tu vo hai momin-o-kaafir yahud-o-gabr vahdat ke tere sab hain ye qaail alag alag paa-e-nigaah-e-ahl-e-nazar ke paDe hain niil rukhsaar-e-naaznin pe nahin til alag alag aage to saath rahte the ham haala saan par ab rahtaa hai ham se vo mah-e-kaamil alag alag andaaz-o-naaz-o-ghamza-o-shokhi-o-kajravi hain ek mere dam ke ye qaatil alag alag qabze pe haath rakh ke 'qalaq' ne milaai aankh kal har raqib se sar-e-mahfil alag alag"
A
Asad Ali Khan Qalaq
Quote
"ham to hon dil se duur rahein paas aur log sunghein gul-e-ezaar ki bu-baas aur log vaa'iz hamein Daraa na vafur-e-gunaah se us ke karam se hote hain be-aas aur log saudaa-e-ishq yaan to hai sar mein bharaa huaa naam-e-junun se karte hain visvaas aur log aazaad-gaan-e-ishq har ik haal mein hain shaad honge asir-o-ranj-o-gham-o-yaas aur log hain ser boriyaa-e-tavakkul ke faaqa-mast hote hain muztarib dam-e-iflaas aur log yaan hai faqat havas dur-e-dandaan ke diid ki khaate hain us ke daanton pe almaas aur log sanjog ek apnaa tumhaaraa azal se hai puchhein brahmanon se buto raas aur log uTThe fanaa o ek na ik kyaa baiid hai ab baiThne lage hain tire paas aur log us aab-e-laal par kabhi ham bhi muhit the lab chuus kar bujhaae hain ab pyaas aur log ham to na ghar mein aap ke dam-bhar Thaharne paaein roz aaein jaaein surat-e-anfaas aur log apne nasib mein to na ho aab-e-khizr-e-lab sairaab hon ba-surat-e-ilyaas aur log divaan mein mire nahin bharti ke aise sher bharte hain jaise safha-e-qirtaas aur log vo bevafaa karegaa miri qadr kyaa 'qalaq' karte hain apne 'aashiqon kaa paas aur log"
A
Asad Ali Khan Qalaq
Quote
"gar dil mein kar ke sair-e-dil-e-daagh-daar dekh ai jaan khaana-e-baagh ki aa kar bahaar dekh pachhtaaegaa jo haath se tu khoegaa hamein ham tujh se saaf kahte hain o bad-shiaar dekh main kyaa vahaan pe gor tujhe de abhi javaab turbat pe meri aa ke zaraa tu pukaar dekh baahar hon apne jaame se gul bulbulein to kyaa gulshan mein imtihaan ko poshaak utaar dekh ab mujh mein tujh mein ek sar-e-mu nahin hai farq mu-e-miyaan milaa ke miraa jism-e-zaar dekh baad-e-fanaa bhi vaa rahin aankhein to aayaa tu vaa'da-khilaafi apni miraa intizaar dekh hai nur-e-husn maane-e-didaar-e-ru-e-yaar aankhein ye kah rahi hain use baar baar dekh tu tegh-e-tez khinche hai main sar jhukaae huun apne sitam ko dekh miraa inkisaar dekh darpai hue hain jaan ke imaan to le chuke but karte hain sitam mire parvardigaar dekh panjon ke bal zamin pe na chal baankpan ko chhoD maanind-e-naqsh-e-paa hai ye naa-paaedaar dekh dikhlaa de miinh barasne mein bijli kaa kaundnaa hans hans ke jaanib-e-miza-e-ashk-baar dekh kotaah 'umr ho gai aur ye na kam hui ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizaar dekh bad-vaza ham ko kah ke banaa nek tu che khush atvaar apne dekh hamaaraa shi'aar dekh bijli giraai ghair siyah-ru par ai 'qalaq' taasir-e-garm aah-e-dil-e-be-qaraar dekh"
A
Asad Ali Khan Qalaq
Quote
"saaf baaton se ho gayaa maalum hote ho matlab-aashnaa maalum kushta tegh-e-nigah se kijiyegaa chashm-o-abru se ho gayaa maalum ibtidaa ne mohabbat-e-dil ki ye na thi ham ko intihaa maalum kuchh dahan hi nahin hai vo naapaid kamar-e-yaar bhi hai naa-maalum dar tak us ke miri rasaai ho tujh se ai bakht-e-naa-rasaa maalum jab kahaa roke tujh pe marte hain hans ke bolaa vo but khudaa-maalum mehrbaan aaj-kal hai vo be-mehr us mein hoti hai kuchh duaa maalum tum sukhan-saaz ho baDe ai jaan tarz-e-taqrir se huaa maalum jab muamme mein zikr-e-vasl kiyaa bolaa matlab na kuchh huaa maalum bad-gumaan dukht-e-raz se vaaiz ho ham ko hoti hai paarsaa maalum le ke dil vo karegaa bedardi ye na Dhang us kaa qabl thaa maalum qaabil-e-ishq ye hasin nahin in daghaa-baazon se vafaa maalum jab kahaa main ne o taghaaful-kesh haal hai mere ishq kaa maalum misl-e-aaina hairati huun qadim bolaa laakhon hain aise kyaa maalum haan magar ham ko dekhaa to hai kahin hote ho surat-aashnaa maalum saabiqa jab tak ai 'qalaq' na paDe haal insaan kaa ho kyaa maalum"
A
Asad Ali Khan Qalaq

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer