"khanda-e-gul mein bhi poshida fughaan ho jaise shaakh-e-gul anjuman-e-nauha-garaan ho jaise aap ne kah di vahi baat jo munh par thi mire aap ke munh mein bhi meri hi zabaan ho jaise aisaa lagtaa hai shahanshaah-e-jahaangir huun main malika-e-aaliya tum nuur jahaan ho jaise kuchh ajab tarz ki is saal jali hai holi zinda laashon ki chitaaon kaa dhuaan ho jaise vaqt ke dasht-e-masaafat kaa hai mausam kaisaa sab ki aankhon mein bharaa talkh dhuaan ho jaise bujhti shamon kaa bhi maatam nahin kartaa koi zindagi anjuman-e-zinda-dilaan ho jaise"
dard kaa gahraa samundar aur main — Kausar Siddiqi
"dard kaa gahraa samundar aur main zindagi kaa sar pe patthar aur main is taraf shishe hi shishe aur vo us taraf patthar hi patthar aur main hai yahi ahd-e-junun ki yaadgaar ek kucha ek patthar aur main TuuT jaane ko hain sab jaam-o-subu ek laghzish ek Thokar aur main ban gayaa taarikh kaa khunin varaq pusht mein paivast khanjar aur main ye musallas ahd ki taarikh hai ek qaatil ek khanjar aur main ye musallas dekh kyaa laataa hai rang meraa sar meraa hi patthar aur main"
درد کا گہرا سمندر اور میں زندگی کا سر پہ پتھر اور میں اس طرف شیشے ہی شیشے اور وہ اس طرف پتھر ہی پتھر اور میں ہے یہی عہد جنوں کی یادگار ایک کوچہ ایک پتھر اور میں ٹوٹ جانے کو ہیں سب جام و سبو ایک لغزش ایک ٹھوکر اور میں بن گیا تاریخ کا خونیں ورق پشت میں پیوست خنجر اور میں یہ مثلث عہد کی تاریخ ہے ایک قاتل ایک خنجر اور میں یہ مثلث دیکھ کیا لاتا ہے رنگ میرا سر میرا ہی پتھر اور میں
दर्द का गहरा समुंदर और मैं ज़िंदगी का सर पे पत्थर और मैं इस तरफ़ शीशे ही शीशे और वो उस तरफ़ पत्थर ही पत्थर और मैं है यही अहद-ए-जुनूँ की यादगार एक कूचा एक पत्थर और मैं टूट जाने को हैं सब जाम-ओ-सुबू एक लग़्ज़िश एक ठोकर और मैं बन गया तारीख़ का ख़ूनीं वरक़ पुश्त में पैवस्त ख़ंजर और मैं ये मुसल्लस अहद की तारीख़ है एक क़ातिल एक ख़ंजर और मैं ये मुसल्लस देख क्या लाता है रंग मेरा सर मेरा ही पत्थर और मैं

More by Kausar Siddiqi
View all →"soz-e-dil hai khaamushi se jal ke bujh jaane kaa naam zindagi hai sham-e-gul ke ashk barsaane kaa naam meri nazrein aap ki jaanib hain duniyaa par nahin aap kyaa kahte hain dekhun apne divaane kaa naam hai farogh-e-shama tak hangaama-e-bazm-e-hayaat subh-dam letaa nahin hai koi parvaane kaa naam husn hai ik be-niyaazaana charaagh-e-dil-fareb ishq hai anjaam se be-khauf jal jaane kaa naam ahl-e-daanish ko na jaane kyaa zarurat aa paDi le rahe hain aaj-kal farzaane divaane kaa naam"
"chand lamhon mein ghubaar-e-kaarvaan rah jaaegaa khaak ho jaaungaa main jal kar dhuaan rah jaaegaa sham-e-mahfil raqs-e-bismil kaa na hogaa kuchh vajud anjuman mein girya-e-nauha-e-giraan rah jaaegaa kar ke hijrat duur sahraa mein chale jaaeinge log shahr mein jalte makaanon kaa dhuaan rah jaaegaa Dhaanp degaa apni chaadar se mujhe gard-o-ghubaar mere naqsh-e-paa kaa dhundlaa saa nishaan rah jaaegaa mimbar-o-mehraab ho jaaeinge suune ek roz gumbad-o-minaar par shor-e-azaan rah jaaegaa"
"be-hijaabaana kabhi daavat-e-didaar bhi de lazzat-e-ishq bhi de ishq kaa aazaar bhi de masnad-e-ilm-o-adab par mutamakkin farmaa naghma-o-sher bhi de khaama-e-gul-kaar bhi de taaq-e-har-bazm mein rakh shama banaa kar mujh ko aur parvaana-sifat lazzat-e-aazaar bhi de gul ki maanind khamoshi ke bhi aadaab sikhaa aur bulbul ki tarah shokhi-e-guftaar bhi de toD de gaahe-ba-gaahe miri hasti kaa khumaar dil jo garmaa de kabhi vo mai-e-gulnaar bhi de kohsaaron mein phirun gaah chaman mein bhi rahun dasht-e-pur-khaar bhi de gulshan-e-be-khaar bhi de main huun gar ghuncha to gulshan mein khilaa de mujh ko mast kar de jo zamaane ko vo mahkaar bhi de daulat-e-faqr bhi de aur shahanshaahi bhi barg-e-gul de mire haathon mein to talvaar bhi de husn-e-fitrat ke khazaanon ko luTaa de mujh par zor-e-tahrir bhi de khaama-e-gul-kaar bhi de"
"havaa ke madd-e-muqaabil rahaa kisi ke liye main vo diyaa huun jo shab bhar jalaa kisi ke liye hamaare vaaste koi duaa kare na kare hamaare paas nahin bad-duaa kisi ke liye havaa ke khauf se mat baiTh ghup andhere mein jalaae jaa tu diye par diyaa kisi ke liye bachaa ke shama-e-dil-o-jaan main kis liye rakhtaa main jal gayaa sar-e-raah-e-vafaa kisi ke liye na jaane aap kaa mizaan-e-adl kaisaa hai kisi ko hukm-e-rihaai sazaa kisi ke liye bahut bahaane the bujhne ke vaaste 'kausar' magar main khud ko jalaataa rahaa kisi ke liye"
"anjaam shab-e-gham kaa likhaa aur hi kuchh hai lagtaa hai ki manzur-e-khudaa aur hi kuchh hai shaayad abhi tashkhis-e-maraz ho nahin paai bimaari hai kuchh aur davaa aur hi kuchh hai sab pyaar ki tashhir kiyaa karte hain lekin maahaul hai kuchh aur fazaa aur hi kuchh hai naa-fahm agar naghma samajhte hain to samjhein gulshan mein anaadil ki navaa aur hi kuchh hai gahvaara-e-har-shaakh mein gul hai abhi bechain gulshan ki abhi aab-o-havaa aur hi kuchh hai har gaam pe chubhne lage kyon paanv mein kaanTe niche ravish-e-gul ke bichhaa aur hi kuchh hai duniyaa mein har ik shai ke muqaddar mein hai jalnaa jalne ki magar sab ki adaa aur hi kuchh hai maalum hai jaltaa hai charaaghon mein faqat tel lekin tiri mahfil mein jalaa aur hi kuchh hai honTon pe tabassum liye phirte raho 'kausar' chehre pe magar haal likhaa aur hi kuchh hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"