Quote
"itnaa yaqin rakh ki gumaan baaqi rahe ek zaraa kaar-e-jahaan baaqi rahe baaqi rahe yaadon ki ik qaus-e-quzah yaani miri jaa-e-amaan baaqi rahe shorish-e-khun raqs-e-junun khatm na ho qahqaha-e-ham-nafasaan baaqi rahe aataa rahe yuun hi sadaa mausam-e-gul silsila-e-dil-zadagaan baaqi rahe qaafla-e-gham guzraan ki bhi sunaa hausla-e-ham-safaraan baaqi rahe qaid-e-qafas shor-e-nafas kis ke liye kis ke liye rishta-e-jaan baaqi rahe aankhon se chhin jaaein ik ik khvaab magar us ki talab dil kaa dhuaan baaqi rahe"
