SHAWORDS

dam-e-raftaar-e-jaanaan ye sadaa-e-naaz aati hai — Rasheed Lakhnavi

"dam-e-raftaar-e-jaanaan ye sadaa-e-naaz aati hai sambhaalein sab dilon ko paanv ki aavaaz aati hai sabaa jo pur miraa ai baaghbaan laati hai gulshan mein qafas se saath yaan tak hasrat parvaaz aati hai abhi jaao na yaaraan qafas-e-gulzaar ki jaanib zaraa ham muntazir hain taaqat-e-parvaaz aati hai asar ye hai ki bulbul jab qafas mein karti hai naala shikast-e-rang-e-gul ki baagh se aavaaz aati hai nazar duzdida teri kab nazar aati hai aashiq ko uDaa jaataa hai dil aur tiir ki aavaaz aati hai shikva-e-husn ye hai jab kabhi tum jaa nikalte ho to but-khaane se yaa-allaah ki aavaaz aati hai sadaa di main ne jab aane lagi subh shab-e-vaslat samajh kar aa kidhar o tafarqe parvaaz aati hai tire baais se jis ne kal hamein di thi bahut iizaa vahi shab aaj phir ai taala-e-naa-saaz aati hai hui muddat tire zulfon ke divaane ki sehat ko bigaD jaataa hai shab zanjir ki aavaaz aati hai zaraa kah de koi un se qarib aayaa dam-e-aakhir ki ulTi saans ab to ai mire dam-saaz aati hai javaani ke nishaan andaam se hone lage zaahir mubaarak ho bahaar ai sard baagh naaz aati hai jhukaae sar na kyuun khaamosh baiThun hijr-e-jaanaan mein ki dil ke TuTne ki kaan mein aavaaz aati hai bhalaa aaj zinda aah-e-dil aashiq kare paidaa ki khud vo kah rahe hain dard ki aavaaz aati hai 'rashid' ashaar mohmal paDh rahe ho jama hain shaair khajil hote nahin tum dil ki ye aavaaz aati hai"
Urdu

دم رفتار جاناں یہ صدائے ناز آتی ہے سنبھالیں سب دلوں کو پاؤں کی آواز آتی ہے صبا جو پر مرا اے باغباں لاتی ہے گلشن میں قفس سے ساتھ یاں تک حسرت پرواز آتی ہے ابھی جاؤ نہ یاراں قفس گلزار کی جانب ذرا ہم منتظر ہیں طاقت پرواز آتی ہے اثر یہ ہے کہ بلبل جب قفس میں کرتی ہے نالہ شکست رنگ گل کی باغ سے آواز آتی ہے نظر دزدیدہ تیری کب نظر آتی ہے عاشق کو اڑا جاتا ہے دل اور تیر کی آواز آتی ہے شکوہ حسن یہ ہے جب کبھی تم جا نکلتے ہو تو بت خانے سے یا اللہ کی آواز آتی ہے صدا دی میں نے جب آنے لگی صبح شب وصلت سمجھ کر آ کدھر او تفرقہ پرواز آتی ہے ترے باعث سے جس نے کل ہمیں دی تھی بہت ایذا وہی شب آج پھر اے طالع ناساز آتی ہے ہوئی مدت ترے زلفوں کے دیوانے کی صحت کو بگڑ جاتا ہے شب زنجیر کی آواز آتی ہے ذرا کہہ دے کوئی ان سے قریب آیا دم آخر کہ الٹی سانس اب تو اے مرے دم ساز آتی ہے جوانی کے نشاں اندام سے ہونے لگے ظاہر مبارک ہو بہار اے سرد باغ ناز آتی ہے جھکائے سر نہ کیوں خاموش بیٹھوں ہجر جاناں میں کہ دل کے ٹوٹنے کی کان میں آواز آتی ہے بھلا آج زندہ آہ دل عاشق کرے پیدا کہ خود وہ کہہ رہے ہیں درد کی آواز آتی ہے رشیدؔ اشعار مہمل پڑھ رہے ہو جمع ہیں شاعر خجل ہوتے نہیں تم دل کی یہ آواز آتی ہے

Hindi

दम-ए-रफ़्तार-ए-जानाँ ये सदा-ए-नाज़ आती है सँभालें सब दिलों को पाँव की आवाज़ आती है सबा जो पुर मिरा ऐ बाग़बाँ लाती है गुलशन में क़फ़स से साथ याँ तक हसरत परवाज़ आती है अभी जाओ न याराँ क़फ़स-ए-गुलज़ार की जानिब ज़रा हम मुंतज़िर हैं ताक़त-ए-परवाज़ आती है असर ये है कि बुलबुल जब क़फ़स में करती है नाला शिकस्त-ए-रंग-ए-गुल की बाग़ से आवाज़ आती है नज़र दुज़्दीदा तेरी कब नज़र आती है आशिक़ को उड़ा जाता है दिल और तीर की आवाज़ आती है शिक्वा-ए-हुस्न ये है जब कभी तुम जा निकलते हो तो बुत-ख़ाने से या-अल्लाह की आवाज़ आती है सदा दी मैं ने जब आने लगी सुब्ह शब-ए-वसलत समझ कर आ किधर ओ तफ़रक़े परवाज़ आती है तिरे बाइ'स से जिस ने कल हमें दी थी बहुत ईज़ा वही शब आज फिर ऐ ताला-ए-ना-साज़ आती है हुई मुद्दत तिरे ज़ुल्फ़ों के दीवाने की सेहत को बिगड़ जाता है शब ज़ंजीर की आवाज़ आती है ज़रा कह दे कोई उन से क़रीब आया दम-ए-आख़िर कि उल्टी साँस अब तो ऐ मिरे दम-साज़ आती है जवानी के निशाँ अंदाम से होने लगे ज़ाहिर मुबारक हो बहार ऐ सर्द बाग़ नाज़ आती है झुकाए सर न क्यूँ ख़ामोश बैठूँ हिज्र-ए-जानाँ में कि दिल के टूटने की कान में आवाज़ आती है भला आज ज़िंदा आह-ए-दिल आशिक़ करे पैदा कि ख़ुद वो कह रहे हैं दर्द की आवाज़ आती है 'रशीद' अशआर मोहमल पढ़ रहे हो जम्अ' हैं शाइ'र ख़जिल होते नहीं तुम दिल की ये आवाज़ आती है

dam-e-raftār-e-jānāñ ye sadā-e-nāz aatī hai
Rasheed Lakhnavi
Rasheed Lakhnavi
Rasheed Lakhnavi
poet40 quotes

More by Rasheed Lakhnavi

View all →
Quote
"dilaa maashuq jo hotaa hai vo saffaak hotaa hai baDaa be-rahm hotaa hai baDaa bebaak hotaa hai khushi hogi halaak apnaa dil-e-sad-chaak hotaa hai kahaan ab aarzu ghar hasraton kaa khaak hotaa hai tumhaari tegh mujh se chupke chupke kahti jaati hai mubaarak ho ki ye sar zinat-e-fitraak hotaa hai tujhe allaah ne bakhshaa hai kaisaa rutba-e-aali ki teraa naqsh-e-paa taaj-e-sar-e-aflaak hotaa hai qarib aayaa hai vaqt ai jaan-e-jaan ab dam nikalne kaa tire kuche se ham uThte hain jhagDaa paak hotaa hai jo piite hain sharaab un ki mohabbat mein nahin aasi ye tar-daaman vahi hain jin kaa daaman paak hotaa hai khayaal aataa hai badnaami kaa aashiq qatl hote hain ki maashuqon ko naam-e-aashiqi se paak hotaa hai asar se meri vahshat ke koi jaama nahin saabit main suntaa huun garebaan har kafan kaa chaak hotaa hai main kah detaa huun ho aa kar zulf ke kuche mein dam-bhar ko kisi din jab bahut muztar dil-e-ghamnaak hotaa hai pahunch jaae haqiqat tak tiri ye ghair-mumkin hai bahut go tujh se vaaqif saahab-e-idraak hotaa hai 'rashid'-e-zaar kyuun khush khush na jaae qabr ki jaanib mayassar aaj didaar-e-shah-e-laulaak hotaa hai"
Rasheed LakhnaviRasheed Lakhnavi
Quote
"sharaab-e-naab kaa qatra jo saaghar se nikal jaae taDap ke dil miraa qaabu-e-dil-bar se nikal jaae khushi mein kah rahaa huun aamad aamad hai jo us gul ki koi kah de ki viraani mire ghar se nikal jaae sataate hain raqib aa aa ke main go chhup ke baiThaa huun ajab ye zulm hai koi kidhar ghar se nikal jaae agar sun le ki tere sakht-jaan ki baari aa pahunchi simaT kar aab-e-khanjar chashm-e-jauhar se nikal jaae nikaalo roz ghar se Dar nahin lekin ye hai dhaDkaa ki meraa naam hi ik din na daftar se nikal jaae ghaTaa ke main ne apnaa shauq-e-dil likkhaa hai jaanaan ko ki uDne mein na khat aage kabutar se nikal jaae na jaane ki karo jaldi ki qissa khatm hotaa hai Thahar jaao zaraa dam jism-e-laaghar se nikal jaae qafas mein daam mein mere phaDakne kaa ye baais hai havaa parvaaz karne ki mire par se nikal jaae ijaazat abr ko dar par Thaharne ki nahin dete bas itnaa hukm hai aa ke faqat barse nikal jaae 'rashid'-e-sokhta-dil sar paTakne par hai aamaada kaho har ik sharar se jald patthar se nikal jaae"
Rasheed LakhnaviRasheed Lakhnavi
Quote
"na chhoDaa dil-e-khasta-jaan chalte chalte ghazab kar chale mehrbaan chalte chalte kaheinge kuchh ai baaghbaan chalte chalte agar degi yaaraa zabaan chalte chalte gire ham pas-e-kaarvaan chalte chalte thake paanv apne kahaan chalte chalte tiri chaal baad-e-khizaan ne uDaai ujaaDaa miraa aashiyaan chalte chalte karo aankhein jhapkaa ke tirchhi nigaahein sinaanein chalin barchhiyaan chalte chalte bharein sard aahein jo garm aah bhar ke nasim aai baad-e-khizaan chalte chalte na ghabraa zaraa daaman-e-roz-e-mahshar karungaa tiri dhajjiyaan chalte chalte adam ko chale qaid zulf-e-sanam mein rahein paanv mein beDiyaan chalte chalte dam-e-naza sar par gire koh-e-ulfat uThaain baDi sakhtiyaan chalte chalte miri laash ko paanv se khuub raundaa thame surat-e-aasmaan chalte chalte bas ab to adam mein mulaaqaat hogi ye kahte gae raftagaan chalte chalte na qaatil ne tegh-e-nigah tak lagaai na kartaa gayaa imtihaan chalte chalte jahaan se gae hashr tak khuub soe liyaa saath khvaab-e-giraan chalte chalte rahe umr-bhar teri vahdat ke qaail na liin ham ne do hichkiyaan chalte chalte 'rashid'-e-hazin laakh rokaa kiye ham vo lete gae naqd-e-jaan chalte chalte"
Rasheed LakhnaviRasheed Lakhnavi
Quote
"gardish-e-chashm hai paimaane mein tum gae ho kabhi maikhaane mein ek jalva saa nazar aataa hai koi to hai mire gham-khaane mein yuun hai siine mein dil-e-pur-hasrat qabr jaise kisi viraane mein saaz-e-nairang hai meri zanjir nai aavaaz hai har daane mein dekh ai dil na mujhe chhoD ke jaa farq aa jaaegaa yaaraane mein jal ke aashiq hue maashuq sifat shama kaa soz hai parvaane mein jaan us but mein lagi rahti hai apne ko paate hain begaane mein be-khudi ne na kahin kaa rakkhaa ham hain basti mein na viraane mein sang-e-dar tak tire jab sar pahunchaa laakh sajde kiye shukraane mein nahin maalum gayaa kis jaanib dil lagaa hai tire divaane mein qissa-e-hazrat-e-yusuf na suno turfa ibrat hai is afsaane mein haal-pursi nahin kartaa koi bekasi hai mire gham-khaane mein is tarah dil mein hai aahon kaa dhuaan jaise khaak uDti hai viraane mein barakat kis ke qadam ki hai 'rashid' ki azaan hoti hai but-khaane mein"
Rasheed LakhnaviRasheed Lakhnavi
Quote
"josh-e-vahshat mere talvon ko ye iizaa bhi sahi hain jahaan sau aable kuchh khaar-e-sahraa bhi sahi dil mein sau baatein hain ik teri tamannaa bhi sahi sar pe hain laakh aafatein ik daagh-e-saudaa bhi sahi munh pe aanchal lijiye mujh se jo aataa hai hijaab gar yahi manzur hai thoDaa saa parda bhi sahi dil mein vaqt-e-zabh hai hasrat ki tum ko dekh lein marte marte khair jiine ki tamannaa bhi sahi ham adam se yaan na aate the to samjhaataa thaa dil ik nazar gulzaar-e-hasti kaa tamaashaa bhi sahi meraa haal-e-sakht-jaani sun ke farmaane lage tegh ke saath ek abru kaa ishaaraa bhi sahi garm aahein kar chukaa ab khinchtaa huun sard aah lijiye ThanDi havaa kaa ek jhonkaa bhi sahi kyuun bigaDiye husn-o-rifat mein kise inkaar hai aap yusuf bhi sahi rashk-e-masihaa bhi sahi apne dil ko gar pasand aae to jaanein khuub hai ham ne maanaa yaar tum se koi achchhaa bhi sahi tira-bakhton ke mazaaron par na hogi raushni aazmaa dekho charaagh-e-dast-e-musaa bhi sahi chaarasaazon ki khushi hai zakhm par hon yaa na hon marham-e-zangaar kaa ek-aadh phaahaa bhi sahi tere sar se paanv tak barson mein jaati hai nazar har jagah par kahti hai yaan kaa tamaashaa bhi sahi dil jigar mein kuchh nahin siine mein hain par aas hai bazm ki zinat ko khaali jaam-o-minaa bhi sahi ye to zaahir ho gayaa tum martabe mein ho buland ab masihaa se masihaai kaa daavaa bhi sahi us ke dar par jaa ke kuchh haasil na hogaa ai 'rashid' koi bolaa bhi sahi tum ne pukaaraa bhi sahi"
Rasheed LakhnaviRasheed Lakhnavi
Quote
"maar Daalegi hamein ye khush-bayaani aap ki maut kaa paighaam aaegaa zabaani aap ki zindagi kahte hain kis ko maut kis kaa naam hai mehrbaani aap ki naa-mehrbaani aap ki baad-e-murdan khinch laayaa jazb-e-dil siine pe haath ik anguThi mein jo pahne thaa nishaani aap ki baDh chukaa qad bhi farogh-e-husn ki had ho chuki ab to qaabil dekhne ke hai javaani aap ki aap se mil ke gale raahat se aa jaati hai niind sabza-e-khvaabida hai poshaak dhaani aap ki rang aalam kaa badalnaa aap ke sadqe mein hai jama kar rakkhi thiin poshaakein puraani aap ki aankhon par bandhvaai paTTi taa na dekhun aur ko mar gayaa main par vahi hai bad-gumaani aap ki jab vo mujh ko dekhtaa hai hans ke kahtaa hai 'rashid' kitni paaband-e-vafaa hai zindagaani aap ki"
Rasheed LakhnaviRasheed Lakhnavi

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim