"niind aankhon mein rahe phir bhi na soyaa jaae main vo patthar huun ki rouun to na royaa jaae ajnabi hai tire khush-rang badan ki khushbu ik zaraa lams-e-vafaa tujh mein samoyaa jaae shab ke sahraa ne ajab pyaas likhi hai mujh mein mujh ko khurshed ke shoalon mein Duboyaa jaae main ne tanhaai mein jal kar bhi yahi chaahaa hai khushbuon se tire aanchal ko bhigoyaa jaae zindagi ko hai zarurat nae pairaahan ki apne hi khuun mein apne ko Duboyaa jaae"
dasht-e-duaa mein tere parastaar rah gae — Jazib Quraishi
"dasht-e-duaa mein tere parastaar rah gae shoalon ke aabshaar mein gulnaar rah gae tere visaal-o-hijr gae to gayaa magar teri shabaahaton ke sab aazaar rah gae jin par tire gulaab se chehre ke aks hain meri nazar mein vo dar-o-divaar rah gae vo to amir-e-shahr ki aaghosh mein gayaa us ki gali mein aaina-bardaar rah gae ham ne likhe huruf-e-gham-e-jaan varaq varaq paDhne ko gesu-o-lab-o-rukhsaar rah gae zakhm-e-hunar ke chaahne vaale nahin rahe khush-rang shohraton ke kharidaar rah gae jalne lage badan to barasne lagaa lahu suraj ki raah mein rasan-o-daar rah gae"
دشت دعا میں تیرے پرستار رہ گئے شعلوں کے آبشار میں گلنار رہ گئے تیرے وصال و ہجر گئے تو گیا مگر تیری شباہتوں کے سب آزار رہ گئے جن پر ترے گلاب سے چہرے کے عکس ہیں میری نظر میں وہ در و دیوار رہ گئے وہ تو امیر شہر کی آغوش میں گیا اس کی گلی میں آئنہ بردار رہ گئے ہم نے لکھے حروف غم جاں ورق ورق پڑھنے کو گیسو و لب و رخسار رہ گئے زخم ہنر کے چاہنے والے نہیں رہے خوش رنگ شہرتوں کے خریدار رہ گئے جلنے لگے بدن تو برسنے لگا لہو سورج کی راہ میں رسن و دار رہ گئے
दश्त-ए-दुआ में तेरे परस्तार रह गए शो'लों के आबशार में गुलनार रह गए तेरे विसाल-ओ-हिज्र गए तो गया मगर तेरी शबाहतों के सब आज़ार रह गए जिन पर तिरे गुलाब से चेहरे के अक्स हैं मेरी नज़र में वो दर-ओ-दीवार रह गए वो तो अमीर-ए-शहर की आग़ोश में गया उस की गली में आइना-बरदार रह गए हम ने लिखे हुरूफ़-ए-ग़म-ए-जाँ वरक़ वरक़ पढ़ने को गेसू-ओ-लब-ओ-रुख़सार रह गए ज़ख़्म-ए-हुनर के चाहने वाले नहीं रहे ख़ुश-रंग शोहरतों के ख़रीदार रह गए जलने लगे बदन तो बरसने लगा लहू सूरज की राह में रसन-ओ-दार रह गए

More by Jazib Quraishi
View all →"us kaa lahja kitaab jaisaa hai aur vo khud gulaab jaisaa hai dhuup ho chaandni ho baarish ho ek chehra ki khvaab jaisaa hai be-hunar shohraton ke jangal mein sang bhi aaftaab jaisaa hai bhuul jaaoge khaal-o-khad apne aaina bhi saraab jaisaa hai vasl ke rang bhi badalte the hijr bhi inqalaab jaisaa hai yaad rakhnaa bhi tujh ko sahl na thaa bhulnaa bhi azaab jaisaa hai be-sitaara hai aasmaan tujh bin aur samundar saraab jaisaa hai"
"Takraa rahi hain tez havaaein chaTaan se baahar na jaao apne shikasta makaan se vo raat bhar charaagh ki lau dekhtaa rahaa imkaan taraashtaa hai jo apne gumaan se azm-e-safar hai dhuup kaa sahraa hai aur main dariyaa to saath chhoD gayaa darmiyaan se vo mausam-e-khizaan ki thakan hi mein jal gae baahar khile jo phuul tire saaebaan se ik umr ho gai hai ki Dartaa rahaa huun main raushan charaagh se kabhi andhe makaan se gahre samundaron mein sitaara na thaa koi saahil ki shaam mil na saki baadbaan se divaar aaine ki hai shishe ke baam-o-dar lekin ghubaar uThtaa hai mere makaan se"
"jaan-soz ghamon kaa kahin izhaar nahin hai zindaan mein bhi zanjir ki jhankaar nahin hai har shakhs ke chehre pe hai kuchh aisi alaamat jaise vo koi phuul hai talvaar nahin hai sab gahre samundar mein khaDe soch rahe hain ham mein koi suraj kaa parastaar nahin hai zakhmon kaa lahu ho ki charaaghon kaa ujaalaa koi bhi mire shahr mein bedaar nahin hai main tujh se bichhaD kar yahi samjhaa huun ki duniyaa divaar to hai saaya-e-divaar nahin hai khush-rang zulekhaaon ke baazaar mein 'jaazib' koi gham-e-yusuf kaa kharidaar nahin hai"
"jaan khud-shanaas ho to duaa mein asar bhi hai main jal rahaa huun tujh ko miri kuchh khabar bhi hai shahr-e-gulaab mein bhi koi DhunDhtaa rahaa vo dhuup jis mein tere badan kaa shajar bhi hai vo aks huun ki mujh mein tire khaal-o-khad nahin tu meraa aaina bhi hai aaina-gar bhi hai sochon to zar-nigaar se chehre bhi saath hain dekhun to ye safar miraa tanhaa safar bhi hai main bhi huun zakhm zakhm tire intizaar mein ik shaam rahguzar miraa viraan ghar bhi hai kyaa hai jo kam-nazar mujhe pahchaante nahin chehra bhi hai miraa mire shaanon pe sar bhi hai khushbu ke pairahan se ujaale ke jism tak main huun to phir saliqa-e-arz-e-hunar bhi hai"
"charaaghon ke bujhaane ko havaa be-ikhtiyaar aai gulaabon ki mahak bikhri to aavaaz-e-sharaar aai bagulon ne safar mein aandhiyon kaa aasmaan dekhaa magar ik faakhta apne shajar tak be-ghubaar aai jise tu ne ujaalaa jaan kar chehre pe likkhaa thaa vahi shohrat tiri rusvaaiyon ke ham-kanaar aai andheron mein mujhe khud ik sitaara DhunDne aayaa ki shahr be-hunar se ik sadaa-e-e'tibaar aai miri aankhon mein jitne rang the sab jal gae 'jaazib' magar vo mujh se milne jab bhi aai be-qaraar aai"
More on Dua
View all →"tujh ko khiffat se bachaa luun paani tishnagi apni chhupaa luun paani khaak uDti hai har ik chehre par kis ki aankhon se nikaalun paani dhuup dariyaa pe nazar rakhti hai tujh ko kuuze mein chhupaa luun paani uDte phirte hain saron par baadal khvaab aankhon mein basaa luun paani roz bachchon ko sulaa duun yunhi roz patthar ko ubaalun paani aag se kheltaa hai kal mujh ko aa tujhe apnaa banaa luun paani khaarzaaron pe chalun nange paanv khushk dharti ki duaa luun paani sabr ki had bhi to kuchh hoti hai kitnaa palkon pe sambhaalun paani bhuul jaaun na kahin tairaaki kyuun na kashti hi jalaa luun paani apni vahshat kaa ik izhaar sahi kar ke sard aag jalaa luun paani zakhm ho phuul ho yaa angaara ho jo raushan to bulaa luun paani shart hai teri rifaaqat varna vaqt ki aag mein Daalun paani aag matlub-e-lab-e-tishna hai main tujhe kaise bulaa luun paani chashm-e-ahbaab jo ho khushk 'ataa' khuun ko apne banaa luun paani"
"ilaahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbaar aam hogaa miri baghal mein suraahi hogi zabaan par teraa naam hogaa nasib tujh ko nahin ye neamat to zahmat-e-tur kar gavaaraa yahaan to hote hain roz jalve kalim tujh ko kalaam hogaa nigah rahe aasmaan pe teri hai taair-e-arsh-aashiyaan tu nazar mein jis ki zamin hogi vahi giraftaar-e-daam hogaa qubul kar markaz-e-haqiqat tiraa makaan laa-makaan hai ai dil majaaz ke daaere mein aakar fuzul paaband-e-naam hogaa harim-e-kaaba-o-dair donon hain qaabil-e-ehtiraam lekin nazaaa-e-baaham ke hon na markaz to phir dili-ehtiraam hogaa tu nashsha-e-zohd kaa hai taalib tujhe kahaan vajd-e-jaavedaani jo rind-e-mast-e-mudaam hogaa vo raazdaar-e-davaam hogaa shuur kahte hain jis ko aaqil vo roz mehvar badal rahaa hai jo aa gayaa jaada-e-junun mein sukun mein us kaa qiyaam hogaa na hongi hal mushkilaat 'aiman' fuzul sab koshishein hain teri khudaa se imdaad ki duaa kar baghair is ke na kaam hogaa"
"dam-ba-khud meri anaa teri adaa bhi dam-ba-khud tere pahlu mein rahaa main aur rahaa bhi dam-ba-khud dekhiye pahle lahu Tapke ki phailein kirchiyaan dam-ba-khud teri nazar bhi aaina bhi dam-ba-khud itnaa sannaaTaa ki jaise avvalin shaam-e-firaaq dam-ba-khud hai aasmaan bhi aur havaa bhi dam-ba-khud yaad hai tujh ko vo pahle lams ki hiddat ki jab rah gai thi dafatan teri hayaa bhi dam-ba-khud ek se aalam mein donon mukhtalif asbaab se dam-ba-khud teraa karam meri duaa bhi dam-ba-khud aisaa lagtaa hai ki donon se nahin nisbat mujhe dam-ba-khud umr-e-ravaan sail-e-fanaa bhi dam-ba-khud khauf-e-tajdid-e-taaluq darmiyaan haail rahaa dam-ba-khud teraa sitam meraa galaa bhi dam-ba-khud yuun gumaan hotaa hai donon ki tavaqqoa ek thi dam-ba-khud teri vafaa meri sazaa bhi dam-ba-khud jab khule meri haqiqat tum vo manzar dekhnaa dam-ba-khud naa-aashnaa bhi aashnaa bhi dam-ba-khud"
"yaar ke bhes mein mahbub sitamgar niklaa phuul ham jis ko samajhte the vo patthar niklaa ek roTi ke evaz de gayaa jannat ki duaa mere kuche kaa bhikaari bhi mukhayyar niklaa aaj-kal aankh kaa dekhaa bhi ghalat hotaa hai jis ko samjhe the apaahij vo tavangar niklaa vaqt kamzor ko shah-zor banaa detaa hai shaam ko Duubaa magar subh mein khaavar niklaa ghar badalne se bhi taqdir badal jaati hai siip mein paani paDaa ban ke vo gauhar niklaa jo mire zehn-o-takhayyul mein bahut unchaa thaa us kaa qad taalib-e-duniyaa ke baraabar niklaa jis ke zimme thi mire ghar ki hifaazat 'muztar' dushmanon kaa mire vo shakhs bhi ham-sar niklaa"
"khauf dil mein na tire dar ke gadaa ne rakkhaa din ko kashkol bharaa shab ko sirhaane rakkhaa fikr-e-meaar-e-sukhan baais-e-aazaar hui tang rakkhaa to hamein apni qabaa ne rakkhaa raat fōtpath pe din bhar ki thakan kaam aai us kaa bistar bhi kyaa sar pe bhi taane rakkhaa khauf aayaa nahin saanpon ke ghane jangal mein mujh ko mahfuz miri maan ki duaa ne rakkhaa ye alag baat samundar pe vo barsi 'saajid' aur kisi khet ko pyaasaa na ghaTaa ne rakkhaa"
"dard kab dil mein mehrbaan na rahaa haan magar qaabil-e-bayaan na rahaa ham jo gulshan mein the bahaar na thi jab bahaar aai aashiyaan na rahaa gham garaan jab na thaa garaan thaa mujhe jab garaan ho gayaa garaan na rahaa doston kaa karam maaaz-allaah shikva-e-jaur-e-dushmanaan na rahaa bijliyon ko duaaein detaa huun dosh par baar-e-aashiyaan na rahaa"