"yahi samjhaa huun bas itni hui hai aagahi mujh ko na raas aaegi shaayad zindagi-bhar zindagi mujh ko milaa ranj-o-alam mein bhi surur-e-zindagi mujh ko nazar aati hai aksar tirgi mein raushni mujh ko na ab ehsaas-e-ranj-o-gham na ehsaas-e-khushi mujh ko ye kis markaz pe le aai miri divaangi mujh ko chhalak aae hain aansu jab bhi aai hai hansi mujh ko sunaati hi rahi paighaam-e-gham meri khushi mujh ko na denaa thaa agar kuchh ikhtiyaar-e-zindagi mujh ko to kyuun ai khaaliq-e-aalam banaayaa aadmi mujh ko siyah-bakhti hui hai saya-afgan is qadar mujh par nazar aati hai har-su tirgi hi tirgi mujh ko 'jalis' ehsaan kyaa kam hai ye meri bad-nasibi kaa tamiz apne paraae ki to aakhir ho gai mujh ko"
diin alag mazhab alag maslak alag sheva alag — Brahma Nand Jalees
"diin alag mazhab alag maslak alag sheva alag ahl-e-duniyaa se rahi har dam miri duniyaa alag diin alag mujh se huaa mujh se hui duniyaa alag kyaa kahun tujh se alag ho kar huaa kyaa kyaa alag bazm-e-hasti mein sukun hotaa mayassar kis liye zindagi ke gham alag the maut kaa khaTkaa alag naazir-o-nazzaara mein kyunkar ho baaham irtibaat 'ishq kaa 'aalam alag hai hosh ki duniyaa alag baar-e-ehsaan kyon uThaaein khizr ki taqlid kaa ham nikaaleinge khud apni ziist kaa rasta alag tu hai jugnu teri hasti hi saraapaa nuur hai ho nahin saktaa kabhi tujh se tiraa jalva alag hazrat-e-dil se nibhaaein kis tarah ham ai 'jalis' hai azal hi se mizaaj is kaa alag apnaa alag"
دین الگ مذہب الگ مسلک الگ شیوہ الگ اہل دنیا سے رہی ہر دم مری دنیا الگ دین الگ مجھ سے ہوا مجھ سے ہوئی دنیا الگ کیا کہوں تجھ سے الگ ہو کر ہوا کیا کیا الگ بزم ہستی میں سکوں ہوتا میسر کس لیے زندگی کے غم الگ تھے موت کا کھٹکا الگ ناظر و نظارہ میں کیوں کر ہو باہم ارتباط عشق کا عالم الگ ہے ہوش کی دنیا الگ بار احساں کیوں اٹھائیں خضر کی تقلید کا ہم نکالیں گے خود اپنی زیست کا رستہ الگ تو ہے جگنو تیری ہستی ہی سراپا نور ہے ہو نہیں سکتا کبھی تجھ سے ترا جلوہ الگ حضرت دل سے نبھائیں کس طرح ہم اے جلیسؔ ہے ازل ہی سے مزاج اس کا الگ اپنا الگ
दीन अलग मज़हब अलग मस्लक अलग शेवा अलग अहल-ए-दुनिया से रही हर दम मिरी दुनिया अलग दीन अलग मुझ से हुआ मुझ से हुई दुनिया अलग क्या कहूँ तुझ से अलग हो कर हुआ क्या क्या अलग बज़्म-ए-हस्ती में सुकूँ होता मयस्सर किस लिए ज़िंदगी के ग़म अलग थे मौत का खटका अलग नाज़िर-ओ-नज़्ज़ारा में क्यूँकर हो बाहम इर्तिबात 'इश्क़ का 'आलम अलग है होश की दुनिया अलग बार-ए-एहसाँ क्यों उठाएँ ख़िज़्र की तक़लीद का हम निकालेंगे ख़ुद अपनी ज़ीस्त का रस्ता अलग तू है जुगनू तेरी हस्ती ही सरापा नूर है हो नहीं सकता कभी तुझ से तिरा जल्वा अलग हज़रत-ए-दिल से निभाएँ किस तरह हम ऐ 'जलीस' है अज़ल ही से मिज़ाज इस का अलग अपना अलग
More by Brahma Nand Jalees
View all →"pesh har gaam pe aafat kabhi aisi to na thi ‘arbada jo miri qismat kabhi aisi to na thi husn rusvaa-e-zamaana kabhi aisaa to na thaa 'ishq ke naam pe tohmat kabhi aisi to na thi apne saae se bhi aataa hai mujhe khauf ab to bad-gumaani ki ye surat kabhi aisi to na thi fasl-e-gul mein bhi hai paamaal khizaan ki maanind gulshan-e-zist ki surat kabhi aisi to na thi ikhtilaafaat to the ahl-e-chaman mein lekin laala-o-gul mein 'adaavat kabhi aisi to na thi pujtaa huun main inhein apne khudaaon ki tarah in buton se mujhe nisbat kabhi aisi to na thi us ke har 'aks se aataa hai mujhe khauf 'jalis' aaine se mujhe vahshat kabhi aisi to na thi"
"ummid thi kuchh aur huaa aur hi kuchh hai lagtaa hai muqaddar mein likhaa aur hi kuchh hai ham ne to tire haq mein kahaa aur hi kuchh thaa tu ne jo raqibon se sunaa aur hi kuchh hai jis shahr mein charche the kabhi amn-o-amaan ke us shahr mein hangaama bapaa aur hi kuchh hai jis samt se thi baad-e-bahaari ki tavaqqo' us samt se tufaan uThaa aur hi kuchh hai maangi to du'aa ham ne 'jalis' aur hi kuchh thi dekhaa to asar us kaa huaa aur hi kuchh hai"
"hoti nahin rasaai-e-barq-e-tapaan kahaan ai ham-nashin banaaiye ab aashiyaan kahaan Thahre misaal teri gul-e-arghavaan kahaan ai mah-jabin zamin kahaan aasmaan kahaan chhaanaa kiyaa main khaak-e-do-aalam tamaam umr apni talaash le gai mujh ko kahaan kahaan chhuTtaa hujum-e-gham se miraa saath kis tarah jaataa bichhaD ke mujh se miraa kaarvaan kahaan mahdud jin ki dair-o-haram tak thi justuju hotaa nasib un ko tiraa aastaan kahaan har manzil-e-hayaat ki had paar ho chuki le jaaegi ab aur ai umr-e-ravaan kahaan sayyaad ne bhi mujh ko rihaa kar diyaa 'jalis' qismat mein ab qafas bhi nahin aashiyaan kahaan"
"kartaa na kabhi vaa lab-e-izhaar-e-tamanna hotaa main agar vaaqif-e-asraar-e-tamanna ik jast mein thi vus'at-e-kaunain ke us paar allaah re ye garmi-e-raftaar-e-tamanna har aan hai ik naghmagi-e-shauq ki jhankaar kyaa zamzama-parvaaz hai har taar-e-tamanna naamus-e-tamanna kaa bharam hai to usi se kartaa hi nahin jo kabhi izhaar-e-tamannaa aati hi nahin raah nazar us se mafar ki har samt hai vo halqa-e-divaar-e-tamanna har shakhs ko saudaa hai isi jins-e-giraan kaa har shakhs hai duniyaa mein parastaar-e-tamanna ik hashr saa barpaa hai mire dil mein 'jalis' aaj TuuTi hai yaqinan koi divaar-e-tamannaa"
"puchhte hain bazm mein sun kar vo afsaana miraa aap hain kahti hai duniyaa jis ko divaana miraa bas yahi hai mukhtasar tashrih husn-o-ishq ki vo tumhaari daastaan hai ye hai afsaana miraa hain tasavvur mein tire jalve tiri raanaaiyaan raunaq-e-sad-anjuman hai aaj viraana miraa khud mire aansu hi us ke haq mein shoale ban gae barq-o-baaraan se to thaa mahfuz kaashaana miraa khil rahaa hai mere chehre se miraa ahvaal-e-gham kah rahi hai meri khaamoshi hi afsaana miraa main nahin qaail kisi taqlid kaa ai rahbaro har qadam uThtaa hai manzil mein harifaana miraa maujzan hai khun-e-dil ab chashm-e-tar mein ai 'jalis' baada-e-gul-gun se hai labrez paimaana miraa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"